الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الرقاق
Kitab: Dil ko narm karne wali baaton ke bayan mein
باب ما يتقى من فتنة المال:
Maal ke fitne se darte rehna.
Hadith Number: 6437
حدثني محمد، اخبرنا مخلد، اخبرنا ابن جريج، قال: سمعت عطاء، يقول: سمعت ابن عباس، يقول: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" لو ان لابن آدم مثل واد مالا لاحب ان له إليه مثله، ولا يملا عين ابن آدم إلا التراب، ويتوب الله على من تاب"، قال ابن عباس: فلا ادري من القرآن هو ام لا، قال: وسمعت ابن الزبير، يقول ذلك على المنبر.
Mujh se Muhammad bin Salam ne bayan kiya , unhon ne kaha hum ko Makhlad ne khabar di , unhon ne kaha hum ko Ibn Jurayj ne khabar di , unhon ne kaha ke main ne Ata se suna , unhon ne kaha ke main ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se suna , kaha ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna , Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”agar insan ke paas maal (bher bakri) ki poori waadi ho to woh chahe ga ke usay waisi hi ek aur mil jaye aur insan ki aankh matti ke siwa aur koi cheez nahi bhar sakti aur jo Allah se tauba karta hai , woh is ki tauba qabool karta hai .“ Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha ke mujhe maloom nahi yeh Quran mein se hai ya nahi . Bayan kiya ke main ne Ibn Zubayr razi Allahu anhuma ko yeh mimbar par kehte suna tha .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6436
حدثنا ابو عاصم، عن ابن جريج، عن عطاء، قال: سمعت ابن عباس رضي الله عنهما، يقول: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم، يقول:" لو كان لابن آدم واديان من مال لابتغى ثالثا، ولا يملا جوف ابن آدم، إلا التراب، ويتوب الله على من تاب".
Hum se Abu Aasim Nabeel ne bayan kiya , in se Ibn Jurayj ne bayan kiya , in se Ata bin Abi Rabah ne bayan kiya , kaha ke main ne Ibn Abbas razi Allahu anhuma se suna , unhon ne kaha ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna , Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”agar insan ke paas maal ki do waadiyaan hon to teesri ka khwahish-mand ho ga aur insan ka pait matti ke siwa aur koi cheez nahi bhar sakti aur Allah is shakhs ki tauba qabool karta hai jo (dil se) sachi tauba karta hai .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6438
حدثنا ابو نعيم، حدثنا عبد الرحمن بن سليمان بن الغسيل، عن عباس بن سهل بن سعد، قال: سمعت ابن الزبير على المنبر بمكة في خطبته يقول: يا ايها الناس، إن النبي صلى الله عليه وسلم كان يقول:" لو ان ابن آدم اعطي واديا ملئا من ذهب احب إليه ثانيا، ولو اعطي ثانيا احب إليه ثالثا، ولا يسد جوف ابن آدم، إلا التراب، ويتوب الله على من تاب".
Hum se Abu Nuaym ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Abd-ul-Rahman bin Sulayman bin Ghusayl ne bayan kiya , in se Abbas bin Sahl bin Saad ne bayan kiya unhon ne kaha ke main ne Abdullah bin Zubayr razi Allahu anhuma ko Makkah Mukarramah mein mimbar par yeh kehte suna . Unhon ne apne khutba mein kaha ke Ae logo! Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam farmate thay ke agar insan ko ek waadi sona bhar ke de diya jaye to woh doosri ka khwahish-mand rahe ga agar doosri de di jaye to teesri ka khwahish-mand rahe ga aur insan ka pait matti ke siwa aur koi cheez nahi bhar sakti aur Allah Paak is tauba qabool karta hai jo tauba kare .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6439
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله، حدثنا إبراهيم بن سعد، عن صالح، عن ابن شهاب، قال: اخبرني انس بن مالك: ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" لو ان لابن آدم واديا من ذهب احب ان يكون له واديان، ولن يملا فاه إلا التراب، ويتوب الله على من تاب".
Hum se Abd-ul-Aziz bin Abdullah ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Ibrahim bin Saad ne bayan kiya , in se Salih ne bayan kiya , in se Ibn Shihab ne ke mujhe Anas bin Malik razi Allahu anhu ne khabar di aur in se Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”agar insan ke paas sone ki ek waadi ho to woh chahe ga ke do ho jayein aur is ka munh qabr ki matti ke siwa aur koi cheez nahi bhar sakti aur Allah is ki tauba qabool karta hai jo tauba kare .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة