الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأشربة
Kitab: Mashrubat ke bayan mein
باب خدمة الصغار الكبار:
Bachon ka baddon boorhon ki khidmat karna zaroori hai.
Hadith Number: 5622
حدثنا مسدد، حدثنا معتمر، عن ابيه، قال: سمعت انسا رضي الله عنه، قال:" كنت قائما على الحي اسقيهم عمومتي وانا اصغرهم الفضيخ، فقيل: حرمت الخمر، فقال: اكفئها، فكفانا، قلت لانس: ما شرابهم؟، قال: رطب وبسر، فقال ابو بكر بن انس: وكانت خمرهم، فلم ينكر انس، وحدثني بعض اصحابي، انه سمع انسا يقول: كانت خمرهم يومئذ.
Hum se Musaddad ne bayan kiya, kaha hum se Mutamir ne, in se un ke walid ne, ke main ne Anas razi Allahu anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke main khara hua apne qabila mein apne chachaon ko khajoor ki sharab pila raha tha. Main in mein se sab se chhota tha, itne mein kisi ne kaha ke sharab haram kar di gayi (Abu Talha razi Allahu anhu ne) kaha ke sharab phenk do. Chunanche hum ne phenk di. Sulayman ne kaha ke main ne Anas razi Allahu anhu se poochha is waqt log kis cheez ki sharab peete thay kaha ke paki aur kachi khajoor ki. Abu Bakr bin Anas ne kaha ke yahi in ki sharab hoti thi Anas razi Allahu anhu ne is ka inkar nahi kiya, Bakr bin Abdullah Muzni ya Qatadah ne kaha aur mujh se baaz logon ne bayan kiya ke unhon ne Anas razi Allahu anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke ”in ki in dinon yahi (fadheeh) in ki sharab thi.“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2464
حدثنا محمد بن عبد الرحيم ابو يحيى، اخبرنا عفان، حدثنا حماد بن زيد، حدثنا ثابت، عن انس رضي الله عنه،" كنت ساقي القوم في منزل ابي طلحة، وكان خمرهم يومئذ الفضيخ، فامر رسول الله صلى الله عليه وسلم مناديا ينادي، الا إن الخمر قد حرمت، قال: فقال لي ابو طلحة: اخرج فاهرقها، فخرجت فهرقتها فجرت في سكك المدينة، فقال بعض القوم: قد قتل قوم وهي في بطونهم، فانزل الله ليس على الذين آمنوا وعملوا الصالحات جناح فيما طعموا سورة المائدة آية 93 الآية".
Hum se Abuy Yahya Muhammad Bin Abdur Rahim ne bayan kiya, kaha hum ko Affan Bin Muslim ne khabar di, kaha hum se Hammad Bin Zaid ne bayan kiya, kaha hum se Sabit ne bayan kiya, aur un se Anas (Radi Allahu Anhu) ne ke mein Abu Talha (Radi Allahu Anhu) ke makan mein logon ko sharab pila raha tha. In dinon khajoor hi ki sharab piya karte thay. (Phir jonhi sharab ki hurmat par ayat-e-Qurani utri) to Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne ek munadi se nida karayi ke sharab haram ho gayi hai. Unhon ne kaha (ye sunte hi) Abu Talha (Radi Allahu Anhu) ne kaha ke bahar lay ja kar is sharab ko baha day. Chunanche mein ne bahar nikal kar sari sharab baha di. Sharab Madinah ki galiyon mein behne lagi, to baaz logon ne kaha, yun maloom hota hai ke bahut se log is halat mein qatal kar diye gaye hain ke sharab in ke pait mein maujood thi. Phir Allah Ta'ala ne ye ayat nazil farmayi «ليس على الذين آمنوا وعملوا الصالحات جناح فيما طعموا» ”Wo log jo iman laye aur amal-e-salih kiye, un par in cheezon ka koi gunah nahi hai. Jo pehle kha chuke hain (aakhir ayat tak)
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة