الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الفرائض
Kitab: Faraiz yani tarka ke hisson ke bayan mein
باب ميراث الزوج مع الولد وغيره:
Aulaad ke saath khaawand ko kya mile ga.
Show diacritics
Hadith Number: 6739
حدثنا محمد بن يوسف، عن ورقاء، عن ابن ابي نجيح، عن عطاء، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" كان المال للولد، وكانت الوصية للوالدين، فنسخ الله من ذلك ما احب، فجعل للذكر مثل حظ الانثيين سورة النساء آية 11، وجعل للابوين لكل واحد منهما السدس، وجعل للمراة الثمن والربع، وللزوج الشطر والربع".
Hum se Muhammad bin Yusuf ne bayan kiya , in se Warqa ne bayan kiya , in se Ibn Abi Najeeh ne bayan kiya , in se Ata ne aur in se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke pehle maal ki aulad mustahiq thi aur walidain ko wasiyat ka haq thu . Phir Allah Ta'ala ne is mein se jo chaha mansookh kar diya aur larkon ko larkiyon ke dugna haq diya aur walidain ko aur in mein se har ek ko chhate hisse ka mustahiq qarar diya aur biwi ko aathvein aur chouthe hisse ka haq-dar qarar diya aur shohar ko aadhe ya chouthayi ka haq-dar qarar diya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2747
حدثنا محمد بن يوسف، عن ورقاء، عن ابن ابي نجيح، عن عطاء، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" كان المال للولد، وكانت الوصية للوالدين، فنسخ الله من ذلك ما احب، فجعل للذكر مثل حظ الانثيين، وجعل للابوين لكل واحد منهما السدس، وجعل للمراة الثمن والربع، وللزوج الشطر والربع".
Hum se Muhammad Bin Yusuf Faryabi ne bayan kiya Warqa se ' unhon ne Ibn Abi Najeeh se ' un se Ata ne aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke shuru Islam mein (miras ka) maal aulad ko milta tha aur walidain ke liye wasiyat zaroori thi lekin Allah Ta'ala ne jis tarah chaha is hukm ko mansookh kar diya phir larke ka hissa do larkiyon ke barabar qarar diya aur walidain mein se har ek ka chatta hissa aur biwi ka (aulad ki maujoodgi mein) aathwan hissa aur (aulad ke na hone ki surat mein) chautha hissa qarar diya. Isi tarah shohar ka (aulad na hone ki surat mein) aadha (aulad hone ki surat mein) chauthayi hissa qarar diya
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة