الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأشربة
Kitab: Mashrubat ke bayan mein
باب النهي عن التنفس فى الإناء:
Bartan mein saans nahin lena chahiye.
Hadith Number: 5630
حدثنا ابو نعيم، حدثنا شيبان، عن يحيى، عن عبد الله بن ابي قتادة، عن ابيه، قال:" قال رسول الله صلى الله عليه وسلم إذا شرب احدكم فلا يتنفس في الإناء، وإذا بال احدكم فلا يمسح ذكره بيمينه، وإذا تمسح احدكم فلا يتمسح بيمينه".
Hum se Abu Nuaym ne bayan kiya, kaha hum se Shayban ne bayan kiya, in se Yahya bin Abi Kaseer ne, in se Abdullah bin Abi Qatadah ne, in se un ke walid ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab tum mein se koi shakhs pani piye to (peene ke) bartan mein (pani peete huay) saans na le aur jab tum mein se koi shakhs peshab kare to dahne hath ko zakar par na phere aur jab istinja kare to dahne hath se na kare.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 153
حدثنا معاذ بن فضالة، قال: حدثنا هشام هو الدستوائي، عن يحيى بن ابي كثير، عن عبد الله بن ابي قتادة، عن ابيه، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" إذا شرب احدكم فلا يتنفس في الإناء، وإذا اتى الخلاء فلا يمس ذكره بيمينه، ولا يتمسح بيمينه".
Hum se Mu’aaz bin Fazalah ne bayan kiya, unhon ne kaha ke hum se Hishaam Dastuwaayi ne Yahya bin Abi Katheer ke waaste se bayan kiya, woh Abdullah bin Abi Qatadah se, woh apne baap Abu Qatadah Radhiallahu Anhu se riwayat karte hain. Woh kehte hain ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya, jab tum mein se koi paani piye to bartan mein saans na le aur jab bait-ul-khala mein jaaye to apni sharmgaah ko daahne haath se na chhooye aur na daahne haath se istinja kare.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة