الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأدب
Kitab: Akhlaq ke bayan mein
باب النهي عن الخذف:
Ungliyon se pathar ya kankari phenkne ki mamanat.
Show diacritics
Hadith Number: 6220
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، عن قتادة، قال: سمعت عقبة بن صهبان الازدي يحدث، عن عبد الله بن مغفل المزني، قال: نهى النبي صلى الله عليه وسلم عن الخذف، وقال:" إنه لا يقتل الصيد، ولا ينكا العدو، وإنه يفقا العين ويكسر السن".
Hum se Adam bin Abi Iyas ne bayan kiya, kaha hum se Shubah ne bayan kiya, in se Qatadah ne, unhon ne Uqbah bin Sahban Azdi se suna, woh Abdullah bin Mughaf-fal Muzni se naqal karte thay ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne kankari phenkne se mana kiya thu aur farmaya thu ke woh na shikar maar sakti hai aur na dushman ko koi nuqsan pahuncha sakti hai, albatta aankh phorr sakti hai aur daant torr sakti hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4841
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا شبابة، حدثنا شعبة، عن قتادة، قال: سمعت عقبة بن صهبان، عن عبد الله بن مغفل المزني، إني ممن شهد الشجرة نهى النبي صلى الله عليه وسلم عن الخذف.
Hum se Ali bin Abdullah ne byaan kiya , kaha hum se Shababah ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , un se Qatadah ne byaan kiya , unhon ne Uqbah bin Sahban se suna aur unhon ne Abdullah bin Mugaffal Mazni razi Allahu anhu se , unhon ne kaha ke main darakht ke neeche bai'at mein maujood tha , Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne do ungliyon ke darmiyan kankari le kar phenkne se mana farmaya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4842
وعن عقبة بن صهبان، قال: سمعت عبد الله بن مغفل المزني في البول في المغتسل ياخذ منه الوسواس.
Aur Uqbah bin Sahban ne byaan kiya ke main ne Abdullah bin Mugaffal Mazni razi Allahu anhu se ghusl-khana mein peshab karne ke mutalliq suna . Yani yeh ke Aap ne is se mana farmaya .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5479
حدثنا يوسف بن راشد، حدثنا وكيع، ويزيد بن هارون، واللفظ ليزيد، عن كهمس بن الحسن، عن عبد الله بن بريدة، عن عبد الله بن مغفل انه راى رجلا يخذف، فقال له: لا تخذف فإن رسول الله صلى الله عليه وسلم نهى عن الخذف، او كان يكره الخذف، وقال: إنه لا يصاد به صيد، ولا ينكى به عدو، ولكنها قد تكسر السن وتفقا العينن"، ثم رآه بعد ذلك يخذف، فقال له: احدثك عن رسول الله صلى الله عليه وسلم انه نهى عن الخذف او كره الخذف، وانت تخذف، لا اكلمك كذا وكذا.
Hum se Yusuf bin Rashid ne bayan kiya, kaha hum se Waki aur Yazid bin Haroon ne bayan kiya aur alfaz hadees Yazid ke hain, in se Kahmas bin Hasan ne, in se Abdullah bin Buraydah ne, Abdullah bin Mugaffal razi Allahu anhu ne ek shakhs ko kankari phenkte dekha to farmaya ke kankari na phenko kyunke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne kankari phenkne se mana farmaya hai ya (unhon ne bayan kiya ke) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam kankari phenkne ko pasand nahi karte thay aur kaha ke is se na shikar kiya ja sakta hai aur na dushman ko koi nuqsan pahunchaya ja sakta hai albatta yeh kabhi kisi ka daant torr deti hai aur aankh phorr deti hai. Is ke baad bhi unhon ne is shakhs ko kankriyaan phenkte dekha to kaha ke main Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki hadees tumhein suna raha hoon ke Aap ne kankari phenkne se mana farmaya ya kankari phenkne ko napasand kiya aur tum ab bhi phenke ja rahe ho, main tum se itne dinon tak kalam nahi karoon ga.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة