الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأذان
Kitab: Azan ke masail ke bayan mein
باب فضل العشاء فى الجماعة:
Bab: Isha ki namaz ba-jama’at ki fazilat ke bayan mein.
Show diacritics
Hadith Number: 657
حدثنا عمر بن حفص، قال: حدثنا ابي، قال: حدثنا الاعمش، قال: حدثني ابو صالح، عن ابي هريرة، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" ليس صلاة اثقل على المنافقين من الفجر والعشاء، ولو يعلمون ما فيهما لاتوهما ولو حبوا، لقد هممت ان آمر المؤذن فيقيم، ثم آمر رجلا يؤم الناس، ثم آخذ شعلا من نار فاحرق على من لا يخرج إلى الصلاة بعد".
Hum se Umar bin Hafs bin Ghiyath ne byaan kiya , kaha ke hum se mere baap ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Amash ne byaan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Abu Saleh Zakwan ne byaan kiya , unhon ne Abu Hurayrah razi Allahu anhu se riwayat kiya , unhon ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke munafiqon par Fajr aur Isha ki namaaz se zyada aur koi namaaz bhaari nahi aur agar unhein maloom hota ke un ka sawab kitna zyada hai (aur chal na saktay) to ghatnon ke bal ghasit kar aatay aur mera to irada ho gaya tha ke moazzin se kahoon ke woh takbeer kahe , phir main kisi ko namaaz parhane ke liye kahoon aur khud aag ki chingaariyan le kar un sab ke gharon ko jala doon jo abhi tak namaaz ke liye nahi nikle .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 644
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" والذي نفسي بيده لقد هممت ان آمر بحطب فيحطب، ثم آمر بالصلاة فيؤذن لها، ثم آمر رجلا فيؤم الناس، ثم اخالف إلى رجال فاحرق عليهم بيوتهم، والذي نفسي بيده لو يعلم احدهم انه يجد عرقا سمينا او مرماتين حسنتين لشهد العشاء".
Hum se Abdullah bin Yusuf Taneesi ne byaan kiya , kaha ke hamein Imam Malik ne Abuz Zinad se khabar di , unhon ne Araj se , unhon ne Abu Hurayrah razi Allahu anhu se ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya , us Zaat ki qasam jis ke haath mein meri jaan hai main ne irada kar liya tha ke lakriyon ke jama karne ka hukm doon . Phir namaaz ke liye kahoon , us ke liye azaan di jaye phir kisi shakhs se kahoon ke woh imamat karay aur main un logon ki taraf jaoon (jo namaaz bajamaat mein haazir nahi hotay) phir unhein un ke gharon samait jala doon . Us Zaat ki qasam jis ke haath mein meri jaan hai agar yeh jamaat mein na shareek hone wale log itni baat jaan lein ke unhein masjid mein ek achhi qism ki gosht wali haddi mil jaye gi ya do umdah khur hi mil jayen ge to yeh Isha ki jamaat ke liye masjid mein zaroor haazir ho jayen .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة