الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب النكاح
Kitab: Nikah ke masail ka bayan
باب إلى من ينكح:
Bab: Kis qism ki aurat se nikah kiya jaye?
Hadith Number: 5082
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، حدثنا ابو الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" خير نساء ركبن الإبل صالح نساء قريش، احناه على ولد في صغره، وارعاه على زوج في ذات يده".
`Hum se Abul Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shu'ba ne khabar di, un se Abuz Zinad ne bayan kiya, un se A'raj ne aur un se Abu Hurairah Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ke oont par sawar hone wali (Arab) aurton mein behtareen aurat Quraish ki saaleh aurat hoti hai jo apne bacche se bahut zyada muhabbat karne wali aur apne shohar ke maal asbab mein is ki bahut umda nigahban o nigraan sabit hoti hai.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3434
وقال ابن وهب: اخبرني يونس، عن ابن شهاب، قال: حدثني سعيد بن المسيب ان ابا هريرة، قال: سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم، يقول:" نساء قريش خير نساء ركبن الإبل احناه على طفل وارعاه على زوج في ذات يده" يقول ابو هريرة: على إثر ذلك ولم تركب مريم بنت عمران بعيرا قط، تابعه ابن اخي الزهري، وإسحاق الكلبي، عن الزهري.
Aur Ibn Wahb ne bayan kiya ke mujhe Yunus ne khabar di un se Ibn Shihab ne bayan kiya kaha ke mujh se Saeed Bin Musayyib ne bayan kiya aur un se Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ne bayan kiya ke mein ne Rasul Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) se suna Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ke ont par sawar hone waliyon (Arabi khawateen) mein sab se behtareen Quraishi khawateen hain. Apne bacche par sab se zyada muhabbat-o-shafqat karne wali aur apne shohar ke maal-o-asbab ki sab se behtar nigraan-o-muhafiz. Abu Hurairah (Radi Allahu Anhu) ye hadees bayan karne ke baad kehte thay ke Maryam Bint-e-Imran ont par kabhi sawar nahi hui thien. Yunus ke sath is hadees ko Zuhri ke bhatije aur Ishaq Kalbi ne bhi Zuhri se riwayat kiya hai
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 5365
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، حدثنا ابن طاوس، عن ابيه، وابو الزناد، عن الاعرج، عن ابي هريرة، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم، قال:" خير نساء ركبن الإبل نساء قريش، وقال الآخر: صالح نساء قريش احناه على ولد في صغره وارعاه على زوج في ذات يده". ويذكر عن معاوية وابن عباس، عن النبي صلى الله عليه وسلم.
Hum se Ali bin Abdullah ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan bin Uyaynah ne byaan kiya , kaha hum se Abdullah bin Taoos ne byaan kiya , in se un ke walid (Taoos) aur Abu al-Zinad ne byaan kiya , in se Aaraj ne aur in se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke oont par sawar hone wali auraton mein (yani Arab ki auraton mein) behtareen auratein Qurayshi auratein hain . Doosre rawi (Ibn Taoos) ne byaan kiya ke Quraish ki salih , naik auratein (sirf lafz Qurayshi auraton ke bajaye) bache par bachpan mein sab se zyada meherban aur apne shohar ke maal ki sab se zyada hifazat karne waliyaan hoti hain . Muawiyah aur Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne bhi Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se aaisi hi riwayat ki hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة