الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الحدود
Kitab: Hadd aur sazaon ke bayan mein
باب قول الله تعالى: {والسارق والسارقة فاقطعوا أيديهما} :
Allah Taala ne (Surat Al-Maida mein) farmaya aur chor mard aur chor aurat ka haath kaato.
Show diacritics
Hadith Number: 6793
حدثنا محمد بن مقاتل، اخبرنا عبد الله، اخبرنا هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة، قالت:" لم تكن تقطع يد السارق في ادنى من حجفة، او ترس كل واحد منهما ذو ثمن"، رواه وكيع، وابن إدريس، عن هشام، عن ابيه مرسلا.
Hum se Muhammad bin Muqatil ne bayan kiya, unhon ne kaha hum ko Abdullah ne khabar di, unhon ne kaha hum ko Hisham bin Urwah ne khabar di, unhein in ke walid ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke chor ka hath lakri ke chamre ki dhaal ya aam dhaal ki qeemat se kam par nahi kaata jata tha. Yeh donon dhaal qeemat se milti thien. Is ki riwayat Waki aur Ibn Idrees ne Hisham ke waste se ki, in se in ke walid ne mursalan riwayat kiya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6792
حدثنا عثمان بن ابي شيبة، حدثنا عبدة، عن هشام بن عروة، عن ابيه، قال: اخبرتني عائشة" ان يد السارق لم تقطع على عهد النبي صلى الله عليه وسلم، إلا في ثمن مجن حجفة او ترس"، حدثنا عثمان، حدثنا حميد بن عبد الرحمن، حدثنا هشام، عن ابيه، عن عائشة: مثله.
Hum se Usman bin Abi Shaybah ne bayan kiya, kaha hum se Abdah ne bayan kiya, in se Hisham ne, in se un ke walid ne bayan kiya aur unhein Aisha razi Allahu anha ne khabar di ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke zamana mein chor ka hath baghair lakri ke chamre ki dhaal ya aam dhaal ki chori par hi kaata jata tha. Hum se Usman ne bayan kiya, kaha hum se Humayd bin Abd-ur-Rahman ne bayan kiya, in se Hisham ne bayan kiya, in se un ke walid ne, in se Aisha razi Allahu anha ne isi tarah (bayan kiya).


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة