الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الاستئذان
Kitab: Ijazat lene ke bayan mein
باب الختان بعد الكبر ونتف الإبط:
Boodha hone par khatna karna aur baghal ke baal nochana.
Hadith Number: 6300
وقال ابن إدريس، عن ابيه، عن ابي إسحاق، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس:" قبض النبي صلى الله عليه وسلم وانا ختين".
Aur Abdullah ibn Idrees bin Yazid ne apne walid se bayan kiya , in se Abu Ishaq ne , in se Saeed bin Jubayr ne aur in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne ke jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki wafat hui to mera khatna ho chuka tha .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 6299
حدثنا محمد بن عبد الرحيم، اخبرنا عباد بن موسى، حدثنا إسماعيل بن جعفر، عن إسرائيل، عن ابي إسحاق، عن سعيد بن جبير، قال:" سئل ابن عباس مثل من انت حين قبض النبي صلى الله عليه وسلم؟ قال: انا يومئذ مختون، قال: وكانوا لا يختنون الرجل حتى يدرك".
Hum se Muhammad bin Abd-ur-Rahman ne bayan kiya , kaha hum ko Abbad bin Musa ne khabar di , kaha hum se Ismail bin Jafar ne bayan kiya , kaha hum se Israeel ne , in se Abu Ishaq ne , in se Saeed bin Jubayr ne ke Ibn Abbas razi Allahu anhuma se poochha gaya ke jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki wafat hui to Aap ki umr kya thi ? Kaha ke in dinon mera khatna ho chuka tha aur Arab logon ki aadat thi jab tak larka jawani ke qareeb na hota is ka khatna na karte thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة