الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الدعوات
Kitab: Duaon ke bayan mein
باب ولكل نبي دعوة مستجابة:
Har Nabi ki ek dua zaroor hi qubool hoti hai.
Hadith Number: 6305
وقال لي خليفة، قال معتمر، سمعت ابي، عن انس، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" كل نبي سال سؤلا، او قال: لكل نبي دعوة قد دعا بها، فاستجيب فجعلت دعوتي شفاعة لامتي يوم القيامة".
Aur Mutamir ne bayan kiya , unhon ne apne walid se suna , unhon ne Anas razi Allahu anhu se ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke har Nabi ne kuch cheezin maangien ya farmaya ke har Nabi ko ek dua di gayi jis cheez ki us ne dua maangi phir usay qabool kiya gaya lekin main ne apni dua Qayamat ke din apni ummat ki shafa'at ke liye mahfooz rakkhi hui hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6304
حدثنا إسماعيل، قال: حدثني مالك، عن ابي الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" لكل نبي دعوة مستجابة يدعو بها، واريد ان اختبئ دعوتي شفاعة لامتي في الآخرة".
Hum se Ismail bin Abi Oways ne bayan kiya , kaha ke mujh se Imam Malik ne bayan kiya , in se Abu al-Zinad ne , in se Aaraj ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”har Nabi ko ek dua haasil hoti hai (jo qabool ki jaati hai) aur main chahta hoon ke main apni dua ko aakhirat mein apni ummat ki shafa'at ke liye mahfooz rakkhoon .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 7474
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، حدثني ابو سلمة بن عبد الرحمن، ان ابا هريرة، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" لكل نبي دعوة، فاريد إن شاء الله ان اختبي دعوتي شفاعة لامتي يوم القيامة".
Hum se Abu al-Yaman ne bayan kiya , unhon ne kaha hum ko Shuayb ne khabar di , unhein Zuhri ne , in se Abu Salamah bin Abd-ur-Rahman ne bayan kiya aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ”har Nabi ki ek dua qabool hoti hai to main chahta hoon agar Allah ne chaha ke apni dua Qayamat ke din apni ummat ki shafa'at ke liye mahfooz rakkhoon .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة