الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب مواقيت الصلاة
Kitab: Auqat-e-namaz ke bayan mein
باب قضاء الصلوات الأولى فالأولى:
Bab: Agar kayi namazen qaza ho jayen to un ko tartib ke sath parhna.
Show diacritics
Hadith Number: 598
حدثنا مسدد، قال: حدثنا يحيى القطان، اخبرنا هشام، قال: حدثنا يحيى هو ابن ابي كثير، عن ابي سلمة، عن جابر، قال:" جعل عمر يوم الخندق يسب كفارهم، وقال: ما كدت اصلي العصر حتى غربت، قال: فنزلنا بطحان فصلى بعد ما غربت الشمس، ثم صلى المغرب".
Hum se Musaddad ne bayan kiya , kaha ke hum se Yahya bin Saeed Qattan ne , kaha ke hum se Hisham Dastawai ne hadees bayan ki , kaha ke hum se Yahya ne jo Abi Kathir ke bete hain hadees bayan ki Abu Salama se , unhon ne Jabir raziyallahu anhu se , unhon ne farmaya ke Umar raziyallahu anhu ghazwa Khandaq ke moqa par ek din kuffar ko bura bhala kehne lage . Farmaya ke sooraj ghuroob ho gaya , lekin mein larai ki wajah se namaz asr na parh saka . Jabir raziyallahu anhu ne bayan kiya ke phir hum wadi Bathan ki taraf gaye . Aur aap salla Allahu alaihi wa sallam ne asr ki namaz ghuroob shams ke baad parhi is ke baad maghrib parhi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 596
حدثنا معاذ بن فضالة، قال: حدثنا هشام، عن يحيى، عن ابي سلمة، عن جابر بن عبد الله، ان عمر بن الخطاب جاء يوم الخندق بعد ما غربت الشمس فجعل يسب كفار قريش، قال: يا رسول الله، ما كدت اصلي العصر حتى كادت الشمس تغرب، قال النبي صلى الله عليه وسلم والله:" ما صليتها، فقمنا إلى بطحان فتوضا للصلاة وتوضانا لها فصلى العصر بعد ما غربت الشمس، ثم صلى بعدها المغرب".
Hum se Muaz bin Fazala ne hadees naql ki , unhon ne kaha hum se Hisham Dastawai ne bayan kiya , unhon ne Yahya bin Abi Kathir se riwayat kiya , unhon ne Abu Salama bin Abdur Rahman se , unhon ne Jabir bin Abdullah raziyallahu anhuma se ke Umar bin Khattab raziyallahu anhu ghazwa Khandaq ke moqa par ek martaba sooraj ghuroob hone ke baad aaye aur woh kuffar Quraish ko bura bhala keh rahe thay . Aur aap ne kaha ke aye Allah ke Rasool! sooraj ghuroob ho gaya , aur namaz asr parhna mere liye mumkin na ho saka . Is par Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke namaz mein ne bhi nahi parhi . Phir hum wadi Bathan mein gaye aur aap salla Allahu alaihi wa sallam ne wahan namaz ke liye wudu kiya , hum ne bhi wudu banaya . Is waqt sooraj doob chuka tha . Pehle aap salla Allahu alaihi wa sallam ne asr parhayi is ke baad maghrib ki namaz parhi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة