الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب التعبير
Kitab: Khwabon ki tabeer ke bayan mein
باب الرؤيا الصالحة جزء من ستة وأربعين جزءا من النبوة:
Achha khwaab nabuwwat ke chheyaalis hisson mein se ek hissa hai.
Show diacritics
Hadith Number: 6988
حدثنا يحيى بن قزعة، حدثنا إبراهيم بن سعد، عن الزهري، عن سعيد بن المسيب، عن ابي هريرة رضي الله عنه، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" رؤيا المؤمن جزء من ستة واربعين جزءا من النبوة"، ورواه ثابت، وحميد، وإسحاق بن عبد الله، وشعيب، عن انس، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
`Hum se Yahya bin Qaza'a ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ibrahim bin Saad ne bayan kiya, un se Zuhri ne bayan kiya, un se Said bin al-Musayyib ne bayan kiya, aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Momin ka khwab nabuwwat ke chhiyalees hisson mein se ek hissa hota hai.“ Is ki riwayat Sabit, Humaid, Ishaq bin Abdullah aur Shuaib ne Anas Radi Allahu Anhu se ki unhon ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6983
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن إسحاق بن عبد الله بن ابي طلحة، عن انس بن مالك، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" الرؤيا الحسنة من الرجل الصالح، جزء من ستة واربعين جزءا من النبوة".
`Hum se Abdullah bin Maslama Qanabi ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Imam Malik ne bayan kiya, un se Ishaq bin Abdullah bin Abi Talha ne bayan kiya aur un se Anas bin Malik Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Kisi naik aadmi ka accha khwab nabuwwat ka chhiyaleeswan hissa hai.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6987
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن قتادة، عن انس بن مالك، عن عبادة بن الصامت، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" رؤيا المؤمن جزء من ستة واربعين جزءا من النبوة".
`Hum se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya, kaha hum se Ghandar ne bayan kiya, kaha hum se Shu'ba ne bayan kiya, un se Qatada ne, un se Anas bin Malik Radi Allahu Anhu ne aur un se Ubada bin Samit Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Momin ka khwab nabuwwat ke chhiyalees hisson mein se ek hissa hota hai.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6989
حدثني إبراهيم بن حمزة، حدثني ابن ابي حازم والدراوردي، عن يزيد، عن عبد الله بن خباب، عن ابي سعيد الخدري، انه سمع رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" الرؤيا الصالحة جزء من ستة واربعين جزءا من النبوة".
`Hum se Ibrahim bin Hamza ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Ibrahim bin Abi Hazim aur Abdul Aziz Darawardi ne bayan kiya, un se Yazid bin Abdullah ne bayan kiya, un se Abdullah bin Khabbab ne, un se Abu Said Khudri Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke unhon ne Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ko yeh farmate hue suna ke naik khwab nabuwwat ke chhiyalees hisson mein se ek hissa hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6990
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، حدثني سعيد بن المسيب، ان ابا هريرة، قال: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" لم يبق من النبوة إلا المبشرات، قالوا: وما المبشرات؟، قال: الرؤيا الصالحة".
`Hum se Abul Yaman ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Shuaib ne khabar di, unhein Zuhri ne, kaha mujh se Said bin Musayyib ne bayan kiya, un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne ke mein ne Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم se suna, Aap صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke nabuwwat mein se sirf ab mubashshirat baqi reh gayi hain. Sahabah ne poocha ke mubashshirat kya hain? Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke acche khwab.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 7017
حدثنا عبد الله بن صباح، حدثنا معتمر، سمعت عوفا، حدثنا محمد بن سيرين، انه سمع ابا هريرة، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إذا اقترب الزمان لم تكد تكذب رؤيا المؤمن، ورؤيا المؤمن جزء من ستة واربعين جزءا من النبوة، وما كان من النبوة فإنه لا يكذب"، قال محمد: وانا اقول هذه، قال: وكان يقال: الرؤيا ثلاث: حديث النفس، وتخويف الشيطان، وبشرى من الله، فمن راى شيئا يكرهه فلا يقصه على احد، وليقم فليصل، قال: وكان يكره الغل في النوم، وكان يعجبهم القيد، ويقال: القيد ثبات في الدين، وروى قتادة، ويونس، وهشام، وابو هلال، عن ابن سيرين، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، وادرجه بعضهم كله في الحديث، وحديث عوف ابين، وقال يونس: لا احسبه إلا عن النبي صلى الله عليه وسلم في القيد، قال ابو عبد الله: لا تكون الاغلال إلا في الاعناق.
`Hum se Abdullah bin Sabah ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Mu'tamir ne bayan kiya, unhon ne kaha mein ne Auf se suna, un se Muhammad bin Sireen ne bayan kiya, unhon ne Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Jab qayamat qareeb ho gi to momin ka khwab jhoota nahi ho ga aur momin ka khwab nabuwwat ke chhiyalees (46) hisson mein se ek hissa hai.“ Muhammad bin Sireen Rahimahullah (jo ke ilm-e-ta'beer ke bahut bade aalim thay) ne kaha ke nabuwwat ka hissa jhoot nahi ho sakta. Abu Hurairah Radi Allahu Anhu kehte thay ke khwab teen tarah ke hain. Dil ke khayalat, shaitan ka darana aur Allah ki taraf se khushkhabri. Pas agar koi shakhs khwab mein buri cheez dekhta hai to use chahiye ke is ka zikr kisi se na kare aur khada ho kar namaz parhne lage. Muhammad bin Sireen ne kaha ke Abu Hurairah Radi Allahu Anhu khwab mein tauq ko napasand karte thay aur qaid dekhne ko accha samajhte thay aur kaha gaya hai ke qaid se murad deen mein sabit-qadami hai. Aur Qatada, Yunus, Hisham aur Abu Hilal ne Ibn Sireen se naql kiya hai, unhon ne Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se, unhon ne Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم se. Aur baaz ne yeh sari riwayat hadees mein shumar ki hai lekin Auf ki riwayat zyada wazeh hai aur Yunus ne kaha ke qaid ke baare mein riwayat ko mein Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ki hadees hi samajhta hoon. Abu Abdullah Imam Bukhari Rahimahullah ne kaha ke tauq hamesha gardanon hi mein hote hain.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة