الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب النكاح
Kitab: Nikah ke masail ka bayan
باب ما يكره من التبتل والخصاء:
Bab: Mujarrad rehna aur apne ko namard bana dena mana’ hai.
Show diacritics
Hadith Number: 5075
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا جرير، عن إسماعيل، عن قيس، قال: قال عبد الله:" كنا نغزو مع رسول الله صلى الله عليه وسلم وليس لنا شيء، فقلنا: الا نستخصي؟ فنهانا عن ذلك، ثم رخص لنا ان ننكح المراة بالثوب، ثم قرا علينا: يايها الذين آمنوا لا تحرموا طيبات ما احل الله لكم ولا تعتدوا إن الله لا يحب المعتدين سورة المائدة آية 87".
`Hum se Qutaiba bin Said ne bayan kiya, kaha hum se Jareer ne, un se Ismail bin Abi Khalid Bajli ne, un se Qais bin Abi Hazim ne bayan kiya aur un se Abdullah bin Masood Radi Allahu Anhu ne bayan kiya ke hum Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ke saath jihad ko jaya karte thay aur hamare paas rupiya na tha (ke hum shadi kar lete) is liye hum ne arz kiya hum apne ko khasi kyun na kara lein lekin Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne humein is se mana farmaya. Phir humein is ki ijazat de di ke hum kisi aurat se ek kapre par (ek muddat tak ke liye) nikah kar lein. Aap ne humein Quran Majeed ki yeh ayat parh kar sunayi «Ya ayyuhallazeena amanoo la tuharrimoo tayyibati ma ahallallahu lakum wala ta'tadoo innallaha la yuhibbul mu'tadeen» ke ”Iman lane walo! wo pakeeza cheezein mat haram karo jo tumhare liye Allah Ta'ala ne halal ki hain aur had se aage na barho, beshak Allah had se aage barhne walon ko pasand nahi karta.“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4615
حدثنا عمرو بن عون، حدثنا خالد، عن إسماعيل، عن قيس، عن عبد الله رضي الله عنه، قال:" كنا نغزو مع النبي صلى الله عليه وسلم وليس معنا نساء، فقلنا: الا نختصي، فنهانا عن ذلك، فرخص لنا بعد ذلك ان نتزوج المراة بالثوب، ثم قرا يايها الذين آمنوا لا تحرموا طيبات ما احل الله لكم سورة المائدة آية 87".
Hum se Amr bin Aun ne bayan kiya , kaha hum se Khalid bin Abdullah Tahhan ne bayan kiya , un se Ismail bin Abi Khalid ne , un se Qais bin Abi Hazim ne aur un se Abdullah bin Masood rz ne ke hum Rasool Allah صلی اللہ علیہ وسلم ke sath ho kar jihad kiya karte thay aur hamare sath hamari biwiyan nahi hoti thein . Is par hum ne arz kiya ke hum apne aap ko khasi kyun na kar lein . Lekin Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne humein is se rok diya aur is ke baad humein is ki ijazat di ke hum kisi aurat se kapre (ya kisi bhi cheez) ke badle mein nikah kar sakte hain . Phir Abdullah rz ne yeh ayat parhi «Ya Ayyuhallazina Aamanu La Tuharrimu Tayyibati Ma Ahallallahu Lakum» ”Ae iman walo! Apne oopar in pakiza cheezon ko haram na karo jo Allah ne tumhare liye jaiz ki hain .“


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة