الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
سورة {قل أعوذ برب الفلق} :
Bab: Surah Al-Falaq ki tafseer.
Show diacritics
Hadith Number: 4976
حدثنا قتيبة بن سعيد، حدثنا سفيان، عن عاصم، وعبدة، عن زر بن حبيش، قال: سالت ابي بن كعب، عن المعوذتين، فقال: سالت رسول الله صلى الله عليه وسلم فقال:" قيل لي"، فقلت: فنحن نقول كما قال رسول الله صلى الله عليه وسلم.
Hum se Qutaybah bin Saeed ne byaan kiya , kaha ke hum se Sufyan ne byaan kiya , un se Aasim aur Abdah ne , un se Zirr bin Hubaysh ne byaan kiya ke unhon ne Ubayy bin Kabb razi Allahu anhu se Muawwizhatayn ke baare mein poocha to unhon ne byaan kiya ke yeh masla main ne bhi Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se poocha thu . Nabi salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke mujhe (Jibraeel alaihissalam) ki zabani kaha gaya hai ke yun kahiye ke «aoozhu bi-rabbil falaqi» al-kh main ne isi tarah kaha chunanche hum bhi wahi kehte hain jo Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne kaha .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4937
حدثنا آدم، حدثنا شعبة، حدثنا قتادة، قال: سمعت زرارة بن اوفى، يحدث عن سعد بن هشام، عن عائشة، عن النبي صلى الله عليه وسلم قال:" مثل الذي يقرا القرآن وهو حافظ له مع السفرة الكرام البررة، ومثل الذي يقرا القرآن وهو يتعاهده وهو عليه شديد فله اجران".
Hum se Adam ne byaan kiya , kaha hum se Shubah ne byaan kiya , kaha hum se Qatadah ne byaan kiya , kaha ke main ne Zurarah bin Aufa se suna , woh Saad bin Hisham se byaan karte thay aur un se Aisha razi Allahu anha ne ke Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke is shakhs ki misal jo Quran parhta hai aur woh is ka hafiz bhi hai , mukarram aur naik likhne wale (farishton) jaisi hai aur jo shakhs Quran Majeed baar baar parhta hai . Phir bhi woh is ke liye dushwar hai to usay dugna sawab mile ga .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 4977
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا سفيان، حدثنا عبدة بن ابي لبابة، عن زر بن حبيش، وحدثنا عاصم، عن زر، قال: سالت ابي بن كعب، قلت: يا ابا المنذر إن اخاك ابن مسعود، يقول: كذا وكذا، فقال ابي: سالت رسول الله صلى الله عليه وسلم فقال لي:" قيل لي"، فقلت: قال: فنحن نقول كما قال رسول الله صلى الله عليه وسلم".
Hum se Ali bin Abdullah ne byaan kiya , un se Sufyan ne byaan kiya , un se Abdah bin Abi Lubabah ne byaan kiya , un se Zirr bin Hubaysh ne (Sufyan ne kaha) aur hum se Aasim ne bhi byaan kiya , un se Zirr ne byaan kiya ke main ne Ubayy bin Kabb razi Allahu anhu se poocha ke ya Aba al-Munzhir! Aap ke bhai Abdullah bin Masood razi Allahu anhu to yeh kehte hain ke Surah Muawwizhatayn Quran mein dakhil nahi hain . Ubayy bin Kabb ne kaha ke main ne Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam se is baat ko poocha tha . Nabi salla Allahu alaihi wasallam ne mujh se farmaya ke (Jibraeel alaihissalam ki zabani) mujh se yun kaha gaya ke aisa kahiye aur main ne kaha , Ubayy bin Kabb razi Allahu anhu ne kaha ke hum bhi wahi kehte hain jaisa ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya th .


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة