الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب مواقيت الصلاة
Kitab: Auqat-e-namaz ke bayan mein
باب من صلى بالناس جماعة بعد ذهاب الوقت:
Bab: Is ke bare mein jis ne waqt nikal jane ke baad qaza namaz logon ke sath jama’at se parhi.
Show diacritics
Hadith Number: 596
حدثنا معاذ بن فضالة، قال: حدثنا هشام، عن يحيى، عن ابي سلمة، عن جابر بن عبد الله، ان عمر بن الخطاب جاء يوم الخندق بعد ما غربت الشمس فجعل يسب كفار قريش، قال: يا رسول الله، ما كدت اصلي العصر حتى كادت الشمس تغرب، قال النبي صلى الله عليه وسلم والله:" ما صليتها، فقمنا إلى بطحان فتوضا للصلاة وتوضانا لها فصلى العصر بعد ما غربت الشمس، ثم صلى بعدها المغرب".
Hum se Muaz bin Fazala ne hadees naql ki , unhon ne kaha hum se Hisham Dastawai ne bayan kiya , unhon ne Yahya bin Abi Kathir se riwayat kiya , unhon ne Abu Salama bin Abdur Rahman se , unhon ne Jabir bin Abdullah raziyallahu anhuma se ke Umar bin Khattab raziyallahu anhu ghazwa Khandaq ke moqa par ek martaba sooraj ghuroob hone ke baad aaye aur woh kuffar Quraish ko bura bhala keh rahe thay . Aur aap ne kaha ke aye Allah ke Rasool! sooraj ghuroob ho gaya , aur namaz asr parhna mere liye mumkin na ho saka . Is par Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam ne farmaya ke namaz mein ne bhi nahi parhi . Phir hum wadi Bathan mein gaye aur aap salla Allahu alaihi wa sallam ne wahan namaz ke liye wudu kiya , hum ne bhi wudu banaya . Is waqt sooraj doob chuka tha . Pehle aap salla Allahu alaihi wa sallam ne asr parhayi is ke baad maghrib ki namaz parhi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 598
حدثنا مسدد، قال: حدثنا يحيى القطان، اخبرنا هشام، قال: حدثنا يحيى هو ابن ابي كثير، عن ابي سلمة، عن جابر، قال:" جعل عمر يوم الخندق يسب كفارهم، وقال: ما كدت اصلي العصر حتى غربت، قال: فنزلنا بطحان فصلى بعد ما غربت الشمس، ثم صلى المغرب".
Hum se Musaddad ne bayan kiya , kaha ke hum se Yahya bin Saeed Qattan ne , kaha ke hum se Hisham Dastawai ne hadees bayan ki , kaha ke hum se Yahya ne jo Abi Kathir ke bete hain hadees bayan ki Abu Salama se , unhon ne Jabir raziyallahu anhu se , unhon ne farmaya ke Umar raziyallahu anhu ghazwa Khandaq ke moqa par ek din kuffar ko bura bhala kehne lage . Farmaya ke sooraj ghuroob ho gaya , lekin mein larai ki wajah se namaz asr na parh saka . Jabir raziyallahu anhu ne bayan kiya ke phir hum wadi Bathan ki taraf gaye . Aur aap salla Allahu alaihi wa sallam ne asr ki namaz ghuroob shams ke baad parhi is ke baad maghrib parhi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 641
حدثنا ابو نعيم، قال: حدثنا شيبان، عن يحيى، قال: سمعت ابا سلمة، يقول: اخبرنا جابر بن عبد الله،" ان النبي صلى الله عليه وسلم جاءه عمر بن الخطاب يوم الخندق، فقال: يا رسول الله، والله ما كدت ان اصلي حتى كادت الشمس تغرب وذلك بعد ما افطر الصائم، فقال النبي صلى الله عليه وسلم: والله ما صليتها، فنزل النبي صلى الله عليه وسلم إلى بطحان وانا معه، فتوضا ثم صلى يعني العصر بعد ما غربت الشمس، ثم صلى بعدها المغرب".
Hum se Abu Naeem ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Shayban ne Yahya ke wastay se byaan kiya , unhon ne kaha ke main ne Abu Salama se suna , woh kehtay thay ke hamein Jabir bin Abdullah Ansari razi Allahu anhuma ne khabar di ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein Umar bin Khattab razi Allahu anhu ghazwa Khandaq ke din haazir huay aur arz ki ya Rasool Allah! qasam Allah ki sooraj ghuroob hone ko hi tha ke main ab Asr ki namaaz parh saka hoon . Aap jab haazir khidmat huay to roza iftaar karne ka waqt aa chuka tha . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke qasam Allah ki main ne bhi to namaaz Asr nahi parhi hai . Phir Aap salla Allahu alayhi wasallam Buthan ki taraf gaye . Main Aap salla Allahu alayhi wasallam ke saath hi tha . Aap salla Allahu alayhi wasallam ne wuzu kiya , phir Asr ki namaaz parhi . Sooraj doob chuka tha . Phir us ke baad Maghrib ki namaaz parhi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 945
حدثنا يحيى، قال: حدثنا وكيع، عن علي بن مبارك، عن يحيى بن ابي كثير، عن ابي سلمة، عن جابر بن عبد الله، قال: جاء عمر يوم الخندق فجعل يسب كفار قريش ويقول: يا رسول الله ما صليت العصر حتى كادت الشمس ان تغيب، فقال النبي صلى الله عليه وسلم:" وانا والله ما صليتها بعد، قال: فنزل إلى بطحان فتوضا وصلى العصر بعد ما غابت الشمس، ثم صلى المغرب بعدها".
Hum se Yahya bin Jafar ne byaan kiya ke hum se Wakee ne Ali bin Mubarak se byaan kiya , un se Yahya bin Abi Kaseer ne , un se Abu Salamah ne , un se Jabir bin Abdullah Ansari razi Allahu anhu ne ke Umar razi Allahu anhu Ghazwa-e-Khandaq ke din kuffar ko bura bhala kehte hue aaye aur arz karne lage ke ya Rasool Allah! sooraj doobne hi ko hai aur main ne to ab tak Asr ki namaaz nahi parhi , is par Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke bakhuda main ne bhi abhi tak nahi parhi unhon ne byaan kiya ke phir Aap ”Buthan“ ki taraf gaye (jo Madinah mein aik maidan tha) aur wuzu kar ke Aap ne wahan sooraj ghuroob hone ke baad Asr ki namaaz parhi , phir is ke baad namaaz-e-Maghrib parhi .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4112
حدثنا المكي بن إبراهيم , حدثنا هشام , عن يحيى , عن ابي سلمة , عن جابر بن عبد الله , ان عمر بن الخطاب رضي الله عنه جاء يوم الخندق بعد ما غربت الشمس جعل يسب كفار قريش , وقال: يا رسول الله ما كدت ان اصلي حتى كادت الشمس ان تغرب , قال النبي صلى الله عليه وسلم:" والله ما صليتها" , فنزلنا مع النبي صلى الله عليه وسلم بطحان , فتوضا للصلاة وتوضانا لها , فصلى العصر بعد ما غربت الشمس , ثم صلى بعدها المغرب.
Hum se Makki Bin Ibrahim ne bayan kiya ‘ kaha hum se Hisham Bin Hassan ne bayan kiya ‘ un se Yahya Bin Abi Kaseer ne ‘ un se Abu Salama Bin Abdur Rahman ne aur un se Jabir Radi Allahu Anhu ne ke Umar Bin Khattab Radi Allahu Anhu Ghazwa Khandaq ke mauqe par sooraj ghuroob hone ke baad (lar kar) wapas hue. Wo kuffar-e-Quraish ko bura bhala keh rahe thay. Unhon ne arz kiya: Ya Rasul Allah! Sooraj ghuroob hone ko hai aur mein asar ki namaz ab tak nahi parh saka. Is par Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke Allah ki qasam! Namaz to mein bhi na parh saka. Aakhir hum Rasul Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ke sath wadi-e-Buthan mein utre. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne namaz ke liye wudhu kiya. Hum ne bhi wudhu kiya ‘ phir asar ki namaz sooraj ghuroob hone ke baad parhi aur is ke baad maghrib ki namaz parhi
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة