الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأطعمة
Kitab: Khanon ke bayan mein
باب الحلواء والعسل:
Meethi cheez aur shahd ka bayaan.
Show diacritics
Hadith Number: 5432
حدثنا عبد الرحمن بن شيبة، قال: اخبرني ابن ابي الفديك، عن ابن ابي ذئب، عن المقبري، عن ابي هريرة، قال:" كنت الزم النبي صلى الله عليه وسلم لشبع بطني حين لا آكل الخمير ولا البس الحرير ولا يخدمني فلان ولا فلانة والصق بطني بالحصباء واستقرئ الرجل الآية وهي معي كي ينقلب بي فيطعمني، وخير الناس للمساكين جعفر بن ابي طالب ينقلب بنا فيطعمنا ما كان في بيته حتى إن كان ليخرج إلينا العكة ليس فيها شيء فنشتقها فنلعق ما فيها".
Hum se Abdur Rahman bin Shaybah ne bayan kiya , kaha ke mujhe Ibn Abi al-Fudaik ne khabar di , unhein Ibn Abi Zib ne , unhein Maqburi ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne bayan kiya ke main pait bharne ke baad har waqt Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke saath hi raha karta tha . Is waqt main roti nahi khata tha . Na resham pehenta tha , na falan aur fulaani meri khidmat karte thay (bhook ki shiddat ki wajah se baaz auqat) main apne pait par kankriyaan laga leta aur kabhi main kisi se koi aayat parhne ke liye kehta haalan ke woh mujhe yaad hoti . Maqsad sirf yeh hota ke woh mujhe apne saath le jaye aur khana khila de aur miskeenon ke liye sab se behtareen shakhs Jafar bin Abi Talib razi Allahu anhu thay , hamain apne ghar saath le jaate aur jo kuch bhi ghar mein hota khila dete thay . Kabhi to aisa hota ke ghee ka dabba nikal kar laate aur is mein kuch na hota . Hum usay phaar kar is mein jo kuch laga hota chaat lete thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 3708
حدثنا احمد بن ابي بكر , حدثنا محمد بن إبراهيم بن دينار ابو عبد الله الجهني، عن ابن ابي ذئب، عن سعيد المقبري، عن ابي هريرة رضي الله عنه:" ان الناس كانوا يقولون: اكثر ابو هريرة وإني كنت الزم رسول الله صلى الله عليه وسلم بشبع بطني حتى لا آكل الخمير، ولا البس الحبير، ولا يخدمني فلان ولا فلانة وكنت الصق بطني بالحصباء من الجوع , وإن كنت لاستقرئ الرجل الآية هي معي كي ينقلب بي فيطعمني وكان اخير الناس للمسكين جعفر بن ابي طالب كان ينقلب بنا فيطعمنا ما كان في بيته حتى إن كان ليخرج إلينا العكة التي ليس فيها شيء فنشقها فنلعق ما فيها".
Hum se Ahmad bin Abi Bakr ne bayan kiya, kaha hum se Muhammad bin Ibrahim bin Dinar Abu Abdullah Juhani ne bayan kiya, in se Ibn Abi Dhib ne, in se Sa'id Maqburi ne aur in se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke log kehte hain ke Abu Hurairah bahut ahadeeth bayan karta hai, halankay pait bharne ke baad mein Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ke sath har waqt rehta tha, mein khameeri roti na khata aur na umdah libas pehenta tha (yani mera waqt ilm ke siwa kisi doosri cheez ke hasil karne mein na jata) aur na meri khidmat ke liye koi falan ya falani thi balkay mein bhook ki shiddat ki wajah se apne pait se patthar bandh liya karta. Baaz waqt mein kisi ko koi aayat is liye parh kar is ka matlab poochta tha ke woh apne ghar le ja kar mujhe khana khila de, halankay mujhe is aayat ka matlab maloom hota tha, miskeenon ke sath sab se behtar sulook karne wale Ja'far bin Abi Talib Radi Allahu Anhu thay, humein apne ghar le jate aur jo kuch bhi ghar mein maujood hota woh hum ko khilate. Baaz auqat to aisa hota ke sirf shehad ya ghee ki kuppi hi nikal kar late aur ise hum phaar kar is mein jo kuch hota ise hi chaat lete.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة