الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب النكاح
Kitab: Nikah ke masail ka bayan
باب ما يكره من التبتل والخصاء:
Bab: Mujarrad rehna aur apne ko namard bana dena mana’ hai.
Show diacritics
Hadith Number: 5074
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب، عن الزهري، قال:اخبرني سعيد بن المسيب، انه سمع سعد بن ابي وقاص، يقول:" لقد رد ذلك يعني النبي صلى الله عليه وسلم على عثمان بن مظعون، ولو اجاز له التبتل لاختصينا".
`Hum se Abul Yaman ne bayan kiya, kaha hum ko Shuaib ne khabar di, un se Zuhri ne bayan kiya, kaha mujhe Said bin Musayyib ne khabar di aur unhon ne Saad bin Abi Waqas Radi Allahu Anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne Usman bin Maz'oon Radi Allahu Anhu ko aurat se alag rehne ki ijazat nahi di thi. Agar Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم unhein is ki ijazat de dete to hum bhi apne aap ko khasi bana lete.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5073
حدثنا احمد بن يونس، حدثنا إبراهيم بن سعد، اخبرنا ابن شهاب، سمع سعيد بن المسيب، يقول: سمعت سعد بن ابي وقاص، يقول:رد رسول الله صلى الله عليه وسلم على عثمان بن مظعون التبتل"، ولو اذن له لاختصينا.
`Hum se Ahmad bin Yunus ne bayan kiya, kaha hum se Ibrahim bin Saad ne bayan kiya, kaha hum ko Ibn Shihab ne khabar di, unhon ne Said bin Musayyib se suna, wo kehte hain ke mein ne Saad bin Abi Waqas Radi Allahu Anhu se suna, unhon ne bayan kiya ke Rasul Allah صلی اللہ علیہ وسلم ne «Tabattul» yaani aurton se alag rehne ki zindagi se mana farmaya tha. Agar Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم unhein ijazat de dete to hum to khasi hi ho jate.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة