الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب اللباس
Kitab: Libas ke bayan mein
باب التلبيد:
Khatmi (ya gond waghera) se baalon ko jamaana.
Hadith Number: 5914
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال: اخبرني سالم بن عبد الله، ان عبد الله بن عمر، قال: سمعت عمر رضي الله عنه، يقول:" من ضفر فليحلق، ولا تشبهوا بالتلبيد"، وكان ابن عمر، يقول:" لقد رايت رسول الله صلى الله عليه وسلم ملبدا".
Hum se Abu al-Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuayb ne khabar di, unhein Zuhri ne kaha ke mujhe Salim bin Abdullah ne khabar di aur in se Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke main ne Umar razi Allahu anhu se suna, unhon ne kaha ke jo shakhs sar ke baalon ko goond le (woh Hajj ya Umrah se farigh ho kar sar mundaye) aur jaise ihram mein baalon ko jama laite hain ghair ihram mein na jamao aur Ibn Umar razi Allahu anhuma kehte thay main ne to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ko baal jamaate dekha.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1540
حدثنا اصبغ، اخبرنا ابن وهب، عن يونس، عن ابن شهاب، عن سالم، عن ابيه رضي الله عنه، قال:" سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم يهل ملبدا".
Hum se Asbagh bin Faraj ne byaan kiya , kaha ke humein Abdullah bin Wahab ne khabar di , unhein Yunus ne , unhein Ibn Shihab ne , unhein Salim ne aur un se in ke walid ne farmaya ke maine Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se talbeed ki haalat mein Labbaik kehte suna .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة