الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأدب
Kitab: Akhlaq ke bayan mein
باب الإخاء والحلف:
Kisi se bhai chaara aur dosti ka iqraar karna.
Show diacritics
Hadith Number: 6083
حدثنا محمد بن صباح، حدثنا إسماعيل بن زكرياء، حدثنا عاصم، قال: قلت لانس بن مالك: ابلغك ان النبي صلى الله عليه وسلم قال: لا حلف في الإسلام؟ فقال:" قد حالف النبي صلى الله عليه وسلم بين قريش والانصار في داري.
Hum se Muhammad bin Sabbah ne bayan kiya, kaha hum se Ismail bin Zakariya ne bayan kiya, kaha hum se Aasim bin Sulayman Ahwal ne bayan kiya, kaha ke main ne Anas bin Malik razi Allahu anhu se poochha, kya tum ko yeh baat maloom hai ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Islam mein mu'ahida (hulf) ki koi asal nahi? Anas razi Allahu anhu ne farmaya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne khud Quraish aur Ansar ke darmiyan mere ghar mein hulf karayi thi.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2294
حدثنا محمد بن الصباح، حدثنا إسماعيل بن زكرياء، حدثنا عاصم، قال: قلت لانس بن مالك رضي الله عنه: ابلغك ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لا حلف في الإسلام"، فقال: قد حالف النبي صلى الله عليه وسلم بين قريش، والانصار في داري.
Hum se Muhammad Bin Sabah ne bayan kiya, kaha hum se Ismail Bin Zakariya ne bayan kiya, un se Asim Bin Sulaiman ne bayan kiya, kaha ke mein ne Anas (Radi Allahu Anhu) se poocha kya aap ko ye baat maloom hai ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne irshad farmaya tha, Islam mein jahiliyat wale (ghalat qism ke) ahad-o-paiman nahi hain. To unhon ne kaha ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne to khud Ansar aur Quraish ke darmiyan mere ghar in ahad-o-paiman karaya tha
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة