الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الاستئذان
Kitab: Ijazat lene ke bayan mein
باب الاستلقاء:
Chit letne ka bayaan.
Hadith Number: 6287
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، حدثنا الزهري، قال: اخبرني عباد بن تميم، عن عمه، قال:" رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم في المسجد مستلقيا واضعا إحدى رجليه على الاخرى".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne bayan kiya , kaha hum se Sufyan Sawri ne bayan kiya , kaha hum se Zuhri ne bayan kiya , kaha ke mujhe Ubadah bin Tameem ne khabar di , in se un ke chacha ne bayan kiya ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ko masjid mein chit laite dekha Aap ek paon doosre par rakkhe huay thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 475
حدثنا عبد الله بن مسلمة، عن مالك، عن ابن شهاب، عن عباد بن تميم، عن عمه،" انه راى رسول الله صلى الله عليه وسلم مستلقيا في المسجد واضعا إحدى رجليه على الاخرى"، وعن ابن شهاب، عن سعيد بن المسيب، قال: كان عمر وعثمان يفعلان ذلك.
Hum se Abdullah bin Maslama Qanabi ne bayan kiya Imam Malik ke wastay se , unhon ne Ibn Shihab Zuhri se , unhon ne Abbad bin Tamim se , unhon ne apne chacha Abdullah bin Zaid bin Aasim Mazni raziyallahu anhu se ke unhon ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ko chit lete hue dekha . Aap salla Allahu alaihi wa sallam apna ek paon doosre par rakhe hue thay . Ibn Shihab Zuhri se marwi hai , woh Saeed bin Musayyab se riwayat karte hain ke Umar aur Usman raziyallahu anhuma bhi isi tarah lete thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3624
فقالت: ما كنت لافشي سر رسول الله صلى الله عليه وسلم حتى قبض النبي صلى الله عليه وسلم فسالتها، فقالت: اسر إلي إن جبريل كان يعارضني القرآن كل سنة مرة وإنه عارضني العام مرتين ولا اراه إلا حضر اجلي وإنك اول اهل بيتي لحاقا بي فبكيت، فقال: اما ترضين ان تكوني سيدة نساء اهل الجنة او نساء المؤمنين فضحكت لذلك".
To unhon ne bataya ke Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mere kaan mein kaha tha ke Jibrail Alaihis Salam har saal Quran Majeed ka ek dour kiya karte thay, lekin is saal unhon ne do martaba dour kiya hai, mujhe yaqeen hai ke ab meri maut qareeb hai aur mere gharane mein sab se pehle mujh se aa milne wali tum hogi. Mein (Aap ki is khabar par) rone lagi to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya ke tum is par raazi nahi ke jannat ki aurton ki sardar banogi ya (Aap ne farmaya ke) mominah aurton ki, to is par mein hansi thi.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة