الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الطب
Kitab: Dawa aur ilaj ke bayan mein
باب الرقى بفاتحة الكتاب:
Surat Al-Fatiha se dam karna.
Show diacritics
Hadith Number: 5736
حدثني محمد بن بشار، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن ابي بشر، عن ابي المتوكل، عن ابي سعيد الخدري رضي الله عنه:" ان ناسا من اصحاب النبي صلى الله عليه وسلم اتوا على حي من احياء العرب فلم يقروهم، فبينما هم كذلك إذ لدغ سيد اولئك، فقالوا: هل معكم من دواء او راق، فقالوا: إنكم لم تقرونا ولا نفعل حتى تجعلوا لنا جعلا، فجعلوا لهم قطيعا من الشاء، فجعل يقرا بام القرآن، ويجمع بزاقه، ويتفل، فبرا فاتوا بالشاء، فقالوا: لا ناخذه حتى نسال النبي صلى الله عليه وسلم، فسالوه فضحك، وقال: وما ادراك انها رقية خذوها واضربوا لي بسهم".
Mujh se Muhammad bin Bashar ne bayan kiya, kaha hum se Ghundar ne, in se Shubah ne, in se Abu Bishr ne, in se Abu al-Mutawakkil ne, in se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke chand sahabah dar halat e safar Arab ke ek qabila par guzre. Qabila walon ne in ki ziyafat nahi ki kuch der baad is qabila ke sardar ko bichhoo ne kaat liya, ab qabila walon ne in sahabah se kaha ke Aap logon ke paas koi dawa ya koi jhaarne wala hai. Sahabah ne kaha ke tum logon ne hamain mehman nahi banaya aur ab hum is waqt tak dum nahi karein ge jab tak tum hamare liye is ki mazdoori na muqarrar kar do. Chunanche in logon ne chand bakriyaan deni manzoor kar lein phir (Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu) Surah Fatiha parhne lage aur is par dum karne mein munh ka thook bhi is jagah par daalne lage. Is se woh shakhs achha ho gaya. Chunanche qabila wale bakriyaan le kar aaye lekin sahabah ne kaha ke jab tak hum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se na pooch lein yeh bakriyaan nahi le sakte phir jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se poochha to Aap muskuraye aur farmaya tumhein kaise maloom ho gaya tha ke Surah Fatiha se dum bhi kiya ja sakta hai, in bakriyon ko le lo aur is mein mera bhi hissa lagao.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2276
حدثنا ابو النعمان، حدثنا ابو عوانة، عن ابي بشر، عن ابي المتوكل، عن ابي سعيد رضي الله عنه، قال:" انطلق نفر من اصحاب النبي صلى الله عليه وسلم في سفرة سافروها حتى نزلوا على حي من احياء العرب، فاستضافوهم، فابوا ان يضيفوهم، فلدغ سيد ذلك الحي، فسعوا له بكل شيء، لا ينفعه شيء، فقال بعضهم: لو اتيتم هؤلاء الرهط الذين نزلوا لعله ان يكون عند بعضهم شيء فاتوهم، فقالوا: يا ايها الرهط، إن سيدنا لدغ وسعينا له بكل شيء لا ينفعه، فهل عند احد منكم من شيء؟ فقال بعضهم: نعم، والله إني لارقي، ولكن والله لقد استضفناكم فلم تضيفونا، فما انا براق لكم حتى تجعلوا لنا جعلا فصالحوهم على قطيع من الغنم، فانطلق يتفل عليه، ويقرا: الحمد لله رب العالمين سورة الفاتحة آية 2، فكانما نشط من عقال فانطلق يمشي وما به قلبة، قال: فاوفوهم جعلهم الذي صالحوهم عليه، فقال بعضهم: اقسموا، فقال: الذي رقى، لا تفعلوا حتى ناتي النبي صلى الله عليه وسلم، فنذكر له الذي كان فننظر ما يامرنا، فقدموا على رسول الله صلى الله عليه وسلم فذكروا له، فقال: وما يدريك انها رقية، ثم قال: قد اصبتم اقسموا واضربوا لي معكم سهما، فضحك رسول الله صلى الله عليه وسلم"، قال ابو عبد الله: وقال شعبة: حدثنا ابو بشر، سمعت ابا المتوكل بهذا.
Hum se Abul Numan ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Abu Awanah ne bayan kiya, un se Abu Bishr ne bayan kiya, un se Abul Mutawakkil ne bayan kiya, aur un se Abu Saeed Khudri (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke kuch Sahaba (Radi Allahu Anhum) safar mein thay. Duran-e-safar mein wo Arab ke ek qabeela par utre. Sahaba ne chaha ke qabeela wale unhein apna mehman bana lein, lekin unhon ne mehmani nahi ki, balkay saaf inkar kar diya. Ittifaq se isi qabeela ke sardar ko saanp ne das liya, qabeela walon ne har tarah ki koshish kar dali, lekin un ka sardar accha na hua. Un ke kisi aadmi ne kaha ke chalo in logon se bhi poochein jo yahan aa kar utre hain. Mumkin hai koi dam jhaarne ki cheez un ke paas ho. Chunanche qabeela wale un ke paas aaye aur kaha ke bhaiyo! humare sardar ko saanp ne das liya hai. Is ke liye hum ne har qism ki koshish kar dali lekin kuch faida na hua. Kya tumhare paas koi cheez dam karne ki hai ? Ek Sahabi ne kaha ke qasam Allah ki mein ise jhaar donga lekin hum ne tum se mezbani ke liye kaha tha aur tum ne is se inkar kar diya. Is liye ab mein bhi ujrat ke baghair nahi jhaar sakta, aakhir bakriyon ke ek galle par un ka muamla taye hua. Wo Sahabi wahan gaye aur «الحمد لله رب العالمين» parh parh kar dam kiya. Aisa maloom hua jaise kisi ki rassi khol di gayi ho. Wo sardar uth kar chalne laga, takleef-o-dard ka naam-o-nishan bhi baqi nahi tha. Bayan kiya ke phir unhon ne taye-shuda ujrat Sahaba ko ada kar di. Kisi ne kaha ke ise taqseem kar lo, lekin jinhon ne jhaara tha, wo bole ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki khidmat mein hazir ho kar pehle hum Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) se is ka zikar kar lein. Is ke baad dekhenge ke Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) kya hukum dete hain. Chunanche sab hazrat Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) khidmat mein hazir hue aur Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) se is ka zikar kiya. Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ye tum ko kaise maloom hua ke Surah Fatihah bhi ek ruqyah hai ? Is ke baad Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke tum ne theek kiya. Ise taqseem kar lo aur ek mera hissa bhi lagao. Ye farma kar Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) hans pare. Shuba ne kaha ke Abul Bishr ne hum se bayan kiya, unhon ne Abul Mutawakkil se aisa hi suna
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة