الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الذبائح والصيد
Kitab: Zabeeh aur shikar ke bayan mein
باب ذبيحة الأعراب ونحوهم:
Dehaatiyon ya un ke jaise (ahkaam deen se be-khabar logon) ka zabiha kaisa hai?
Show diacritics
Hadith Number: 5507
حدثنا محمد بن عبيد الله، حدثنا اسامة بن حفص المدني، عن هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها: ان قوما قالوا للنبي صلى الله عليه وسلم: إن قوما ياتونا باللحم لا ندري اذكر اسم الله عليه ام لا، فقال:" سموا عليه انتم وكلوه"، قالت: وكانوا حديثي عهد بالكفر، تابعه علي، عن الدراوردي، وتابعه ابو خالد، والطفاوي.
Hum se Muhammad bin Ubaidullah ne bayan kiya, kaha hum se Usamah bin Hafs Madni ne bayan kiya, in se Hisham bin Urwah ne, in se un ke walid ne aur in se Aisha razi Allahu anha ne ke (gaon ke) kuch log hamare yahan gosht (bechne) laate hain aur hamain maloom nahi ke unhon ne is par Allah ka naam bhi (zibah karte waqt) liya thu ya nahi? Aap ne farmaya ke tum in par khate waqt Allah ka naam liya karo aur kha liya karo. Aisha razi Allahu anha ne bayan kiya ke yeh log abhi Islam mein naye naye dakhil huay thay. Is ki mutabia-t Ali ne Darawardi se ki aur is ki mutabia-t Abu Khalid aur Tafawi ne ki.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5153
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن حميد الطويل، عن انس بن مالك رضي الله عنه،" ان عبد الرحمن بن عوف جاء إلى رسول الله صلى الله عليه وسلم وبه اثر صفرة، فساله رسول الله صلى الله عليه وسلم، فاخبره انه تزوج امراة من الانصار، قال: كم سقت إليها؟ قال: زنة نواة من ذهب، قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: اولم ولو بشاة".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne byaan kiya, un ko Malik ne khabar di, unhein Humayd Taweel ne aur unhein Anas bin Malik ne ke Abdur Rahman bin Auf razi Allahu anhu Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir huay to un ke oopar zard rang ka nishan tha. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne is ke mutalliq poocha to unhon ne bataya ke unhon ne Ansar ki ek aurat se nikah kiya hai. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne daryaft farmaya ke usay mahr kitna diya hai? Unhon ne kaha ke ek ghulli ke barabar sona. Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir walima kar khwah ek bakri hi ka ho.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة