الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأدب
Kitab: Akhlaq ke bayan mein
باب قول الضيف لصاحبه لا آكل حتى تأكل:
Mehmaan ko apne mezbaan se kehna ke jab tak tum saath na khaao ge mein bhi nahin khaoon ga.
Hadith Number: 6141
حدثني محمد بن المثنى، حدثنا ابن ابي عدي، عن سليمان، عن ابي عثمان، قال عبد الرحمن بن ابي بكر رضي الله عنهما،" جاء ابو بكر بضيف له او باضياف له فامسى عند النبي صلى الله عليه وسلم، فلما جاء قالت له امي: احتبست عن ضيفك او عن اضيافك الليلة، قال: ما عشيتهم؟ فقالت: عرضنا عليه او عليهم فابوا او فابى، فغضب ابو بكر فسب وجدع وحلف لا يطعمه، فاختبات انا، فقال: يا غنثر فحلفت المراة لا تطعمه حتى يطعمه، فحلف الضيف او الاضياف ان لا يطعمه او يطعموه حتى يطعمه، فقال ابو بكر: كان هذه من الشيطان، فدعا بالطعام فاكل واكلوا فجعلوا لا يرفعون لقمة إلا ربا من اسفلها اكثر منها، فقال: يا اخت بني فراس ما هذا؟ فقالت: وقرة عيني إنها الآن لاكثر قبل ان ناكل فاكلوا، وبعث بها إلى النبي صلى الله عليه وسلم فذكر انه اكل منها".
Mujh se Muhammad bin Musanna ne bayan kiya , kaha hum se Ibn Abi Adi ne bayan kiya , in se Sulayman ibn Tarfan ne , in se Abu Usman Nahdi ne ke Abd-ur-Rahman bin Abi Bakr razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Abu Bakr razi Allahu anhu apna ek mehman ya kai mehman le kar ghar aaye . Phir Aap shaam hi se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke paas chale gaye , jab woh laut kar aaye to meri walda ne kaha ke aaj apne mehmanon ko chhorr kar Aap kahan reh gaye thay . Abu Bakr razi Allahu anhu ne poochha kya tum ne in ko khana nahi khilaya . Unhon ne kaha ke hum ne to khana in ke samne pesh kiya lekin unhon ne inkar kiya . Yeh sun kar Abu Bakr razi Allahu anhu ko ghussa aaya aur unhon ne (ghar walon ki) sarzanish ki aur dukh ka izhar kiya aur qasam kha li ke main khana nahi khaoon ga . Abd-ur-Rahman kehte hain ke main to dar ke mare chhup gaya to Aap ne pukara ke Ae paaji! Kidhar hai tu idhar aa . Meri walda ne bhi qasam kha li ke agar woh khana nahi khayein ge to woh bhi nahi khayein gi . Is ke baad mehmanon ne bhi qasam kha li ke agar Abu Bakr razi Allahu anhu nahi khayein ge to woh bhi nahi khayein gi . Aakhir Abu Bakr razi Allahu anhu ne kaha ke yeh ghussa karna shaytani kaam tha , phir Aap ne khana mangwaya aur khud bhi mehmanon ke saath khaya (is khane mein yeh barkat hui) jab yeh log ek luqma uthate to neeche se khana aur bhi barh jata thay . Abu Bakr razi Allahu anhu ne kaha: Ae Bani Firas ki behen! Yeh kya ho raha hai , khana to aur barh gaya . Unhon ne kaha ke meri aankhon ki thandak! Ab yeh is se bhi zyada ho gaya . Jab hum ne khana khaya bhi nahi tha . Phir sab ne khaya aur is mein se Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein bheja , kehte hain ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne bhi is khane mein se khaya .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 602
حدثنا ابو النعمان، قال: حدثنا معتمر بن سليمان، قال: حدثنا ابي، حدثنا ابو عثمان، عن عبد الرحمن بن ابي بكر، ان اصحاب الصفة كانوا اناسا فقراء، وان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" من كان عنده طعام اثنين فليذهب بثالث، وإن اربع فخامس او سادس، وان ابا بكر جاء بثلاثة، فانطلق النبي صلى الله عليه وسلم بعشرة، قال: فهو انا وابي وامي، فلا ادري، قال: وامراتي وخادم بيننا وبين بيت ابي بكر، وإن ابا بكر تعشى عند النبي صلى الله عليه وسلم ثم لبث حيث صليت العشاء، ثم رجع فلبث حتى تعشى النبي صلى الله عليه وسلم، فجاء بعد ما مضى من الليل ما شاء الله، قالت له امراته: وما حبسك عن اضيافك او قالت ضيفك، قال: اوما عشيتيهم، قالت: ابوا حتى تجيء، قد عرضوا فابوا، قال: فذهبت انا فاختبات، فقال: يا غنثر، فجدع وسب، وقال كلوا لا هنيئا، فقال: والله لا اطعمه ابدا وايم الله ما كنا ناخذ من لقمة إلا ربا من اسفلها اكثر منها، قال: يعني حتى شبعوا وصارت اكثر مما كانت قبل ذلك، فنظر إليها ابو بكر فإذا هي كما هي او اكثر منها، فقال لامراته: يا اخت بني فراس، ما هذا؟ قالت: لا وقرة عيني، لهي الآن اكثر منها قبل ذلك بثلاث مرات، فاكل منها ابو بكر وقال: إنما كان ذلك من الشيطان يعني يمينه، ثم اكل منها لقمة، ثم حملها إلى النبي صلى الله عليه وسلم فاصبحت عنده، وكان بيننا وبين قوم عقد فمضى الاجل ففرقنا اثنا عشر رجلا مع كل رجل منهم اناس الله اعلم كم مع كل رجل، فاكلوا منها اجمعون او كما قال".
Hum se Abul Numan Muhammad bin Fazl ne bayan kiya , kaha ke hum se Mutamir bin Sulaiman ne bayan kiya , un se un ke walid Sulaiman bin Tarkhan ne , kaha ke hum se Abu Usman Nahdi ne Abdur Rahman bin Abi Bakr raziyallahu anhuma se yeh hadees bayan ki ke Ashab e Suffa nadar miskeen log thay aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke jis ke ghar mein do aadmiyon ka khana ho to woh teesre Ashab e Suffa mein se kisi ko apne sath le jaye . Aur jis ke yahan char aadmiyon ka khana hai to woh panchwin ya chhatte aadmi ko sayban walon mein se apne sath le jaye . Pas Abu Bakr raziyallahu anhu teen aadmi apne sath laye . Aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam das aadmiyon ko apne sath le gaye . Abdur Rahman bin Abi Bakr raziyallahu anhuma ne bayan kiya ke ghar ke afraad mein is waqt baap , maan aur mein tha . Abu Usman raawi ka bayan hai ke mujhe yaad nahi ke Abdur Rahman bin Abi Bakr ne yeh kaha ya nahi ke meri biwi aur ek khadim jo mere aur Abu Bakr raziyallahu anhu dono ke ghar ke liye tha yeh bhi thay . Khair Abu Bakr raziyallahu anhu Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ke yahan thehr gaye . Aur ghaliban khana bhi wahi khaya . Surat yeh hui ke namaz isha tak wahi rahe . Phir masjid se Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ke hijra mubarak mein aaye aur wahi thehre rahe taanke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne bhi khana kha liya . Aur raat ka ek hissa guzar jane ke baad jab Allah Taala ne chaha to aap ghar tashreef laye to un ki biwi Um Roman ne kaha ke kya baat pesh aayi ke mehmaanon ki khabar bhi aap ne na li , ya yeh ke mehmaan ki khabar na li . Aap ne poocha , kya tum ne abhi unhein raat ka khana nahi khilaya . Um Roman ne kaha ke mein kya karun aap ke aane tak unhon ne khane se inkar kiya . Khane ke liye un se kaha gaya tha lekin woh na mane . Abdur Rahman bin Abi Bakr raziyallahu anhuma ne bayan kiya ke mein dar kar chhup gaya . Abu Bakr raziyallahu anhu ne pukara aye Ghunthar! yani o paji aap ne bura bhala kaha aur kosne diye . Farmaya ke khao tumhein mubarak na ho! Allah ki qasam! mein is khane ko kabhi nahi khaunga . Aakhir mehmaanon ko khana khilaya gaya Abdur Rahman raziyallahu anhu ne kaha Allah gawah hai ke hum idhar ek luqma lete thay aur neechay se pehle se bhi zyada khana ho jata tha . Bayan kiya ke sab log shikam seer ho gaye . Aur khana pehle se bhi zyada bach gaya . Abu Bakr raziyallahu anhu ne dekha to khana pehle hi itna ya is se bhi zyada tha . Apni biwi se bole . Banu Firas ki behan! yeh kya baat hai ? Unhon ne kaha ke meri aankh ki thandak ki qasam! yeh to pehle se teen guna hai . Phir Abu Bakr raziyallahu anhu ne bhi woh khana khaya aur kaha ke mera qasam khana ek shaitani waswasa tha . Phir ek luqma is mein se khaya . Aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ki khidmat mein baqiya khana le gaye aur aap ki khidmat mein hazir hue . Woh subah tak aap ke pas rakha raha . Abdur Rahman ne kaha ke hum musalmanon ka ek doosre qabeela ke logon se muahida tha . Aur muahida ki muddat poori ho chuki thi . Is qabeela ka wafd muahida se mutalliq baat cheet karne Madina mein aaya hua tha hum ne un mein se barah aadmi juda kiye aur har ek ke sath kitne aadmi thay Allah ko hi maloom hai un sab ne un mein se khaya . Abdur Rahman raziyallahu anhu ne kuch aisa hi kaha .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة