الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب اللباس
Kitab: Libas ke bayan mein
باب حمل صاحب الدابة غيره بين يديه:
Janwar ke maalik ka dusre ko sawari par apne aage bithana jaiz hai.
Hadith Number: 5966
حدثني محمد بن بشار، حدثنا عبد الوهاب، حدثنا ايوب، ذكر شر الثلاثة عند عكرمة، فقال قال ابن عباس" اتى رسول الله صلى الله عليه وسلم وقد حمل قثم بين يديه والفضل خلفه، او قثم خلفه والفضل بين يديه فايهم شر او ايهم خير".
Mujh se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya, kaha hum se Abd-ul-Wahhab ne, kaha hum se Ayub Sakhtiyani ne ke Ikrimah ke samne yeh zikr aaya ke teen aadmi jo ek janwar par charhein is mein kaun bahut bura hai. Unhon ne bayan kiya ke Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha ke Rasool Allahsalla Allahu alaihi wasallam (Makkah Mukarramah) tashreef laaye to Aap Qusam bin Abbas ko apni sawari par aage aur Fazl bin Abbas ko peeche bithaaye huay thay. Ya Qusam peeche thay aur Fazl aage thay (razi Allahu anhum) ab tum in mein se kisay bura kaho ge aur kisay achha.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1798
حدثنا معلى بن اسد، حدثنا يزيد بن زريع، حدثنا خالد، عن عكرمة، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" لما قدم النبي صلى الله عليه وسلم مكة استقبلته اغيلمة بني عبد المطلب، فحمل واحدا بين يديه وآخر خلفه".
Hum se Mualla Bin Asad ne bayan kiya, kaha hum se Yazid Bin Zuraie ne bayan kiya, un se Khalid ne bayan kiya, un se Ikrima ne aur un se Ibn Abbas (Radi Allahu Anhuma) ne bayan kiya ke jab Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Makkah tashreef laye to Bano Abdul Muttalib ke chand bachon ne Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ka istiqbal kiya, Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ek bache ko (apni sawari ke) aage bitha liya aur doosre ko peeche
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة