الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الفرائض
Kitab: Faraiz yani tarka ke hisson ke bayan mein
باب ميراث ابنة ابن مع ابنة:
Beti ki maujoodgi mein poti ki miraas.
Show diacritics
Hadith Number: 6736
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا ابو قيس، سمعت هزيل بن شرحبيل، قال:" سئل ابو موسى، عن بنت، وابنة ابن، واخت، فقال: للبنت النصف، وللاخت النصف"، وات ابن مسعود فسيتا بعني، فسئل ابن مسعود، واخبر بقول ابي موسى، فقال لقد ضللت إذا وما انا من المهتدين" اقضي فيها بما قضى النبي صلى الله عليه وسلم، للابنة النصف، ولابنة ابن السدس تكملة الثلثين، وما بقي فللاخت". فاتينا ابا موسى، فاخبرناه بقول ابن مسعود، فقال: لا تسالوني ما دام هذا الحبر فيكم.
Hum se Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya , kaha hum se Shubah ne , kaha hum se Abu Qays Abd-ur-Rahman bin Sarwan ne , unhon ne Huzayl bin Shar-habeel se suna , bayan kiya ke Abu Musa razi Allahu anhu se beti , poti aur behen ki meras ke baare mein poochha gaya to unhon ne kaha ke beti ko aadha mile ga aur behen ko aadha mile ga aur tu Ibn Masood razi Allahu anhu ke yahan ja , shayad woh bhi yahi batayein ge . Phir Ibn Masood razi Allahu anhu se poochha gaya aur Abu Musa razi Allahu anhu ki baat bhi pahunchayi gayi to unhon ne kaha ke main agar aisa fatwa doon to gumrah ho chuka aur theek raste se bhatak gaya . Main to is mein wahi faisla karoon ga jo Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne kiya thu ke beti ko aadha mile ga , poti ko chhata hissa mile ga , is tarah do tihayi poori ho jaye gi aur phir jo baaqi bache ga woh behen ko mile ga . Phir Abu Musa razi Allahu anhu ke paas aaye aur Ibn Masood razi Allahu anhu ki baat in tak pahunchayi to unhon ne kaha ke jab tak yeh aalim tum mein maujood hain mujh se masail na poochha karo .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 6732
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا وهيب، حدثنا ابن طاوس، عن ابيه، عن ابن عباس رضي الله عنهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" الحقوا الفرائض باهلها، فما بقي فهو لاولى رجل ذكر".
Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya , kaha hum se Wuhaib ne bayan kiya , kaha hum se Abdullah bin Taoos ne bayan kiya , in se in ke walid ne aur in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”meras is ke haq-daron tak pahuncha do aur jo kuch baaqi bache woh sab se zyada qareebi mard azeez ka hissa hai .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة