الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب النكاح
Kitab: Nikah ke masail ka bayan
باب الوليمة ولو بشاة:
Bab: Waleemah mein ek bakri bhi kaafi hai.
Show diacritics
Hadith Number: 5170
حدثنا مالك بن إسماعيل، حدثنا زهير، عن بيان، قال: سمعت انسا، يقول:" بنى النبي صلى الله عليه وسلم بامراة فارسلني، فدعوت رجالا إلى الطعام".
Hum se Malik bin Ismail ne byaan kiya, kaha hum se Zuhair ne byaan kiya, in se Bayaan bin Bishr ne byaan kiya, unhon ne kaha ke main ne Anas razi Allahu anhu se suna, unhon ne kaha ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ek khatoon (Zaynub bint Jahsh razi Allahu anha) ko nikah kar ke laye to mujhe bheja aur main ne logon ko walima khane ke liye bulaya.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4791
حدثنا محمد بن عبد الله الرقاشي، حدثنا معتمر بن سليمان، قال: سمعت ابي، يقول: حدثنا ابو مجلز، عن انس بن مالك رضي الله عنه، قال:" لما تزوج رسول الله صلى الله عليه وسلم زينب بنت جحش دعا القوم، فطعموا، ثم جلسوا يتحدثون، وإذا هو كانه يتهيا للقيام، فلم يقوموا، فلما راى ذلك قام، فلما قام قام من قام وقعد ثلاثة نفر، فجاء النبي صلى الله عليه وسلم ليدخل، فإذا القوم جلوس، ثم إنهم قاموا، فانطلقت، فجئت فاخبرت، النبي صلى الله عليه وسلم انهم قد انطلقوا، فجاء حتى دخل، فذهبت ادخل، فالقى الحجاب بيني وبينه، فانزل الله: يايها الذين آمنوا لا تدخلوا بيوت النبي سورة الاحزاب آية 53 الآية".
Hum se Muhammad bin Abdullah Raqashi ne byaan kiya , kaha hum se Mutamir bin Sulayman ne byaan kiya , kaha ke main ne apne walid se suna , unhon ne byaan kiya hum se Abu Mijlaz ne byaan kiya aur un se Anas bin Malik razi Allahu anhu ne byaan kiya jab Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne Zaynub bint Jahsh razi Allahu anha se nikah kiya to qaum ko Aap ne dawat e walima di , khana khane ke baad log (ghar ke andar hi) baithe (der tak) baatein karte rahe . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne aisa kiya goya Aap uthna chahte hain (taake log samajh jayein aur uth jayein) lekin koi bhi nahi utha , jab Aap ne dekha ke koi nahi uthta to Aap salla Allahu alaihi wasallam kharay huay . Jab Aap salla Allahu alaihi wasallam kharay huay to doosre log bhi kharay ho gaye , lekin teen aadmi ab bhi baithe reh gaye . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam jab bahar se andar jaane ke liye aaye to dekha ke kuch ab bhi baithe huay hain . Is ke baad woh log bhi uth gaye to main ne Aap salla Allahu alaihi wasallam ki khidmat mein hazir ho kar khabar di ke woh log bhi chale gaye hain to Aap andar tashreef laye . Main ne bhi chaha ke andar jaon , lekin Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne apne aur mere beech mein darwaza ka parda gira liya , is ke baad aayat (mazkoora bala) nazil hui «ya ayyuhallazhina aamanu la tadkhuloo buyootan-nabiyyi» ke ”Ae ایمin والو! Nabi ke gharon mein mat jaya karo .“ Aakhir aayat tak .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة