الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب الأطعمة
Kitab: Khanon ke bayan mein
باب السلق والشعير:
Chukandar aur jau khane ka bayaan.
Show diacritics
Hadith Number: 5403
حدثنا يحيى بن بكير، حدثنا يعقوب بن عبد الرحمن، عن ابي حازم، عن سهل بن سعد، قال:" إن كنا لنفرح بيوم الجمعة كانت لنا عجوز تاخذ اصول السلق، فتجعله في قدر لها، فتجعل فيه حبات من شعير إذا صلينا زرناها، فقربته إلينا وكنا نفرح بيوم الجمعة من اجل ذلك وما كنا نتغدى ولا نقيل إلا بعد الجمعة والله ما فيه شحم ولا ودك".
Hum se Yahya bin Bukayr ne bayan kiya , unhon ne kaha hum se Yaqoob bin Abdur Rahman ne bayan kiya , in se Abu Hazim ne aur in se Sahl bin Saad razi Allahu anhu ne bayan kiya ke hamain Jumu'ah ke din bari khushi rehti thi . Hamari ek burhi khatoon thien woh chuqandar ki jarein le kar apni haandi mein pakati thien , oopar se kuch dane jau ke is mein daal deti thien . Hum Jumu'ah ki namaz parh kar in ki mulaqat ko jaate to woh hamare samne yeh khana rakhti thien . Jumu'ah ke din hamain bari khushi isi wajah se rehti thi . Hum namaz e Jumu'ah ke baad hi khana khaya karte thay . Allah ki qasam! Na is mein charbi hoti thi na ghee aur jab bhi hum mazay se is ko khate .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 938
حدثنا سعيد بن ابي مريم، قال: حدثنا ابو غسان، قال: حدثني ابو حازم، عن سهل، قال:" كانت فينا امراة تجعل على اربعاء في مزرعة لها سلقا، فكانت إذا كان يوم جمعة تنزع اصول السلق فتجعله في قدر، ثم تجعل عليه قبضة من شعير تطحنها فتكون اصول السلق عرقه، وكنا ننصرف من صلاة الجمعة فنسلم عليها فتقرب ذلك الطعام إلينا فنلعقه، وكنا نتمنى يوم الجمعة لطعامها ذلك".
Hum se Saeed bin Abi Maryam ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Abu Ghassan Muhammad bin Matar Madni ne byaan kiya , unhon ne kaha ke mujh se Abu Hazim Salamah bin Dinar ne Sahl bin Saad ke waaste se byaan kiya , unhon ne byaan kiya ke hamare yahan aik aurat thi jo nalon par apne aik khet mein chuqandar boti . Juma ka din aata to woh chuqandar ukhaar lateen aur ise aik haandi mein pakateen phir oopar se aik mutthi jao ka aata chhirak deteun . Is tarah yeh chuqandar gosht ki tarah ho jate . Juma se wapsi mein hum unhein salam karne ke liye hazir hote to yahi pakwan hamare aage kar deteun aur hum ise chaat jate . Hum log har Juma ko un ke is khane ke aarzoomand raha karte thay .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة