الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب فضائل القرآن
Kitab: Quran ke fazail ka bayan
باب كيف نزول الوحي وأول ما نزل:
Bab: Wahi kyun kar utri aur sab se pehle kaun si ayat nazil hui thi?
Hadith Number: 4983
حدثنا ابو نعيم، حدثنا سفيان، عن الاسود بن قيس، قال: سمعت جندبا، يقول:" اشتكى النبي صلى الله عليه وسلم فلم يقم ليلة او ليلتين، فاتته امراة، فقالت: يا محمد، ما ارى شيطانك إلا قد تركك، فانزل الله عز وجل: والضحى {1} والليل إذا سجى {2} ما ودعك ربك وما قلى {3} سورة الضحى آية 1-3".
Hum se Abu Naeem ne byaan kiya , kaha hum se Sufyan Sawri ne byaan kiya , un se Aswad bin Qays ne , kaha ke main ne Jundub bin Abdullah Bajali razi Allahu anhu se suna , unhon ne byaan kiya ke Nabi salla Allahu alaihi wasallam beemar pare aur ek ya do raaton mein (tahajjud ki namaz ke liye) na uth sake to ek aurat (Awra bint Harb Abu Lahab ki joru) Nabi salla Allahu alaihi wasallam ke paas aayi aur kehne lagi Muhammad! Mera khayal hai ke tumhare Shaytan ne tumhein chhor diya hai . Is par Allah Ta'ala ne yeh aayat nazil ki «wad-duha * wal-layli izha saja * ma wad-da'aka rabbuka wa ma qala» ”qasam hai din ki roshni ki aur raat ki jab woh qarar pakre ke Aap ke Parvardigar ne na Aap ko chhora hai aur na woh Aap se khafa hua hai .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1124
حدثنا ابو نعيم , قال: حدثنا سفيان، عن الاسود , قال: سمعت جندبا , يقول:" اشتكى النبي صلى الله عليه وسلم فلم يقم ليلة او ليلتين".
Hum se Abu Naeem ne byaan kiya , kaha ke hum se Sufyan Sawri ne Aswad bin Qais se byaan kiya , kaha ke main ne Jundub razi Allahu anhu se suna , aap ne farmaya ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam bimar huay to aik ya do raat tak (namaaz ke liye) na uth sake .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1125
حدثنا محمد بن كثير , قال: اخبرنا سفيان، عن الاسود بن قيس، عن جندب بن عبد الله رضي الله عنه , قال:" احتبس جبريل صلى الله عليه وسلم على النبي صلى الله عليه وسلم، فقالت امراة من قريش: ابطا عليه شيطانه فنزلت: والضحى {1} والليل إذا سجى {2} ما ودعك ربك وما قلى {3} سورة الضحى آية 1-3".
Hum se Muhammad bin Kaseer ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hamen Sufyan Sawri ne Aswad bin Qais se khabar di , un se Jundub bin Abdullah razi Allahu anhu ne farmaya ke Jibra'il alaihissalam (aik martaba chand dinon tak) Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ke paas (wahi le kar) nahi aaye to Quraish ki aik aurat (Umm Jamil Abu Lahab ki biwi) ne kaha ke ab is ke shaitan ne is ke paas aane se der lagayi . Is par yeh surat utri «waddo-ha wal laili iza saja ma wadda'aka rabbuka wa ma qala» .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4950
حدثنا احمد بن يونس، حدثنا زهير، حدثنا الاسود بن قيس، قال: سمعت جندب بن سفيان رضي الله عنه، قال:" اشتكى رسول الله صلى الله عليه وسلم، فلم يقم ليلتين او ثلاثا، فجاءت امراة، فقالت: يا محمد، إني لارجو ان يكون شيطانك قد تركك لم اره قربك منذ ليلتين او ثلاثة، فانزل الله عز وجل: والضحى {1} والليل إذا سجى {2} ما ودعك ربك وما قلى {3} سورة الضحى آية 1-3، قوله: ما ودعك ربك وما قلى سورة الضحى آية 3:
Hum se Ahmad bin Yunus ne byaan kiya , kaha hum se Zuhayr ne byaan kiya , un se Aswad bin Qays ne byaan kiya ke main ne Jundub bin Sufyan razi Allahu anhu se suna , unhon ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam beemar par gaye aur do ya teen raaton ko (tahajjud ke liye) nahi uth sake . Phir ek aurat (Abu Lahab ki aurat Awra) aayi aur kehne lagi . Ae Muhammad! Mera khayal hai ke tumhare Shaytan ne tumhein chhor diya hai . Do ya teen raaton se dekh rahi hoon ke tumhare paas woh nahi aaya . Is par Allah Ta'ala ne yeh aayat nazil ki «wad-duha * wal-layli izha saja * ma wad-da'aka rabbuka wa ma qala» aakhir tak yani ”qasam hai din ki roshni ki aur raat ki jab woh qarar pakre ke Aap ke Parvardigar ne na Aap ko chhora hai aur na Aap se bezar hua hai .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4951
حدثنا محمد بن بشار، حدثنا محمد بن جعفر غندر، حدثنا شعبة، عن الاسود بن قيس، قال: سمعت جندبا البجلي، قالت امراة: يا رسول الله، ما ارى صاحبك إلا ابطاك، فنزلت ما ودعك ربك وما قلى سورة الضحى آية 3.
Hum se Muhammad bin Bashar ne byaan kiya , kaha hum se Muhammad bin Jafar Ghundar ne , kaha hum se Shubah ne , un se Aswad bin Qays ne byaan kiya ke main ne Jundub Bajali razi Allahu anhu se suna ke ek aurat Umm al-Momineen Khadija razi Allahu anha ne kaha ke ya Rasool Allah! Main dekhti hoon ke Aap ke dost (Jibraeel alaihissalam) Aap ke paas aane mein der karte hain . Is par aayat nazil hui «ma wad-da'aka rabbuka wa ma qala» yani ”Aap ke Parvardigar ne na Aap ko chhora hai aur na Aap se woh bezar hua hai .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة