الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب النكاح
Kitab: Nikah ke masail ka bayan
باب لا تباشر المرأة المرأة فتنعتها لزوجها:
Bab: Ek aurat doosri aurat se (be-satar ho kar) na chamte is liye ke us ka haal apne khawand se bayan kare.
Hadith Number: 5240
حدثنا محمد بن يوسف، حدثنا سفيان، عن منصور، عن ابي وائل، عن عبد الله بن مسعود رضي الله عنه، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" لا تباشر المراة المراة فتنعتها لزوجها كانه ينظر إليها".
Hum se Muhammad bin Yusuf Faryabi ne byaan kiya, kaha hum se Sufyan Sawri rahmahullah ne byaan kiya, in se Mansoor bin Mutamir ne, un se Abu Wail ne aur un se Abdullah bin Masood razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke koi aurat kisi aurat se milne ke baad apne shohar se is ka huliya na byaan kare, goya ke woh usay dekh raha hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5241
حدثنا عمر بن حفص بن غياث، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، قال: حدثني شقيق، قال: سمعت عبد الله، قال: قال النبي صلى الله عليه وسلم:" لا تباشر المراة المراة فتنعتها لزوجها كانه ينظر إليها".
Hum se Umar bin Hafs bin Ghiyas ne byaan kiya, kaha hum se hamare walid ne byaan kiya, in se Aamash ne byaan kiya, kaha ke mujh se Shaqeeq ne byaan kiya, kaha main ne Abdullah bin Masood razi Allahu anhu se suna, unhon ne byaan kiya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke koi aurat kisi aurat se mil kar apne shohar se is ke huliya na byaan kare goya ke woh usay dekh raha hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة