الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الاستئذان
Kitab: Ijazat lene ke bayan mein
باب تسليم الرجال على النساء، والنساء على الرجال:
Mardon ka auraton ko salaam karna aur auraton ka mardon ko.
Show diacritics
Hadith Number: 6248
حدثنا عبد الله بن مسلمة، حدثنا ابن ابي حازم، عن ابيه، عن سهل، قال:" كنا نفرح يوم الجمعة، قلت: ولم، قال: كانت لنا عجوز ترسل إلى بضاعة، قال ابن مسلمة: نخل بالمدينة، فتاخذ من اصول السلق، فتطرحه في قدر وتكركر حبات من شعير، فإذا صلينا الجمعة انصرفنا ونسلم عليها، فتقدمه إلينا، فنفرح من اجله، وما كنا نقيل ولا نتغدى إلا بعد الجمعة".
Hum se Abdullah bin Maslamah Qanabi ne bayan kiya, kaha hum se Ibn Abi Hazim ne in se un ke walid ne aur in se Sahl razi Allahu anhu ne ke hum Jumu'ah ke din khush hua karte thay. Main ne arz ki kis liye? Farmaya ke hamari ek budhia thien jo maqam e Buzha'ah jaya karti thien. Ibn Salama ne kaha ke Buzha'ah Madinah Munawwarah ka khajoor ka ek bagh tha. Phir woh wahan se chuqandar laya karti thien aur usay haandi mein daalti thien aur jau ke kuch dane pees kar (is mein milaati thien) jab hum Jumu'ah ki namaz parh kar wapas hote to unhein salam karne aate aur woh yeh chuqandar ki jadh mein aata mili hui dawat hamare samne rakhti thien hum is wajah se Jumu'ah ke din khush hua karte thay aur qailula ya dopehar ka khana hum Jumu'ah ke baad karte thay.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 937
حدثنا عبد الله بن يوسف، قال: اخبرنا مالك، عن نافع، عن عبد الله بن عمر،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم كان يصلي قبل الظهر ركعتين وبعدها ركعتين، وبعد المغرب ركعتين في بيته، وبعد العشاء ركعتين وكان لا يصلي بعد الجمعة حتى ينصرف فيصلي ركعتين".
Hum se Abdullah bin Yusuf Tanisi ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hamein Imam Malik rahmahu Allah ne Nafi se khabar di , un se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam Zohar se pehle do rakat , is ke baad do rakat aur Maghrib ke baad do rakat apne ghar mein parhte aur Isha ke baad do rakatein parhte aur Juma ke baad do rakatein jab ghar wapas hote tab parha karte thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة