الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الطب
Kitab: Dawa aur ilaj ke bayan mein
باب النفث فى الرقية:
Dua parh kar mareez par phoonk maarna is tarah ke munh se zara sa thook bhi nikle.
Hadith Number: 5749
حدثنا موسى بن إسماعيل، حدثنا ابو عوانة، عن ابي بشر، عن ابي المتوكل، عن ابي سعيد:" ان رهطا من اصحاب رسول الله صلى الله عليه وسلم انطلقوا في سفرة سافروها حتى نزلوا بحي من احياء العرب، فاستضافوهم، فابوا ان يضيفوهم، فلدغ سيد ذلك الحي، فسعوا له بكل شيء لا ينفعه شيء، فقال بعضهم: لو اتيتم هؤلاء الرهط الذين قد نزلوا بكم لعله ان يكون عند بعضهم شيء، فاتوهم، فقالوا: يا ايها الرهط إن سيدنا لدغ، فسعينا له بكل شيء لا ينفعه شيء، فهل عند احد منكم شيء، فقال بعضهم: نعم والله إني لراق، ولكن والله لقد استضفناكم فلم تضيفونا، فما انا براق لكم حتى تجعلوا لنا جعلا، فصالحوهم على قطيع من الغنم، فانطلق فجعل يتفل ويقرا الحمد لله رب العالمين سورة الفاتحة آية 2، حتى لكانما نشط من عقال، فانطلق يمشي ما به قلبة، قال: فاوفوهم جعلهم الذي صالحوهم عليه، فقال بعضهم: اقسموا، فقال الذي رقى: لا تفعلوا حتى ناتي رسول الله صلى الله عليه وسلم فنذكر له الذي كان، فننظر ما يامرنا، فقدموا على رسول الله صلى الله عليه وسلم فذكروا له، فقال: وما يدريك انها رقية اصبتم اقسموا واضربوا لي معكم بسهم".
Hum se Musa bin Ismail ne bayan kiya, kaha hum se Abu Awanah ne bayan kiya, in se Abu Bishr (Jafar) in se Abu al-Mutawakkil Ali bin Dawood ne aur in se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke chand sahabah (300 nafar) ek safar ke liye rawana huay jise unhein taye karna tha raste mein unhon ne Arab ke ek qabila mein parao kiya aur chaha ke qabila wale in ki mehmani karein lekin unhon ne inkar kiya, phir is qabila ke sardar ko bichhoo ne kaat liya usay achha karne ki har tarah ki koshish unhon ne kar daali lekin kisi se kuch faida nahi hua. Aakhir unhi mein se kisi ne kaha ke yeh log jinon ne tumhare qabila mein parao kar rakkha hai in ke paas bhi chalo, mumkin hai in mein se kisi ke paas koi mantar ho. Chunanche woh sahabah ke paas aaye aur kaha logo! Hamare sardar ko bichhoo ne kaat liya hai hum ne har tarah ki bahut koshish is ke liye kar daali lekin kisi se koi faida nahi hua kya tum logon mein se kisi ke paas is ke liye mantar hai? Sahabah mein se ek sahab (Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu) ne kaha ke haan wallah main jhaarrna jaanta hoon lekin hum ne tum se kaha tha ke hamari mehmani karo (hum musafir hain) to tum ne inkar kar diya tha is liye main bhi is waqt tak nahi jhaarroon ga jab tak tum mere liye is ki mazdoori na thehra do. Chunanche in logon ne kuch bakriyon (30) par muamla kar liya. Ab yeh sahabi rawana huay. Yeh zameen par thookte jaate aur «alhamdu lillahi rabbil-aalameena» parhte jaate is ki barkat se woh aisa ho gaya jaise is ki rassi khul gayi ho aur woh is tarah chalne laga jaise usay koi takleef hi na rahi ho. Bayan kiya ke phir wada ke mutabiq qabila walon ne in sahabi ki mazdoori (30 bakriyaan) ada kar di baaz logon ne kaha ke un ko taqseem kar lo lekin jinon ne jhaarra tha unhon ne kaha ke abhi nahi, pehle hum Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir hon poori surat e haal Aap ke samne bayan kar dein phir dekhein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam hamain kya hukm farmate hain. Chunanche sab log Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huay to Aap se is ka zikr kiya Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tumhein kaise maloom ho gaya tha ke is se dum kiya ja sakta hai? Tum ne achha kiya jao un ko taqseem kar lo aur mera bhi apne saath ek hissa lagao.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2276
حدثنا ابو النعمان، حدثنا ابو عوانة، عن ابي بشر، عن ابي المتوكل، عن ابي سعيد رضي الله عنه، قال:" انطلق نفر من اصحاب النبي صلى الله عليه وسلم في سفرة سافروها حتى نزلوا على حي من احياء العرب، فاستضافوهم، فابوا ان يضيفوهم، فلدغ سيد ذلك الحي، فسعوا له بكل شيء، لا ينفعه شيء، فقال بعضهم: لو اتيتم هؤلاء الرهط الذين نزلوا لعله ان يكون عند بعضهم شيء فاتوهم، فقالوا: يا ايها الرهط، إن سيدنا لدغ وسعينا له بكل شيء لا ينفعه، فهل عند احد منكم من شيء؟ فقال بعضهم: نعم، والله إني لارقي، ولكن والله لقد استضفناكم فلم تضيفونا، فما انا براق لكم حتى تجعلوا لنا جعلا فصالحوهم على قطيع من الغنم، فانطلق يتفل عليه، ويقرا: الحمد لله رب العالمين سورة الفاتحة آية 2، فكانما نشط من عقال فانطلق يمشي وما به قلبة، قال: فاوفوهم جعلهم الذي صالحوهم عليه، فقال بعضهم: اقسموا، فقال: الذي رقى، لا تفعلوا حتى ناتي النبي صلى الله عليه وسلم، فنذكر له الذي كان فننظر ما يامرنا، فقدموا على رسول الله صلى الله عليه وسلم فذكروا له، فقال: وما يدريك انها رقية، ثم قال: قد اصبتم اقسموا واضربوا لي معكم سهما، فضحك رسول الله صلى الله عليه وسلم"، قال ابو عبد الله: وقال شعبة: حدثنا ابو بشر، سمعت ابا المتوكل بهذا.
Hum se Abul Numan ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abu Awanah ne bayan kiya, un se Abu Bishr ne bayan kiya, un se Abul Mutawakkil ne bayan kiya, aur un se Abu Saeed Khudri (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke kuch Sahaba (Radi Allahu Anhum) safar mein thay. Duran-e-safar mein wo Arab ke ek qabeela par utre. Sahaba ne chaha ke qabeela wale unhein apna mehman bana lein, lekin unhon ne mehmani nahi ki, balkay saaf inkar kar diya. Ittifaq se isi qabeela ke sardar ko saanp ne das liya, qabeela walon ne har tarah ki koshish kar dali, lekin un ka sardar accha na hua. Un ke kisi aadmi ne kaha ke chalo in logon se bhi poochein jo yahan aa kar utre hain. Mumkin hai koi dam jhaarne ki cheez un ke paas ho. Chunanche qabeela wale un ke paas aaye aur kaha ke bhaiyo! humare sardar ko saanp ne das liya hai. Is ke liye hum ne har qism ki koshish kar dali lekin kuch faida na hua. Kya tumhare paas koi cheez dam karne ki hai ? Ek Sahabi ne kaha ke qasam Allah ki mein ise jhaar donga lekin hum ne tum se mezbani ke liye kaha tha aur tum ne is se inkar kar diya. Is liye ab mein bhi ujrat ke baghair nahi jhaar sakta, aakhir bakriyon ke ek galle par un ka muamla taye hua. Wo Sahabi wahan gaye aur «الحمد لله رب العالمين» parh parh kar dam kiya. Aisa maloom hua jaise kisi ki rassi khol di gayi ho. Wo sardar uth kar chalne laga, takleef-o-dard ka naam-o-nishan bhi baqi nahi tha. Bayan kiya ke phir unhon ne taye-shuda ujrat Sahaba ko ada kar di. Kisi ne kaha ke ise taqseem kar lo, lekin jinhon ne jhaara tha, wo bole ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir ho kar pehle hum Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) se is ka zikar kar lein. Is ke baad dekhenge ke Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) kya hukum dete hain. Chunanche sab hazrat Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) khidmat mein hazir hue aur Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) se is ka zikar kiya. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ye tum ko kaise maloom hua ke Surah Fatihah bhi ek ruqyah hai ? Is ke baad Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke tum ne theek kiya. Ise taqseem kar lo aur ek mera hissa bhi lagao. Ye farma kar Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) hans pare. Shuba ne kaha ke Abul Bishr ne hum se bayan kiya, unhon ne Abul Mutawakkil se aisa hi suna
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة