الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب اللباس
Kitab: Libas ke bayan mein
باب المتفلجات للحسن:
Hasn ke liye jo auratein daant kushada karayen.
Hadith Number: 5931
حدثنا عثمان، حدثنا جرير، عن منصور، عن إبراهيم، عن علقمة، قال عبد الله" لعن الله الواشمات والمتنمصات والمتفلجات للحسن المغيرات خلق الله تعالى"، مالي لا العن من لعن النبي صلى الله عليه وسلم وهو في كتاب الله وما آتاكم الرسول فخذوه سورة الحشر آية 7.
Hum se Usman bin Abi Shaybah ne bayan kiya, kaha hum se Jareer bin Abd-ul-Hameed ne bayan kiya, in se Mansoor bin Mutamir ne, in se Ibrahim Nakhai ne, in se Alqama ne aur in se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne ke Allah Ta'ala ne husn ke liye godne waliyon, gudwane waliyon par aur chehre ke baal ukharrne waliyon par aur daanton ke darmiyan kushadgi paida karne waliyon par, jo Allah ki khalqat ko badlein in sab par lanat bheji hai, main bhi kyun na in logon par lanat karoon jin par Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne lanat ki hai aur is ki daleel ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki lanat khud Quran Majeed mein maujood hai. Aayat «wa maa ataakum-ur-rasoolu fakhuzhoohu» hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4886
حدثنا محمد بن يوسف، حدثنا سفيان، عن منصور، عن إبراهيم، عن علقمة، عن عبد الله، قال:" لعن الله الواشمات، والموتشمات، والمتنمصات، والمتفلجات للحسن المغيرات خلق الله"، فبلغ ذلك امراة من بني اسد، يقال لها ام يعقوب، فجاءت، فقالت: إنه بلغني عنك انك لعنت كيت وكيت، فقال:" وما لي العن من لعن رسول الله صلى الله عليه وسلم ومن هو في كتاب الله"، فقالت: لقد قرات ما بين اللوحين فما وجدت فيه ما تقول، قال:" لئن كنت قراتيه لقد وجدتيه اما قرات: وما آتاكم الرسول فخذوه وما نهاكم عنه فانتهوا سورة الحشر آية 7، قالت: بلى، قال: فإنه قد نهى عنه، قالت: فإني ارى اهلك يفعلونه، قال: فاذهبي فانظري، فذهبت فنظرت فلم تر من حاجتها شيئا، فقال:" لو كانت كذلك ما جامعتها".
Hum se Muhammad bin Yusuf Baykandi ne byaan kiya, kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne, byaan kiya, un se Mansoor bin Mutamir ne, un se Ibrahim Nakhai ne, un se Alqamah ne aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Allah Ta'ala ne gudwane waliyon aur gudne waliyon par lanat bheji hai chehre ke baal ukhaarne waliyon aur husn ke liye aage ke daant-on mein kushadagi karne waliyon par lanat bheji hai ke yeh Allah ki paida ki hui surat mein tabdeeli karti hain. Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ka yeh kalam qabila Bani Asad ki ek aurat ko maloom hua jo Umm Yaqoob ke naam se maroof thi woh aayi aur kaha ke mujhe maloom hua hai ke Aap ne is tarah ki auraton par lanat bheji hai? Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne kaha aakhir kyun na main unhein lanat karoon jinhein Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne lanat ki hai aur jo Kitab Allah ke hukm ke mutabiq maloon hai. Is aurat ne kaha ke Quran Majeed to main ne bhi parha hai lekin Aap jo kuch kehte hain main ne to is mein kahin yeh baat nahi dekhi. Unhon ne kaha ke agar tum ne baghaur parha hota to tumhein zaroor mil jata kya tum ne yeh aayat nahi parhi «wa ma aataakum-ur-rasoolu fakhuzhoohu wa ma nahaakum anhu fantahoo» ke ”Rasool (salla Allahu alaihi wasallam) tumhein jo kuch dein le liya karo aur jis se tumhein rok dein, ruk jaya karo.“ Is ne kaha ke parhi hai Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne kaha ke phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne in cheezon se roka hai. Is par aurat ne kaha ke mera khayal hai ke Aap ki biwi bhi aisa karti hain. Unhon ne kaha ke achha jao aur dekh lo. Woh aurat gayi aur is ne dekha lekin is tarah ki un ke yahan koi mayoob cheez usay nahi mili. Phir Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne kaha ke agar meri biwi isi tarah karti to bhala woh mere saath reh sakti thi? Hargiz nahi.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة