الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب فضائل القرآن
Kitab: Quran ke fazail ka bayan
باب القراء من أصحاب النبى صلى الله عليه وسلم:
Bab: Nabi Kareem ﷺ ke Sahaba mein Quran ke qari (huffaz) kaun kaun the?
Hadith Number: 5003
حدثنا حفص بن عمر، حدثنا همام، حدثنا قتادة، قال:" سالت انس بن مالك رضي الله عنه من جمع القرآن على عهد النبي صلى الله عليه وسلم؟ قال: اربعة، كلهم من الانصار: ابي بن كعب، ومعاذ بن جبل، وزيد بن ثابت، وابو زيد". تابعه الفضل، عن حسين بن واقد،عن ثمامة، عن انس.
Hum se Hafs bin Umar bin Ghiyas ne byaan kiya , kaha hum se Hammam bin Yahya ne byaan kiya , kaha hum se Qatadah ne byaan kiya , kaha ke main ne Anas bin Malik razi Allahu anhu se poocha ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ke zamana mein Quran ko kin logon ne jama kiya tha , unhon ne batlaya ke char sahabiyon ne , yeh charon qabila Ansar se hain . Ubayy bin Kabb , Maaz bin Jabal , Zayd bin Sabit aur Abu Zayd . Is riwayat ki mutabia't Fadl ne Husain bin Waqid se ki hai . In se Sumama ne aur in se Anas razi Allahu anhu ne .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 3810
حدثني محمد بن بشار، حدثنا يحيى، حدثنا شعبة، عن قتادة، عن انس رضي الله عنه , قال:" جمع القرآن على عهد النبي صلى الله عليه وسلم اربعة كلهم من الانصار: ابي , ومعاذ بن جبل , وابو زيد , وزيد بن ثابت، قلت لانس: من ابو زيد؟ قال: احد عمومتي".
Mujh se Muhammad Bin Bashar ne bayan kiya, kaha hum se Yahya ne bayan kiya, kaha hum se Shuba ne bayan kiya, un se Qatadah ne aur un se Anas Bin Malik Radi Allahu Anhu ne ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ke zamane mein char aadmi jin sab ka talluq qabila Ansar se tha, Quran Majeed jama karne wale thay. Ubayy Bin Kab, Muaz Bin Jabal, Abu Zaid aur Zaid Bin Sabit Radi Allahu Anhum mein ne poocha: Abu Zaid kaun hain? Unhon ne farmaya ke wo mere ek chacha hain
.
.
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة