الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأشربة
Kitab: Mashrubat ke bayan mein
باب اختناث الأسقية:
Mushk mein munh laga kar paani peena durust nahin hai.
Hadith Number: 5625
حدثنا آدم، حدثنا ابن ابي ذئب، عن الزهري، عن عبيد الله بن عبد الله بن عتبة، عن ابي سعيد الخدري رضي الله عنه قال:" نهى رسول الله صلى الله عليه وسلم عن اختناث الاسقية" يعني ان تكسر افواهها فيشرب منها.
Hum se Adam ne bayan kiya, kaha hum se Ibn Abi Zib ne bayan kiya, in se Zuhri ne, in se Ubaidullah bin Abdullah bin Utbah ne aur in se Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu ne bayan kiya ke Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam ne mashkon mein «ikhtinaas» se mana farmaya mashk ka munh khol kar is mein munh laga kar pani peene se roka.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5626
حدثنا محمد بن مقاتل، اخبرنا عبد الله، اخبرنا يونس، عن الزهري، قال: حدثني عبيد الله بن عبد الله، انه سمع ابا سعيد الخدري يقول:" سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم ينهى عن اختناث الاسقية"، قال عبد الله: قال معمر: او غيره هو الشرب من افواهها.
Hum se Muhammad bin Muqatil ne bayan kiya, kaha hum ko Abdullah bin Mubarak ne khabar di, kaha hum ko Yunus ne khabar di, in se Zuhri ne bayan kiya ke mujh se Ubaidullah bin Abdullah ne bayan kiya, unhon ne Abu Saeed Khudri razi Allahu anhu se suna, kaha ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se suna ke Aap ne mashkon mein «ikhtinaas» se mana farmaya hai. Abdullah ne bayan kiya ke Mamar ne bayan kiya ya in ke ghair ne ke «ikhtinaas» mashk se munh laga kar pani peene ko kehte hain.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5627
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، حدثنا ايوب، قال لنا عكرمة: الا اخبركم باشياء قصار، حدثنا بها ابو هريرة،" نهى رسول الله صلى الله عليه وسلم عن الشرب من فم القربة او السقاء، وان يمنع جاره ان يغرز خشبه في داره".
Hum se Ali bin Abdullah ne bayan kiya, kaha hum se Sufyan ne bayan kiya, kaha hum se Ayub ne bayan kiya ke hum se Ikrimah ne kaha, tumhein main chand chhoti chhoti baatein na bata doon jinhein hamase Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya tha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne mashk ke munh se munh laga kar pani peene ki mamanat ki thi aur (is se bhi Aap salla Allahu alaihi wasallam ne mana farmaya tha ke) koi shakhs apne paros ko apni diwar mein khounti waghaira gaarne se roke.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5628
حدثنا مسدد، حدثنا إسماعيل، اخبرنا ايوب، عن عكرمة، عن ابي هريرة رضي الله عنه:" نهى النبي صلى الله عليه وسلم ان يشرب من في السقاء".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Ismail ne bayan kiya, kaha hum ko Ayub ne khabar di, unhein Ikrimah ne aur unhein Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam ne mashk ke munh se pani peene ki mamanat farma di thi.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5629
حدثنا مسدد، حدثنا يزيد بن زريع، حدثنا خالد، عن عكرمة، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" نهى النبي صلى الله عليه وسلم عن الشرب من في السقاء".
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Yazid bin Zuray ne bayan kiya, kaha hum se Khalid Hazza ne bayan kiya, in se Ikrimah ne aur in se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Nabi kareem salla Allahu alaihi wasallam ne mashk ke munh se pani peene ko mana farmaya tha.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة