الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب النكاح
Kitab: Nikah ke masail ka bayan
باب هل للمرأة أن تهب نفسها لأحد:
Bab: Kya koi aurat kisi se nikah ke liye apne aap ko hibah kar sakti hai?
Show diacritics
Hadith Number: 5113
حدثنا محمد بن سلام، حدثنا ابن فضيل، حدثنا هشام، عن ابيه، قال:" كانت خولة بنت حكيم من اللائي وهبن انفسهن للنبي صلى الله عليه وسلم، فقالت عائشة: اما تستحي المراة ان تهب نفسها للرجل؟، فلما نزلت: ترجي من تشاء منهن سورة الاحزاب آية 51، قلت: يا رسول الله، ما ارى ربك إلا يسارع في هواك". رواه ابو سعيد المؤدب، ومحمد بن بشر، وعبدة، عن هشام، عن ابيه، عن عائشة يزيد بعضهم على بعض.
Hum se Muhammad bin Salam ne byaan kiya , kaha hum se Muhammad bin Fudayl ne byaan kiya , kaha hum se Hisham bin Urwah ne byaan kiya , un se un ke walid ne byaan kiya ke Khawla bint Hakeem razi Allahu anha in auraton mein se thien jinon ne apne aap ko Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke liye hiba kiya tha . Is par Aisha razi Allahu anha ne kaha ke ek aurat apne aap ko kisi mard ke liye hiba karte sharmati nahi . Phir jab aayat «turji-u man tashaa-u minhunna» ”Ae Paighambar! Tu apni jis biwi ko chahe peeche daal de aur jise chahe apne paas jagah de“ nazil hui to main ne kaha: ya Rasool Allah! Ab main samjhi Allah Ta'ala jald jald Aap ki khushi ko poora karta hai . Is hadees ko Abu Saeed (Muhammad bin Muslim) , Mua'ddib aur Muhammad bin Bashar aur Abdah bin Sulayman ne bhi Hisham se , unhon ne apne walid se , unhon ne Aisha razi Allahu anha se riwayat kiya hai . Ek ne doosre se kuch zyada mazmoon naqal kiya hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4788
حدثنا زكرياء بن يحيى، حدثنا ابو اسامة، قال: هشام حدثنا، عن ابيه، عن عائشة رضي الله عنها، قالت:" كنت اغار على اللاتي وهبن انفسهن لرسول الله صلى الله عليه وسلم، واقول: اتهب المراة نفسها، فلما انزل الله تعالى: ترجي من تشاء منهن وتؤوي إليك من تشاء ومن ابتغيت ممن عزلت فلا جناح عليك سورة الاحزاب آية 51، قلت: ما ارى ربك إلا يسارع في هواك".
Hum se Zakariya bin Yahya ne byaan kiya , kaha hum se Abu Usamah ne byaan kiya , kaha hum se Hisham ne apne walid se sun kar byaan kiya aur un se Aisha razi Allahu anha ne byaan kiya ke jo auratein apne nafs ko Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke liye hiba karne aati thien mujhe un par bari ghairat aati thi . Main kehti ke kya aurat khud hi apne ko kisi mard ke liye pesh kar sakti hai ? Phir jab Allah Ta'ala ne yeh aayat nazil ki «turji-u man tashaa-u minhunna wa tu'wee ilayka man tashaa-u wa man-ibtaghayta mimman azalta fala junaha alayka» ke ”in mein se jis ko chahein apne se door rakhein aur jis ko chahein apne nazdeek rakhein aur jin ko Aap ne alag kar rakkha tha is mein se kisi ko phir talab kar lein jab bhi , Aap par koi gunah nahi hai .“ To main ne kaha ke main to samajhti hoon ke Aap ka Rabb Aap ki murad bila takheer poori kar dena chahta hai .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة