الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الفرائض
Kitab: Faraiz yani tarka ke hisson ke bayan mein
باب لا يرث المسلم الكافر ولا الكافر المسلم، وإذا أسلم قبل أن يقسم الميراث فلا ميراث له:
Musalman kaafir ka waaris nahin ho sakta aur na kaafir Musalman ka aur agar miraas ki taqseem se pehle Islam laya tab bhi miraas mein us ka haq nahin ho ga.
Show diacritics
Hadith Number: 6764
حدثنا ابو عاصم، عن ابن جريج، عن ابن شهاب، عن علي بن حسين، عن عمرو بن عثمان، عن اسامة بن زيد رضي الله عنهما، ان النبي صلى الله عليه وسلم , قال:" لا يرث المسلم الكافر، ولا الكافر المسلم".
Hum se Abu Aasim ne bayan kiya , in se Ibn Jurayj ne bayan kiya , in se Ibn Shihab ne bayan kiya , in se Ali bin Husain ne bayan kiya , in se Umar bin Usman ne bayan kiya aur in se Usamah bin Zayd razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”Musalman baap kafir bete ka waris nahi hota aur na kafir beta Musalman baap ka .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 1588
حدثنا اصبغ، قال: اخبرني ابن وهب، عن يونس، عن ابن شهاب، عن علي بن حسين، عن عمرو بن عثمان، عن اسامة بن زيدرضي الله عنهما، انه قال:" يا رسول الله، اين تنزل في دارك بمكة؟ , فقال: وهل ترك عقيل من رباع او دور، وكان عقيل ورث ابا طالب هو وطالب، ولم يرثه جعفر ولا علي رضي الله عنهما شيئا لانهما كانا مسلمين، وكان عقيل وطالب كافرين، فكان عمر بن الخطاب رضي الله عنه، يقول: لا يرث المؤمن الكافر، قال ابن شهاب: وكانوا يتاولون قول الله تعالى: إن الذين آمنوا وهاجروا وجاهدوا باموالهم وانفسهم في سبيل الله والذين آووا ونصروا اولئك بعضهم اولياء بعض سورة الانفال آية 72".
Hum se Asbagh bin Faraj ne byaan kiya , unhon ne kaha ke mujhe Abdullah bin Wahab ne khabar di , unhein Yunus ne , unhein Ibn Shihab ne , unhein Ali bin Husain ne , unhein Amru bin Uthman ne aur unhein Usama bin Zaid razi Allahu anhuma ne ke unhon ne poocha Ya Rasool Allah! Aap Makka mein kya apne ghar mein qiyam farma-yeinge . Is par Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Aqeel ne hamare liye muhalla ya makaan chhora hi kab hai . (Sab baich khoch kar barabar kar diye) Aqeel aur Talib , Abu Talib ke waaris hue thay . Jafar aur Ali razi Allahu anhuma ko wirasat mein kuch nahi mila tha , kyunke yeh dono musalman ho gaye thay aur Aqeel razi Allahu anhu (ibtida mein) aur Talib Islam nahi laye thay . Isi buniyaad par Umar bin Khattab razi Allahu anhu farmaya karte thay ke musalman kafir ka waaris nahi hota . Ibn Shihab ne kaha ke log Allah Ta'ala ke is irshad se daleel lete hain ke ”Jo log imaan laye , hijrat ki aur apne maal aur jaan ke saath Allah ki raah mein jihad kiya aur woh log jinhon ne panah di aur madad ki , wahi ek doosre ke waaris honge .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4283
ثم قال:" لا يرث المؤمن الكافر، ولا يرث الكافر المؤمن"، قيل للزهري: ومن ورث ابا طالب؟ قال: ورثه عقيل، وطالب، قال معمر، عن الزهري: اين تنزل غدا في حجته؟ ولم يقل يونس حجته، ولا زمن الفتح.
Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke momin ‘ kafir ka waris nahi ho sakta aur na kafir momin ka waris ho sakta hai . Zuhri se poocha gaya ke phir Abu Talib ki wirasat kise mili thi ? Unhon ne bataya ke un ke waris Aqeel aur Talib huay thay . Mamar ne Zuhri se (Usamah razi Allahu anhu ka sawal yun naqal kiya hai ke) Aap apne hajj ke dauran kahan qiyam farmayen ge ? Aur Yunus ne (apni riwayat mein) na hajj ka zikr kiya hai aur na Fatah Makkah ka .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة