الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الذبائح والصيد
Kitab: Zabeeh aur shikar ke bayan mein
باب إذا ند بعير لقوم فرماه بعضهم بسهم فقتله فأراد إصلاحهم فهو جائز:
Jab kisi qoum ka koi oont badak jaaye aur un mein se koi shakhs khair khwahi ki niyat se usay teer se nishana laga kar maar daale to jaiz hai?
Show diacritics
Hadith Number: 5544
حدثنا محمد بن سلام، اخبرنا عمر بن عبيد الطنافسي، عن سعيد بن مسروق، عن عباية بن رفاعة، عن جده رافع بن خديج رضي الله عنه، قال: كنا مع النبي صلى الله عليه وسلم في سفر فند بعير من الإبل، قال: فرماه رجل بسهم فحبسه، قال: ثم قال:" إن لها اوابد كاوابد الوحش، فما غلبكم منها فاصنعوا به"، هكذا قال: قلت: يا رسول الله إنا نكون في المغازي والاسفار فنريد ان نذبح فلا تكون مدى، قال:" ارن ما نهر او انهر الدم، وذكر اسم الله فكل غير السن والظفر، فإن السن عظم، والظفر مدى الحبشة".
Hum se Ibn Salam ne bayan kiya, kaha hum ko Amr bin Ubaid al-Tanafasi ne khabar di, unhein Saeed bin Masrooq ne, in se Abayah bin Rifaa ne, in se un ke dada Rafi bin Khadeej razi Allahu anhu ne bayan kiya ke hum Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath ek safar mein thay. Ek oont badak kar bhaag para, phir ek aadmi ne teer se usay maara aur Allah Ta'ala ne usay rok diya. Bayan kiya ke phir Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke yeh oont bhi baaz auqat jangli janwaron ki tarah badakte hain, is liye in mein se jo tumhare qaboo se bahar ho jayein, in ke saath aisa hi kiya karo. Rafi ne bayan kiya ke main ne arz kiya: ya Rasool Allah! Hum aksar ghazwaat aur doosre safaron mein rehte hain aur janwar zibah karna chahte hain lekin hamare paas chhurriyaan nahi hotien. Farmaya ke dekh liya karo jo aala khoon baha de ya (Aap ne bajaye «nahara» ke) «anhara» farmaya aur is par Allah ka naam liya gaya ho to usay khao. Albatta daant aur nakhun na ho kyunke daant haddi hai aur nakhun Habash walon ki chhurri hai.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 2488
حدثنا علي بن الحكم الانصاري، حدثنا ابو عوانة، عن سعيد بن مسروق، عن عباية بن رفاعة بن رافع بن خديج، عن جده، قال:" كنا مع النبي صلى الله عليه وسلم بذي الحليفة، فاصاب الناس جوع، فاصابوا إبلا وغنما، قال: وكان النبي صلى الله عليه وسلم في اخريات القوم، فعجلوا، وذبحوا، ونصبوا القدور، فامر النبي صلى الله عليه وسلم بالقدور فاكفئت، ثم قسم فعدل عشرة من الغنم ببعير، فند منها بعير، فطلبوه فاعياهم، وكان في القوم خيل يسيرة، فاهوى رجل منهم بسهم فحبسه الله، ثم قال: إن لهذه البهائم اوابد كاوابد الوحش، فما غلبكم منها فاصنعوا به هكذا". فقال جدي: إنا نرجو او نخاف العدو غدا، وليست معنا مدى، افنذبح بالقصب؟ قال: ما انهر الدم، وذكر اسم الله عليه فكلوه، ليس السن والظفر وساحدثكم عن ذلك، اما السن: فعظم، واما الظفر: فمدى الحبشة.
Hum se Ali Bin Hukam Ansari ne bayan kiya, kaha hum se Abu Awana ne bayan kiya, un se Saeed Bin Masrooq ne, un se Abaya Bin Rifa'a Bin Rafi Bin Khadij (Radi Allahu Anhu) ne aur un se un ke dada (Rafi Bin Khadij Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke hum Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke sath maqam-e-Zulhulaifa mein thehre hue thay. Logon ko bhook lagi. Idhar (ghanimat mein) ont aur bakriyan mili theen. Unhon ne bayan kiya ke Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) lashkar ke peeche ke logon mein thay. Logon ne jaldi ki aur (taqseem se pehle hi) zibah kar ke handiyan charha dein. Lekin baad mein Nabi Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne hukm diya aur wo handiyan oundha di gayein. Phir Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne un ko taqseem kiya aur das bakriyon ko ek ont ke barabar rakha. Ek ont is mein se bhag gaya to log ise pakarne ki koshish karne lage. Lekin us ne sab ko thaka diya. Qoum ke paas ghore kam thay. Ek Sahabi teer le kar ont ki taraf jhapte. Allah ne is ko thehra diya. Phir Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke in janwaron mein bhi jangli janwaron ki tarah sarkashi hoti hai. Is liye in janwaron mein se bhi agar koi tumhein aajiz kar de to is ke sath tum aisa hi mamla kiya karo. Phir mere dada ne arz kiya ke kal dushman ke hamla ka khauf hai, hamare paas churiyan nahi hain (talwaron se zibah karein to un ke kharab hone ka darr hai jab ke jang samne hai) kya hum bans ke khapchi se zibah kar sakte hain? Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya, jo cheez bhi khoon baha de aur zabiha par Allah Ta'ala ka naam liya gaya ho, to is ke khane mein koi haraj nahi. Siwaye dant aur nakhun ke. Is ki wajah mein tumhein batata hoon. Dant to haddi hai aur nakhun Habshiyon ki churi hai
.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة