الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأشربة
Kitab: Mashrubat ke bayan mein
باب شرب اللبن:
Doodh peena.
Hadith Number: 5609
حدثنا ابو عاصم، عن الاوزاعي، عن ابن شهاب، عن عبيد الله بن عبد الله، عن ابن عباس رضي الله عنهما" ان رسول الله صلى الله عليه وسلم شرب لبنا فمضمض، وقال: إن له دسما"
Hum se Abu Aasim ne bayan kiya , in se Imam Awza'i ne bayan kiya , in se Ibn Shihab ne bayan kiya , in se Ubaidullah bin Abdullah ne aur in se Abdullah bin Abbas razi Allahu anhuma ne bayan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne doodh piya phir kulli ki aur farmaya ke is mein chaknahat hoti hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 211
حدثنا يحيى بن بكير وقتيبة، قالا: حدثنا الليث، عن عقيل، عن ابن شهاب، عن عبيد الله بن عبد الله بن عتبة، عن ابن عباس، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم شرب لبنا فمضمض، وقال: إن له دسما"، تابعه يونس، وصالح بن كيسان، عن الزهري.
Hum se Yahya bin Bukair aur Qutaibah ne bayan kiya, unhon ne kaha hum se Laith ne bayan kiya, woh Uqail se, woh Ibn-e-Shihaab se, woh Ubaidullah bin Abdullah bin ’Utbah se, woh Abdullah bin Abbas Radhiallahu Anhuma se riwayat karte hain ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne doodh piya, phir kulli ki aur farmaaya is mein chiknaayi hoti hai. Is Hadees mein Uqail ki Younus aur Saleh bin Kaisaan ne Zohri se Mutaba’at ki hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة