الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الرقاق
Kitab: Dil ko narm karne wali baaton ke bayan mein
باب العمل الذى يبتغى به وجه الله:
Aisa kaam jis se khaalis Allah Taala ki raza mandi maqsood ho.
Hadith Number: 6423
قال: سمعت عتبان بن مالك الانصاري، ثم احد بني سالم، قال: غدا علي رسول الله صلى الله عليه وسلم، فقال:" لن يوافي عبد يوم القيامة يقول: لا إله إلا الله، يبتغي به وجه الله، إلا حرم الله عليه النار".
Unhon ne bayan kiya ke Utban bin Malik Ansari razi Allahu anhu se main ne suna , phir Bani Salim ke ek sahab se suna , unhon ne bayan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam mere yahan tashreef laaye aur farmaya ”koi banda jab Qayamat ke din is halat mein pesh ho ga ke us ne kalma «laa ilaaha illallaahu» ka iqrar kiya ho ga aur is se is ka maqsud Allah ki khushnoodi haasil karna ho gi to Allah Ta'ala dozakh ki aag ko is par haram kar de ga .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 424
حدثنا عبد الله بن مسلمة، قال: حدثنا إبراهيم بن سعد، عن ابن شهاب، عن محمود بن الربيع، عن عتبان بن مالك،" ان النبي صلى الله عليه وسلم اتاه في منزله، فقال: اين تحب ان اصلي لك من بيتك؟ قال: فاشرت له إلى مكان، فكبر النبي صلى الله عليه وسلم وصففنا خلفه، فصلى ركعتين".
Hum se Abdullah bin Maslama Qanabi ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Ibrahim bin Saad ne Ibn Shihab ke wastay se bayan kiya , unhon ne Mahmood bin Rabia se unhon ne Itban bin Malik se jo nabina thay ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam un ke ghar tashreef laye . Aap salla Allahu alaihi wa sallam ne poocha ke tum apne ghar mein kahan pasand karte ho ke tumhare liye namaz parhun . Itban ne bayan kiya ke mein ne ek jagah ki taraf ishara kiya . Phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne takbeer kahi aur hum ne aap salla Allahu alaihi wa sallam ke peechay saff bandhi phir aap salla Allahu alaihi wa sallam ne do rakat namaz nafl parhayi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة