الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب النكاح
Kitab: Nikah ke masail ka bayan
باب: {وإن امرأة خافت من بعلها نشوزا أو إعراضا} :
Bab: Aur agar kisi aurat ko apne shauhar ki taraf se nafrat aur munh morne ka khauf ho.
Hadith Number: 5206
حدثنا محمد بن سلام، اخبرنا ابو معاوية، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، وإن امراة خافت من بعلها نشوزا او إعراضا، قالت:" هي المراة تكون عند الرجل لا يستكثر منها فيريد طلاقها ويتزوج غيرها، تقول له: امسكني ولا تطلقني، ثم تزوج غيري فانت في حل من النفقة علي والقسمة لي، فذلك قوله تعالى: فلا جناح عليهما ان يصلحا بينهما صلحا والصلح خير سورة النساء آية 128".
Hum se Ibn Salam ne byaan kiya , kaha hum ko Abu Muawiyah ne khabar di , unhein Hisham bin Urwah ne , unhein un ke walid ne aur un se Aisha razi Allahu anha ne aayat «wa in-imra'atun khaafat mim ba'liha nushoozan au iraadan» ”aur agar koi aurat apne shohar ki taraf se nafrat aur munh morne ka khauf mehsoos kare .“ Ke mutalliq farmaya ke aayat mein aaisi aurat ka byaan hai jo kisi mard ke paas ho aur woh mard usay apne paas zyada na bulata ho balkay usay talaq dene ka irada rakhta ho aur is ke bajaye doosri aurat se shadi karna chahta ho lekin is ki maujooda biwi is se kahe ke mujhe apne saath hi rakho aur talaq na do . tum meere siwa kisi aur se shadi kar sakte ho , meere kharch se bhi tum aazad ho aur tum par baari ki bhi koi pabandi nahi to is ka zikr Allah Ta'ala ke is irshad mein «fala junaha alayhuma an yasalaha baynahuma sulhan was-sulhu khayrun» ke ”pas in par koi gunah nahi agar woh aapas mein sulah kar lein aur sulah bahar-haal behtar hai .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2450
حدثنا محمد، اخبرنا عبد الله، اخبرنا هشام بن عروة، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها في هذه الآية وإن امراة خافت من بعلها نشوزا او إعراضا سورة النساء آية 128، قالت:" الرجل تكون عنده المراة ليس بمستكثر منها يريد ان يفارقها، فتقول: اجعلك من شاني في حل"، فنزلت هذه الآية في ذلك.
Hum se Muhammad ne bayan kiya, kaha hum ko Abdullah ne khabar di, kaha hum ko Hisham Bin Urwah ne khabar di, unhein un ke baap ne, aur un se Aisha (Radi Allahu Anha) ne (Quran Majeed ki ayat) «وإن امرأة خافت من بعلها نشوزا أو إعراضا» ”Agar koi aurat apne shohar ki taraf se nafrat ya is ke munh pherne ka khauf rakhti ho“ ke baare mein farmaya ke kisi shakhs ki biwi hai lekin shohar is ke paas ziyada aata jata nahi balkay ise juda karna chahta hai is par is ki biwi kehti hai ke mein apna haq tumhe maaf karti hoon. Isi baare mein ye ayat nazil hui
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة