الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب مواقيت الصلاة
Kitab: Auqat-e-namaz ke bayan mein
باب ما يكره من النوم قبل العشاء:
Bab: Is bayan mein ke namaz-e-isha parhne se pehle sona na-pasand hai.
Hadith Number: 568
حدثنا محمد بن سلام، قال: اخبرنا عبد الوهاب الثقفي، قال: حدثنا خالد الحذاء، عن ابي المنهال، عن ابي برزة،" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم كان يكره النوم قبل العشاء والحديث بعدها".
Hum se Muhammad bin Salam ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Abdul Wahab Thaqafi ne bayan kiya , unhon ne kaha ke hum se Khalid Haza ne bayan kiya Abul Minhal se , unhon ne Abu Barza Aslami raziyallahu anhu se ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wa sallam isha se pehle sone aur is ke baad baat cheet karne ko na-pasand farmate thay .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 541
حدثنا حفص بن عمر، قال: حدثنا شعبة، عن ابى المنهال، عن ابي برزة،" كان النبي صلى الله عليه وسلم يصلي الصبح، واحدنا يعرف جليسه ويقرا فيها ما بين الستين إلى المائة، ويصلي الظهر إذا زالت الشمس والعصر، واحدنا يذهب إلى اقصى المدينة يرجع والشمس حية ونسيت ما قال في المغرب، ولا يبالي بتاخير العشاء إلى ثلث الليل، ثم قال إلى شطر الليل"، وقال معاذ: قال شعبة: لقيته مرة، فقال: او ثلث الليل.
Hum se Hafs bin Umar ne bayan kiya , ke hum se Shoba ne bayan kiya Abul Minhal ki riwayat se , unhon ne Abu Barza Fazla bin Ubaid raziyallahu anhu se , unhon ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam subah ki namaz is waqt parhte thay jab hum apne pas baithe hue shakhs ko pehchan lete thay . Subah ki namaz mein Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam saath se sau tak ayaten parhte . Aur aap salla Allahu alaihi wa sallam zuhr is waqt parhte jab sooraj dhal jata . Aur asr ki namaz is waqt ke hum Madina Munawwara ki aakhri hadd tak namaz parhne ke baad jate lekin sooraj ab bhi taiz rehta tha . Namaz maghrib ka Anas raziyallahu anhu ne jo waqt bataya tha woh mujhe yaad nahi raha . Aur Nabi Karim salla Allahu alaihi wa sallam isha ki namaz ko tehai raat tak der karne mein koi harj nahi samajhte thay , phir Abul Minhal ne kaha ke aadhi raat tak muakhkhar karne mein koi harj nahi samajhte thay . Aur Muaz ne kaha ke Shoba ne farmaya ke phir mein dobara Abul Minhal se mila to unhon ne farmaya ya tehai raat tak .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة