الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب النكاح
Kitab: Nikah ke masail ka bayan
باب إجابة الداعي فى العرس وغيرها:
Bab: Har ek da’wat qabool karna shadi ki ho ya kisi aur baat ki.
Hadith Number: 5179
حدثنا علي بن عبد الله بن إبراهيم، حدثنا الحجاج بن محمد، قال: قال ابن جريج: اخبرني موسى بن عقبة، عن نافع، قال: سمعت عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، يقول: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" اجيبوا هذه الدعوة إذا دعيتم لها"، قال: وكان عبد الله ياتي الدعوة في العرس وغير العرس وهو صائم.
Hum se Ali bin Abdullah bin Ibrahim ne byaan kiya, unhon ne kaha hum se Hajjaj bin Muhammad Awar ne byaan kiya, unhon ne kaha ke Ibn Jurayj ne kaha ke mujhko Musa bin Uqbah ne khabar di, unhein Nafi ne, unhon ne kaha ke main ne Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma se suna, unhon ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke is walima ki jab tumhein dawat di jaye to qabool karo. Byaan kiya ke Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma agar roze se hote jab bhi walima ki dawat ya kisi doosri dawat mein shirkat karte thay.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5173
حدثنا عبد الله بن يوسف، اخبرنا مالك، عن نافع، عن عبد الله بن عمر رضي الله عنهما، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" إذا دعي احدكم إلى الوليمة فلياتها".
Hum se Abdullah bin Yusuf ne byaan kiya, unhon ne kaha hum se Malik ne khabar di, unhein Abdullah bin Umar razi Allahu anhuma ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke jab tum mein se kisi ko dawat e walima par bulaya jaye to usay aana chahiye. Maloom hua ke dawat e walima ka qabool karna zaroori hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة