الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الطب
Kitab: Dawa aur ilaj ke bayan mein
باب المن شفاء للعين:
Man (khumbi) aankh ke liye shifa hai.
Hadith Number: 5708
حدثنا محمد بن المثنى، حدثنا غندر، حدثنا شعبة، عن عبد الملك، سمعت عمرو بن حريث، قال: سمعت سعيد بن زيد، قال: سمعت النبي صلى الله عليه وسلم يقول:" الكماة من المن وماؤها شفاء للعين"، قال شعبة: واخبرني الحكم بن عتيبة، عن الحسن العرني، عن عمرو بن حريث، عن سعيد بن زيد، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال شعبة: لما حدثني به الحكم لم انكره من حديث عبد الملك.
Hum se Muhammad bin Musanna ne bayan kiya, kaha hum se Ghundar ne bayan kiya kaha hum se Shubah ne bayan kiya, in se Abd-ul-Malik bin Umayr ne kaha ke main ne Amr bin Huraish se suna, kaha ke main ne Saeed bin Zayd razi Allahu anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke main ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se suna, Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke khumbi «mann» mein se hai aur is ka pani aankh ke liye shifa hai. Isi sanad se Shubah ne bayan kiya ke mujhe Hakam bin Utaybah ne khabar di, unhein Hasan bin Abdullah Arani ne, unhein Amr bin Huraish ne aur unhein Saeed bin Zayd razi Allahu anhu ne aur unhein Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne yahi hadees bayan ki, Shubah ne kaha ke jab Hakam ne bhi mujh se yeh hadees bayan kar di to phir Abd-ul-Malik bin Umayr ki riwayat par mujhko itmad ho gaya kyunke Abd-ul-Malik ka hafiza aakhir mein bigar gaya tha Shubah ko sirf is ki riwayat par bharosa na raha.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4478
حدثنا ابو نعيم، حدثنا سفيان , عن عبد الملك , عن عمرو بن حريث , عن سعيد بن زيد رضي الله عنه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" الكماة من المن وماؤها شفاء للعين".
Hum se Abu Naeem ne byaan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Sufyan ne byaan kiya , un se Abdul Malik ne , un se Amr bin Hurays ne aur un se Saeed bin Zayd razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ” «kama'atun» (yani khunbi) bhi «mannun» ki qism hai aur is ka pani aankh ki dawa hai .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4639
حدثنا مسلم، حدثنا شعبة، عن عبد الملك، عن عمرو بن حريث، عن سعيد بن زيد، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" الكماة من المن، وماؤها شفاء العين".
Hum se Muslim ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , un se Abdul Malik ne , un se Amr bin Hurays ne aur un se Saeed bin Zayd razi Allahu anhuma ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya , khunbi «mannun» mein se hai aur is ka pani aankhon ke liye shifa hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة