الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب النكاح
Kitab: Nikah ke masail ka bayan
باب من أجاب إلى كراع:
Bab: Jis ne bakri ke khur ki da’wat ki to usay bhi qabool karna chahiye.
Hadith Number: 5178
حدثنا عبدان، عن ابي حمزة، عن الاعمش، عن ابي حازم، عن ابي هريرة، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لو دعيت إلى كراع لاجبت، ولو اهدي إلي كراع لقبلت".
Hum se Abdan ne byaan kiya, un se Abu Hamzah ne, un se Aamash ne, un se Abu Hazim ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke agar mujhe bakri ke khur ki dawat di jaye to main usay bhi qabool karoon ga aur agar mujhe woh khur bhi hadiya mein diye jayein to main usay qabool karoon ga.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 2568
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا ابن ابي عدي، عن شعبة، عن سليمان، عن ابي حازم، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" لو دعيت إلى ذراع او كراع لاجبت، ولو اهدي إلي ذراع او كراع لقبلت".
Hum se Muhammad Bin Bashar ne bayan kiya, kaha hum se Muhammad Bin Abi Adi ne bayan kiya Shuba se, wo Suleman se, wo Abu Hazim se aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne kaha ke Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya "Agar mujhe bazu aur paye (ke gosht) par bhi dawat di jaye to mein qabool kar loon ga aur mujhe bazu ya paye (ke gosht) ka tohfa bheja jaye to ise bhi qabool kar loon ga."
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة