الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الرقاق
Kitab: Dil ko narm karne wali baaton ke bayan mein
باب الصراط جسر جهنم:
Siraat ek pul hai jo dozakh par banaya gaya hai.
Show diacritics
Hadith Number: 6573
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، اخبرني سعيد، وعطاء بن يزيد، ان ابا هريرة، اخبرهما، عن النبي صلى الله عليه وسلم. ح وحدثني محمود، حدثنا عبد الرزاق، اخبرنا معمر، عن الزهري، عن عطاء بن يزيد الليثي، عن ابي هريرة، قال: قال اناس: يا رسول الله، هل نرى ربنا يوم القيامة؟ فقال:" هل تضارون في الشمس ليس دونها سحاب؟"، قالوا: لا يا رسول الله، قال:" هل تضارون في القمر ليلة البدر ليس دونه سحاب؟"، قالوا: لا يا رسول الله، قال:" فإنكم ترونه يوم القيامة كذلك، يجمع الله الناس، فيقول: من كان يعبد شيئا، فليتبعه، فيتبع من كان يعبد الشمس، ويتبع من كان يعبد القمر، ويتبع من كان يعبد الطواغيت، وتبقى هذه الامة فيها منافقوها، فياتيهم الله في غير الصورة التي يعرفون، فيقول: انا ربكم، فيقولون: نعوذ بالله منك، هذا مكاننا حتى ياتينا ربنا فإذا اتانا ربنا عرفناه، فياتيهم الله في الصورة التي يعرفون، فيقول: انا ربكم، فيقولون: انت ربنا فيتبعونه، ويضرب جسر جهنم، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم، فاكون اول من يجيز ودعاء الرسل يومئذ اللهم سلم سلم، وبه كلاليب مثل شوك السعدان، اما رايتم شوك السعدان؟ قالوا: بلى يا رسول الله، قال: فإنها مثل شوك السعدان، غير انها لا يعلم قدر عظمها إلا الله، فتخطف الناس باعمالهم، منهم الموبق بعمله، ومنهم المخردل ثم ينجو، حتى إذا فرغ الله من القضاء بين عباده، واراد ان يخرج من النار من اراد ان يخرج ممن كان يشهد: ان لا إله إلا الله، امر الملائكة ان يخرجوهم فيعرفونهم بعلامة آثار السجود، وحرم الله على النار ان تاكل من ابن آدم اثر السجود، فيخرجونهم قد امتحشوا فيصب عليهم ماء، يقال له: ماء الحياة، فينبتون نبات الحبة في حميل السيل، ويبقى رجل منهم مقبل بوجهه على النار، فيقول: يا رب، قد قشبني ريحها واحرقني ذكاؤها فاصرف وجهي عن النار، فلا يزال يدعو الله، فيقول: لعلك إن اعطيتك ان تسالني غيره، فيقول: لا وعزتك لا اسالك غيره، فيصرف وجهه عن النار، ثم يقول بعد ذلك: يا رب قربني إلى باب الجنة، فيقول: اليس قد زعمت ان لا تسالني غيره، ويلك ابن آدم ما اغدرك، فلا يزال يدعو، فيقول: لعلي إن اعطيتك ذلك تسالني غيره، فيقول: لا وعزتك لا اسالك غيره، فيعطي الله من عهود ومواثيق ان لا يساله غيره، فيقربه إلى باب الجنة، فإذا راى ما فيها سكت ما شاء الله ان يسكت، ثم يقول: رب ادخلني الجنة، ثم يقول: اوليس قد زعمت ان لا تسالني غيره ويلك يا ابن آدم ما اغدرك، فيقول: يا رب، لا تجعلني اشقى خلقك، فلا يزال يدعو حتى يضحك فإذا ضحك منه اذن له بالدخول فيها، فإذا دخل فيها قيل له تمن من كذا فيتمنى، ثم يقال له: تمن من كذا، فيتمنى حتى تنقطع به الاماني فيقول له: هذا لك ومثله معه"، قال ابو هريرة: وذلك الرجل آخر اهل الجنة دخولا.
Hum se Abu al-Yaman ne bayan kiya , kaha hum ko Shuayb ne khabar di , unhein Zuhri ne , kaha mujhko Saeed aur Ata bin Yazid ne khabar di aur unhein Abu Hurairah razi Allahu anhu ne aur unhein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne (doosri sanad) aur mujh se Mahmood bin Ghailan ne bayan kiya , kaha hum se Abd-ul-Razzaq bin Hamam ne , kaha hum ko Mamar ne , unhein Zuhri ne , unhein Ata bin Yazid Laysi ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke kuch logon ne arz kiya: ya Rasool Allah! kiya Qayamat ke din hum اپne Rabb ko dekh sakein ge . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke kiya sooraj ko dekhne mein tumhein koi dushwari hoti hai jabke is par koi baadal (abr) waghaira na ho ? Sahabah ne arz kiya: nahi ya Rasool Allah! Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke kiya jab koi baadal na ho to tumhein choudhvein raat ke chaand ko dekhne mein koi dushwari hoti hai ? Sahabah ne arz kiya: nahi ya Rasool Allah! Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir tum Allah Ta'ala ko isi tarah Qayamat ke din dekho ge . Allah Ta'ala logon ko jama kare ga aur kahe ga ke tum mein se jo shakhs jis cheez ki pooja paat kiya karta tha woh usi ke peeche lag jaye , chunanche jo log sooraj ki parastish kiya karte thay woh is ke peeche lag jayein ge aur jo log chaand ki pooja karte thay woh in ke peeche ho lein ge . Jo log buton ki parastish karte thay woh in ke peeche lag jayein ge aur aakhir mein yeh ummat baaqi reh jaye gi aur is mein munafiqeen ki jama'at bhi ho gi , is waqt Allah Ta'ala in ke samne is surat mein aaye ga jis ko woh pehchante na hon ge aur kahe ga ke main tumhara Rabb hoon . Log kahein ge tujh se Allah ki panah . Hum apni jagah par is waqt tak rahein ge jab tak ke hamara Parvardigar hamare samne na aaye . Jab hamara Rabb hamare paas aaye ga to hum usay pehchan lein ge (kyunke woh hashr mein ek baar us ko pehle dekh chuke hon ge) phir Haq Ta'ala is surat mein aaye ga jis ko woh pehchante hon ge aur in se kaha jaye ga (aao mere saath ho lo) main tumhara Rabb hoon! Log kahein ge ke tu hamara Rabb hai , phir usi ke peeche ho jayein ge aur jahannum par pul bana diya jaye ga . Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke main sab se pehla shakhs hoon ga jo is pul ko paar karoon ga aur is din Rasoolon ki dua yeh ho gi ke Ae Allah! Mujhko salamat rakhiyo . Ae Allah! Mujhko salamat rakhiyo aur wahan Sadaan ke kaanton ki tarah aankre hon ge . Tum ne Sadaan ke kaante dekhe hain ? Sahabah ikraam ne arz kiya ji haan dekhe hain ya Rasool Allah! Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke woh phir Sadaan ke kaanton ki tarah hon ge albatta is ki lambayi chorayi Allah ke siwa aur koi nahi jaanta . Woh logon ko in ke aamal ke mutabiq uchak lein ge aur is tarah in mein se baaz to apne amal ki wajah se halak ho jayein ge aur baaz ka amal raayi ke dane ke barabar ho ga , phir woh najat pa jaye ga . Aakhir jab Allah Ta'ala apne bandon ke darmiyan faisle se farigh ho jaye ga aur jahannum se unhein nikaalna chahe ga jinhein nikaalne ki is ki mashiy-yat ho gi . Yani woh jinon ne kalma «laa ilaaha illallaahu» ki gawahi di ho gi aur Allah Ta'ala farishton ko hukm de ga ke woh aise logon ko jahannum se nikaalein . Farishte unhein sajdon ke nishanaat se pehchan lein ge kyunke Allah Ta'ala ne aag par haram kar diya hai ke woh Ibn e Adam ke jism mein sajdon ke nishan ko khaye . Chunanche farishte in logon ko nikaalein ge . Yeh jal kar kowilay ho chuke hon ge phir in par pani chhirka jaye ga jise «maa-ul-hayaati» zindagi bakhshne wala pani kehte hain . Is waqt woh is tarah taro-taza ho jayein ge jaise saylab ke baad zharkheiz zameen mein dana ug aata hai . Ek aisa shakhs baaqi reh jaye ga jis ka chehra jahannum ki taraf ho ga aur woh kahe ga Ae mere Rabb! Is ki bad-buon ne mujhe pareshan kar diya hai aur is ki lapat ne mujhe jhulsa diya hai aur is ki teizi ne mujhe jala dala hai , zhara mera munh aag ki taraf se doosri taraf pher de . Woh isi tarah Allah se dua karta rahe ga . Aakhir Allah Ta'ala farmaye ga agar main tera yeh mutalba poora kar doon to kahin tu koi doosri cheez maangni shuru na kar de . Woh shakhs arz kare ga nahi , teri izzat ki qasam! Main is ke siwa koi doosri cheez nahi maangoon ga . Chunanche is ka chehra jahannum ki taraf se doosri taraf pher diya jaye ga . Ab is ke baad woh kahe ga . Ae mere Rabb! Mujhe jannat ke darwaze ke qareeb kar dijiye . Allah Ta'ala farmaye ga kiya tu ne abhi yaqeen nahi dilaya thu ke is ke siwa aur koi cheez nahi maange ga . Afsos! Ae Ibn e Adam! Tu bahut zyada wada khilaf hai . Phir woh barabar isi tarah dua karta rahe ga to Allah Ta'ala farmaye ga ke agar main teri yeh dua qabool kar loon to tu phir is ke alawa kuch aur cheez maangne lage ga . Woh shakhs kahe ga nahi , teri izzat ki qasam! Main is ke siwa aur koi cheez tujh se nahi maangoon ga aur woh Allah se ahad o paiman kare ga ke is ke siwa اب koi aur cheez nahi maange ga . Chunanche Allah Ta'ala usay jannat ke darwaze ke qareeb kar de ga . Jab woh jannat ke andar ki neimaton ko dekhe ga to jitni der tak Allah Ta'ala chahe ga woh shakhs khamosh rahe ga , phir kahe ga Ae mere Rabb! Mujhe jannat mein dakhil kar de . Allah Ta'ala farmaye ga ke kiya tu ne yeh yaqeen nahi dilaya thu ke ab tu is ke siwa koi cheez nahi maange ga . Ae Ibn e Adam! Afsos , tu kitna wada khilaf hai . Woh shakhs arz kare ga Ae mere Rabb! Mujhe apni makhlooq ka sab se bad-bakht banda na bana . Woh barabar dua karta rahe ga yahan tak ke Allah Ta'ala hans de ga . Jab Allah hans de ga to is shakhs ko jannat mein dakhil hone ki ijazat mil jaye gi . Jab woh andar chala jaye ga to is se kaha jaye ga ke falan cheez ki khwahish kar chunanche woh is ki khwahish kare ga . Phir is se kaha jaye ga ke falan cheez ki khwahish karo , chunanche woh phir khwahish kare ga yahan tak ke is ki khwahishat khatm ho jayein gi to Allah Ta'ala ki taraf se kaha jaye ga ke teri yeh saari khwahishat poori ki jaati hain aur itni hi zyada neimatein aur di jaati hain . Abu Hurairah razi Allahu anhu ne isi sanad se kaha ke yeh shakhs jannat mein سب سے آخر میں داخل hune والا hu گا .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 806
حدثنا ابو اليمان، قال: اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني سعيد بن المسيب، وعطاء بن يزيد الليثي، ان ابا هريرة اخبرهما، ان الناس قالوا:" يا رسول الله، هل نرى ربنا يوم القيامة؟ قال: هل تمارون في القمر ليلة البدر ليس دونه سحاب، قالوا: لا يا رسول الله، قال: فهل تمارون في الشمس ليس دونها سحاب، قالوا: لا، قال: فإنكم ترونه كذلك يحشر الناس يوم القيامة، فيقول: من كان يعبد شيئا فليتبع فمنهم من يتبع الشمس ومنهم من يتبع القمر ومنهم من يتبع الطواغيت، وتبقى هذه الامة فيها منافقوها فياتيهم الله فيقول انا ربكم فيقولون هذا مكاننا حتى ياتينا ربنا فإذا جاء ربنا عرفناه، فياتيهم الله فيقول انا ربكم فيقولون انت ربنا فيدعوهم فيضرب الصراط بين ظهراني جهنم فاكون اول من يجوز من الرسل بامته، ولا يتكلم يومئذ احد إلا الرسل وكلام الرسل يومئذ اللهم سلم سلم وفي جهنم كلاليب مثل شوك السعدان، هل رايتم شوك السعدان؟، قالوا: نعم، قال: فإنها مثل شوك السعدان، غير انه لا يعلم قدر عظمها إلا الله تخطف الناس باعمالهم فمنهم من يوبق بعمله ومنهم من يخردل ثم ينجو حتى إذا اراد الله رحمة من اراد من اهل النار، امر الله الملائكة ان يخرجوا من كان يعبد الله فيخرجونهم ويعرفونهم بآثار السجود، وحرم الله على النار ان تاكل اثر السجود فيخرجون من النار فكل ابن آدم تاكله النار إلا اثر السجود فيخرجون من النار قد امتحشوا فيصب عليهم ماء الحياة فينبتون كما تنبت الحبة في حميل السيل، ثم يفرغ الله من القضاء بين العباد ويبقى رجل بين الجنة والنار وهو آخر اهل النار دخولا الجنة مقبل بوجهه قبل النار، فيقول: يا رب اصرف وجهي عن النار قد قشبني ريحها واحرقني ذكاؤها، فيقول: هل عسيت إن فعل ذلك بك ان تسال غير ذلك؟، فيقول: لا، وعزتك فيعطي الله ما يشاء من عهد وميثاق فيصرف الله وجهه عن النار، فإذا اقبل به على الجنة راى بهجتها سكت ما شاء الله ان يسكت، ثم قال: يا رب قدمني عند باب الجنة، فيقول الله له: اليس قد اعطيت العهود والميثاق ان لا تسال غير الذي كنت سالت، فيقول: يا رب لا اكون اشقى خلقك، فيقول: فما عسيت إن اعطيت ذلك ان لا تسال غيره، فيقول: لا، وعزتك لا اسال غير ذلك فيعطي ربه ما شاء من عهد وميثاق فيقدمه إلى باب الجنة، فإذا بلغ بابها فراى زهرتها وما فيها من النضرة والسرور فيسكت ما شاء الله ان يسكت، فيقول: يا رب ادخلني الجنة، فيقول الله: ويحك يا ابن آدم ما اغدرك اليس قد اعطيت العهود والميثاق ان لا تسال غير الذي اعطيت، فيقول: يا رب لا تجعلني اشقى خلقك فيضحك الله عز وجل منه ثم ياذن له في دخول الجنة، فيقول: تمن، فيتمنى حتى إذا انقطع امنيته، قال الله عز وجل: من كذا وكذا اقبل يذكره ربه حتى إذا انتهت به الاماني، قال الله تعالى: لك ذلك ومثله معه، قال ابو سعيد الخدري: لابي هريرة رضي الله عنهما، إن رسول الله صلى الله عليه وسلم قال: قال الله لك ذلك وعشرة امثاله، قال ابو هريرة: لم احفظ من رسول الله صلى الله عليه وسلم إلا قوله لك ذلك ومثله معه"، قال ابو سعيد: إني سمعته يقول ذلك لك وعشرة امثاله.
Hum se Abul Yaman ne byaan kiya , kaha ke hamein Shoaib ne Zuhri se khabar di , unhon ne byaan kiya ke mujhe Saeed bin Musayyab aur Ata bin Yazid Laythi ne khabar di ke Abu Hurayrah razi Allahu anhu ne unhein khabar di ke logon ne poocha: ya Rasool Allah! kya hum apne Rab ko qiyamat mein dekh saken ge ? Aap ne (jawab ke liye) poocha , kya tumhein chaudhween raat ke chaand ke dekhne mein jab ke us ke qareeb kahin baadal bhi na ho shubha hota hai ? Log bole hargiz nahi ya Rasool Allah! Phir Aap ne poocha aur kya tumhein sooraj ke dekhne mein jab ke us ke qareeb kahin baadal bhi na ho shubha hota hai . Logon ne kaha ke nahi ya Rasool Allah! Phir Aap ne farmaya ke Rab ul Izzat ko tum isi tarah dekho ge . Log qiyamat ke din jama kiye jayen ge . Phir Allah Taala farmaye ga ke jo jisay poojta tha woh us ke saath ho jaye . Chunanchay bohot se log sooraj ke peeche ho len ge , bohot se chaand ke aur bohot se buton ke saath ho len ge . Yeh ummat baqi reh jayegi . Is mein munafiqeen bhi hon ge . Phir Allah Taala ek nayi soorat mein aye ga aur un se kahe ga ke main tumhara Rab hoon . Woh munafiqeen kahen ge ke hum yahin apne Rab ke aane tak kharay rahen ge . Jab hamara Rab aye ga to hum usay pehchaan len ge . Phir Allah uzz o jal un ke paas (aisi soorat mein jisay woh pehchaan len) aye ga aur farmaye ga ke main tumhara Rab hoon . Woh bhi kahen ge ke beshak tu hamara Rab hai . Phir Allah Taala bulaye ga . Pul sirat jahannam ke beechon beech rakha jayega aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam farmate hain ke main apni ummat ke saath is se guzarne wala sab se pehla rasool hoon ga . Us roz siwa anbiya ke koi bhi baat na kar sake ga aur anbiya bhi sirf yeh kahen ge . Aye Allah! mujhe mehfooz rakhiyo! Aye Allah! mujhe mehfooz rakhiyo! Aur jahannam mein saadan ke kanton ki tarah aankas hon ge . Saadan ke kante to tum ne dekhe hon ge ? Sahabah razi Allahu anhum ne arz ki haan! (Aap ne farmaya) to woh saadan ke kanton ki tarah hon ge . Albatta un ke tool o arz ko siwa Allah Taala ke aur koi nahi jaanta . Yeh aankas logon ko un ke amal ke mutabiq khench len ge . Bohot se log apne amal ki wajah se halaak hon ge . Bohot se tukre tukre ho jayen ge . Phir un ki nijaat ho gi . Jahannamiyon mein se Allah Taala jis par rehm farmana chahe ga to malaika ko hukm de ga ke jo khalis Allah Taala hi ki ibaadat karte thay unhein bahar nikaal lo . Chunanchay un ko woh bahar nikaalen ge aur muwahhidoon ko sajde ke aasaar se pehchaanen ge . Allah Taala ne jahannam par sajde ke aasaar ka jalana haram kar diya hai . Chunanchay yeh jab jahannam se nikaale jayen ge to asar sajda ke siwa un ke jism ke tamam hi hisson ko aag jala chuki ho gi . Jab jahannam se bahar hon ge to bilkul jal chuke hon ge . Is liye un par aab hayaat dala jayega . Jis se woh is tarah ubhar ayen ge . Jaise sailaab ke kore karkat par sailaab ke thhamne ke baad sabza ubhar aata hai . Phir Allah Taala bandon ke hisaab se farigh ho jayega . Lekin ek shakhs jannat aur dozakh ke darmiyan ab bhi baqi reh jayega . Yeh jannat mein daakhil hone wala aakhri dozakhii shakhs ho ga . Us ka munh dozakh ki taraf ho ga . Is liye kahe ga ke aye mere Rab! mere munh ko dozakh ki taraf se pher de . Kyunke us ki badboo mujh ko maare daalti hai aur us ki chamak mujhe jalaye deti hai . Allah Taala poochhe ga kya agar teri yeh tamanna poori kar doon to tu dobara koi naya sawal to nahi kare ga ? Banda kahe ga nahi teri buzurgi ki qasam! Aur jaise jaise Allah chahe ga woh qaul o qaraar kare ga . Aakhir Allah Taala jahannam ki taraf se us ka munh pher de ga . Jab woh jannat ki taraf munh kare ga aur us ki shadabi nazron ke saamne aayi to Allah ne jitni der chaha woh chup rahe ga . Lekin phir bol pare ga aye Allah! mujhe jannat ke darwaze ke qareeb pohanche de . Allah Taala poochhe ga kya tu ne ahd o paiman nahi baandha tha ke is ek sawal ke siwa aur koi sawal tu nahi kare ga . Banda kahe ga aye mere Rab! mujhe teri makhlooq mein sab se zyada badnaseeb na hona chahiye . Allah Rab ul Izzat farmaye ga ke phir kya zimmat hai ke agar teri yeh tamanna poori kar di gayi to doosra koi sawal tu nahi kare ga . Banda kahe ga nahi teri izzat ki qasam ab doosra sawal koi tujh se nahi karoon ga . Chunanchay apne Rab se har tarah ahd o paiman baandhe ga aur jannat ke darwaze tak pohanche diya jayega . Darwaza par pohanche kar jab jannat ki panhai , tazgi aur masraton ko dekhe ga to jab tak Allah Taala chahe ga woh banda chup rahe ga . Lekin aakhir bol pare ga ke aye Allah! mujhe jannat ke andar pohanche de . Allah Taala farmaye ga . Afsos aye ibn Adam! tu aisa dagha baaz kyun ban gaya ? Kya (abhi) tu ne ahd o paiman nahi baandha tha ke jo kuch mujhe diya gaya , us se zyada aur kuch na maangoon ga . Banda kahe ga aye Rab! mujhe apni sab se zyada badnaseeb makhlooq na bana . Allah Paak hans de ga aur usay jannat mein bhi daakhila ki ijazat ata farma de ga aur phir farmaye ga maang kya hai teri tamanna . Chunanchay woh apni tamannayen (Allah Taala ke saamne) rakhe ga aur jab tamam tamannayen khatam ho jayen gi to Allah Taala farmaye ga ke falan cheez aur maango , falan cheez ka mazeed sawal karo . Khud Allah Paak hi yaaddahani karaye ga . Aur jab woh tamam tamannayen poori ho jayen gi to farmaye ga ke tumhein yeh sab aur itni hi aur di gayeen . Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne Abu Hurayrah razi Allahu anhu se kaha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke yeh aur is se das guna aur zyada tumhein di gayeen . Is par Abu Hurayrah razi Allahu anhu ne farmaya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki yahi baat sirf mujhe yaad hai ke tumhein yeh tamannayen aur itni hi aur di gayeen . Lekin Abu Saeed razi Allahu anhu ne farmaya ke main ne Aap ko yeh kehte suna tha ke yeh aur us ki das guna tamannayen tujh ko di gayeen .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة