الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الديات
Kitab: Diyatton ke bayan mein
باب سؤال القاتل حتى يقر والإقرار فى الحدود:
Haakim ka qaatil se poochh gachh karna yahan tak ke woh iqraar kar le aur hudood mein iqraar (asbaab-e-jurm ke liye) kaafi hai.
Hadith Number: 6876
حدثنا حجاج بن منهال، حدثنا همام، عن قتادة، عن انس بن مالك رضي الله عنه، ان يهوديا رض راس جارية بين حجرين، فقيل لها: من فعل بك هذا؟ افلان او فلان؟ حتى سمي اليهودي، فاتي به النبي صلى الله عليه وسلم:" فلم يزل به حتى اقر به، فرض راسه بالحجارة".
Hum se Hajjaj bin Minhal ne bayan kiya, kaha hum se Humam bin Yahya ne bayan kiya, in se Qatadah ne aur in se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne ke ek Yahudi ne ek larki ka sar do pattharon ke darmiyan rakh kar kuchal diya phir is larki se poochha gaya ke yeh kis ne kiya hai? Falan ne, falan ne? Aakhir jab is Yahudi ka naam liya gaya (to larki ne sar ke isharah se haan kaha) phir Yahudi ko Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke yahan laya gaya aur is se poochh gachh ki jaati rahi yahan tak ke is ne jurm ka iqrar kar liya chunanche is ka sar bhi pattharon se kuchla gaya.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2413
حدثنا موسى، حدثنا همام، عن قتادة، عن انس رضي الله عنه،" ان يهوديا رض راس جارية بين حجرين، قيل: من فعل هذا بك؟ افلان، افلان، حتى سمي اليهودي، فاومات براسها، فاخذ اليهودي فاعترف، فامر به النبي صلى الله عليه وسلم فرض راسه بين حجرين".
Hum se Musa ne bayan kiya, kaha ke hum se Hammam ne bayan kiya, un se Qatadah ne aur un se Anas (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke ek Yahoodi ne ek larki ka sar do pattharon ke darmiyan rakh kar kuchal diya tha. (Is mein kuch jaan baqi thi) us se poocha gaya ke tere sath ye kis ne kiya hai ? Kya falan ne, falan ne ? Jab is Yahoodi ka naam aya to us ne apne sar se isharah kiya (ke han) Yahoodi pakra gaya aur us ne bhi jurm ka iqrar kar liya, Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne hukum diya aur is ka sar bhi do pattharon ke darmiyan rakh kar kuchal diya gaya
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة