الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأدب
Kitab: Akhlaq ke bayan mein
باب ما يكره من الغضب والجزع عند الضيف:
Mehmaan ke saamne ghusssa aur ranj ka izhaar karna makrooh hai.
Hadith Number: 6140
حدثنا عياش بن الوليد، حدثنا عبد الاعلى، حدثنا سعيد الجريري، عن ابي عثمان، عن عبد الرحمن بن ابي بكر رضي الله عنهما،" ان ابا بكر تضيف رهطا، فقال لعبد الرحمن: دونك اضيافك فإني منطلق إلى النبي صلى الله عليه وسلم فافرغ من قراهم قبل ان اجيء، فانطلق عبد الرحمن فاتاهم بما عنده، فقال: اطعموا، فقالوا: اين رب منزلنا؟ قال: اطعموا، قالوا: ما نحن بآكلين حتى يجيء رب منزلنا، قال: اقبلوا عنا قراكم فإنه إن جاء ولم تطعموا لنلقين منه فابوا فعرفت انه يجد علي، فلما جاء تنحيت عنه، فقال: ما صنعتم؟ فاخبروه، فقال: يا عبد الرحمن فسكت، ثم قال: يا عبد الرحمن فسكت، فقال: يا غنثر اقسمت عليك إن كنت تسمع صوتي لما جئت فخرجت، فقلت: سل اضيافك، فقالوا: صدق اتانا به قال: فإنما انتظرتموني، والله لا اطعمه الليلة، فقال الآخرون: والله لا نطعمه حتى تطعمه، قال: لم ار في الشر كالليلة، ويلكم ما انتم لم لا تقبلون عنا قراكم، هات طعامك فجاءه فوضع يده، فقال: باسم الله الاولى للشيطان فاكل واكلوا".
Hum se Ay-yash bin al-Waleed ne bayan kiya , kaha hum se Abd-ul-A'la ne bayan kiya , kaha hum se Saeed al-Jurayri ne bayan kiya , in se Abu Usman Nahdi ne , in se Abd-ur-Rahman bin Abi Bakr razi Allahu anhuma ne ke Abu Bakr razi Allahu anhu ne kuch logon ki mezbani ki aur Abd-ur-Rahman se kaha ke mehmanon ka poori tarah khayal rakhna kyunke main Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke paas jaoon ga , mere aane se pehle unhein khana khila dena . Chunanche Abd-ur-Rahman khana mehmanon ke paas laaye aur kaha ke khana khaiye . Unhon ne poochha ke hamare ghar ke maalik kahan hain ? Unhon ne arz kiya ke Aap log khana kha lein . Mehmanon ne kaha ke jab tak hamare mezban na aa jayein hum khana nahi khayein ge . Abd-ur-Rahman razi Allahu anhu ne arz kiya ke hamari darkhast qabool kar lijiye kyunke Abu Bakr razi Allahu anhu ke aane tak agar Aap log khane se farigh nahi ho gaye to hamain in ki khafgi ka samna ho ga . Unhon ne is par bhi inkar kiya . Main jaanta tha ke Abu Bakr razi Allahu anhu mujh par naraz hon ge . Is liye jab woh aaye main in se bachne laga . Unhon ne poochha: tum logon ne kya kiya ? Ghar walon ne unhein bataya to unhon ne Abd-ur-Rahman razi Allahu anhu ko pukara! Main khamosh raha . Phir unhon ne pukara! Abd-ur-Rahman! Main is martaba bhi khamosh raha . Phir unhon ne kaha are paaji main tujh ko qasam deta hoon ke agar tu meri aawaz sun raha hai to bahar aa ja , main bahar nikla aur arz kiya ke Aap apne mehmanon se pooch lein . Mehmanon ne bhi kaha Abd-ur-Rahman sach keh raha hai . Woh khana hamare paas laaye thay . Aakhir walid razi Allahu anhu ne kaha ke tum logon ne mera intizar kiya , Allah ki qasam! Main aaj raat khana nahi khaoon ga . Mehmanon ne bhi qasam kha li Allah ki qasam jab tak Aap na khayein hum bhi na khayein ge . Abu Bakr razi Allahu anhu ne kaha bhai main ne aaisi kharab baat kabhi nahi dekhi . Mehmano! Tum log hamari mezbani se kyun inkar karte ho . Khair Abd-ur-Rahman khana la , woh khana laaye to Aap ने is par apna hath rakh kar kaha , Allah ke naam se shuru karta hoon , pehli halat (khana na khane ki qasam) shaytan ki taraf se thi . Chunanche unhon ne khana khaya aur in ke saath mehmanon ne bhi khaya .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 602
حدثنا ابو النعمان، قال: حدثنا معتمر بن سليمان، قال: حدثنا ابي، حدثنا ابو عثمان، عن عبد الرحمن بن ابي بكر، ان اصحاب الصفة كانوا اناسا فقراء، وان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" من كان عنده طعام اثنين فليذهب بثالث، وإن اربع فخامس او سادس، وان ابا بكر جاء بثلاثة، فانطلق النبي صلى الله عليه وسلم بعشرة، قال: فهو انا وابي وامي، فلا ادري، قال: وامراتي وخادم بيننا وبين بيت ابي بكر، وإن ابا بكر تعشى عند النبي صلى الله عليه وسلم ثم لبث حيث صليت العشاء، ثم رجع فلبث حتى تعشى النبي صلى الله عليه وسلم، فجاء بعد ما مضى من الليل ما شاء الله، قالت له امراته: وما حبسك عن اضيافك او قالت ضيفك، قال: اوما عشيتيهم، قالت: ابوا حتى تجيء، قد عرضوا فابوا، قال: فذهبت انا فاختبات، فقال: يا غنثر، فجدع وسب، وقال كلوا لا هنيئا، فقال: والله لا اطعمه ابدا وايم الله ما كنا ناخذ من لقمة إلا ربا من اسفلها اكثر منها، قال: يعني حتى شبعوا وصارت اكثر مما كانت قبل ذلك، فنظر إليها ابو بكر فإذا هي كما هي او اكثر منها، فقال لامراته: يا اخت بني فراس، ما هذا؟ قالت: لا وقرة عيني، لهي الآن اكثر منها قبل ذلك بثلاث مرات، فاكل منها ابو بكر وقال: إنما كان ذلك من الشيطان يعني يمينه، ثم اكل منها لقمة، ثم حملها إلى النبي صلى الله عليه وسلم فاصبحت عنده، وكان بيننا وبين قوم عقد فمضى الاجل ففرقنا اثنا عشر رجلا مع كل رجل منهم اناس الله اعلم كم مع كل رجل، فاكلوا منها اجمعون او كما قال".
Hum se Abul Numan Muhammad bin Fazl ne bayan kiya , kaha ke hum se Mutamir bin Sulaiman ne bayan kiya , un se un ke walid Sulaiman bin Tarkhan ne , kaha ke hum se Abu Usman Nahdi ne Abdur Rahman bin Abi Bakr raziyallahu anhuma se yeh hadees bayan ki ke Ashab e Suffa nadar miskeen log thay aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke jis ke ghar mein do aadmiyon ka khana ho to woh teesre Ashab e Suffa mein se kisi ko apne sath le jaye . Aur jis ke yahan char aadmiyon ka khana hai to woh panchwin ya chhatte aadmi ko sayban walon mein se apne sath le jaye . Pas Abu Bakr raziyallahu anhu teen aadmi apne sath laye . Aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam das aadmiyon ko apne sath le gaye . Abdur Rahman bin Abi Bakr raziyallahu anhuma ne bayan kiya ke ghar ke afraad mein is waqt baap , maan aur mein tha . Abu Usman raawi ka bayan hai ke mujhe yaad nahi ke Abdur Rahman bin Abi Bakr ne yeh kaha ya nahi ke meri biwi aur ek khadim jo mere aur Abu Bakr raziyallahu anhu dono ke ghar ke liye tha yeh bhi thay . Khair Abu Bakr raziyallahu anhu Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ke yahan thehr gaye . Aur ghaliban khana bhi wahi khaya . Surat yeh hui ke namaz isha tak wahi rahe . Phir masjid se Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ke hijra mubarak mein aaye aur wahi thehre rahe taanke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ne bhi khana kha liya . Aur raat ka ek hissa guzar jane ke baad jab Allah Taala ne chaha to aap ghar tashreef laye to un ki biwi Um Roman ne kaha ke kya baat pesh aayi ke mehmaanon ki khabar bhi aap ne na li , ya yeh ke mehmaan ki khabar na li . Aap ne poocha , kya tum ne abhi unhein raat ka khana nahi khilaya . Um Roman ne kaha ke mein kya karun aap ke aane tak unhon ne khane se inkar kiya . Khane ke liye un se kaha gaya tha lekin woh na mane . Abdur Rahman bin Abi Bakr raziyallahu anhuma ne bayan kiya ke mein dar kar chhup gaya . Abu Bakr raziyallahu anhu ne pukara aye Ghunthar! yani o paji aap ne bura bhala kaha aur kosne diye . Farmaya ke khao tumhein mubarak na ho! Allah ki qasam! mein is khane ko kabhi nahi khaunga . Aakhir mehmaanon ko khana khilaya gaya Abdur Rahman raziyallahu anhu ne kaha Allah gawah hai ke hum idhar ek luqma lete thay aur neechay se pehle se bhi zyada khana ho jata tha . Bayan kiya ke sab log shikam seer ho gaye . Aur khana pehle se bhi zyada bach gaya . Abu Bakr raziyallahu anhu ne dekha to khana pehle hi itna ya is se bhi zyada tha . Apni biwi se bole . Banu Firas ki behan! yeh kya baat hai ? Unhon ne kaha ke meri aankh ki thandak ki qasam! yeh to pehle se teen guna hai . Phir Abu Bakr raziyallahu anhu ne bhi woh khana khaya aur kaha ke mera qasam khana ek shaitani waswasa tha . Phir ek luqma is mein se khaya . Aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam ki khidmat mein baqiya khana le gaye aur aap ki khidmat mein hazir hue . Woh subah tak aap ke pas rakha raha . Abdur Rahman ne kaha ke hum musalmanon ka ek doosre qabeela ke logon se muahida tha . Aur muahida ki muddat poori ho chuki thi . Is qabeela ka wafd muahida se mutalliq baat cheet karne Madina mein aaya hua tha hum ne un mein se barah aadmi juda kiye aur har ek ke sath kitne aadmi thay Allah ko hi maloom hai un sab ne un mein se khaya . Abdur Rahman raziyallahu anhu ne kuch aisa hi kaha .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة