الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب:
Bab: …
Hadith Number: 4974
حدثنا ابو اليمان ، حدثنا شعيب ، حدثنا ابو الزناد ، عن الاعرج ، عن ابي هريرة رضي الله عنه، عن النبي صلى الله عليه وسلم، قال:" قال الله: كذبني ابن آدم ولم يكن له ذلك، وشتمني ولم يكن له ذلك، فاما تكذيبه إياي فقوله لن يعيدني كما بداني، وليس اول الخلق باهون علي من إعادته، واما شتمه إياي فقوله اتخذ الله ولدا، وانا الاحد الصمد لم الد، ولم اولد، ولم يكن لي كفئا احد".
Hum se Abu al-Yaman ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Shuayb ne byaan kiya , unhon ne kaha hum se Abu al-Zinad ne byaan kiya , un se Aaraj ne aur un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Nabi salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke Allah Ta'ala farmata hai ke mujhe Ibn e Adam ne jhutlaya haalan ke is ke liye yeh bhi munasib na tha . Mujhe us ne gaali di haalan ke is ke liye yeh bhi munasib na tha . Mujhe jhutlana yeh hai ke (Ibn e Adam) kehta hai ke main is ko dobara nahi paida karoon ga haalan ke mere liye dobara paida karna is ke pehli martaba paida karne se zyada mushkil nahi . Is ka mujhe gaali dena yeh hai ke kehta hai ke Allah ne apna beta banaya hai haalan ke main ek hoon . Be-niyaz hoon na mere liye koi aulad hai aur na main kisi ki aulad hoon aur na koi mere barabar hai .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1394
حدثنا عمر بن حفص، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش , حدثني عمرو بن مرة، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما , قال:" قال ابو لهب عليه لعنة الله للنبي صلى الله عليه وسلم: تبا لك سائر اليوم , فنزلت: تبت يدا ابي لهب وتب".
Hum se Umar bin Hafs ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke mujh se mere baap ne byaan kiya Aamash se ‘ unhon ne kaha ke mujh se Amru bin Murrah ne byaan kiya ‘ un se Saeed bin Jubair ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Abu Lahab ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se kaha ke saare din tujh par barbadi ho . Is par yeh aayat utri «tabbat yada abi lahabin wa tabb» yani toot gaye haath Abu Lahab ke aur woh khud hi barbad ho gaya .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4482
حدثنا ابو اليمان، اخبرنا شعيب , عن عبد الله بن ابي حسين , حدثنا نافع بن جبير , عن ابن عباس رضي الله عنهما , عن النبي صلى الله عليه وسلم , قال:" قال الله: كذبني ابن آدم ولم يكن له ذلك، وشتمني ولم يكن له ذلك، فاما تكذيبه إياي فزعم اني لا اقدر ان اعيده كما كان، واما شتمه إياي، فقوله لي ولد فسبحاني ان اتخذ صاحبة او ولدا".
Hum se Abul Yaman ne bayan kiya , kaha hum ko Shuaib ne khabar di , unhein Abdullah bin Abi Husain ne , un se un se Nafi bin Jubair ne bayan kiya aur un se Ibn Abbas rz ne ke Nabi Kareem صلی اللہ علیہ وسلم ne farmaya ”Allah Ta'ala irshad farmata hai , Ibn Adam ne mujhe jhutlaya halanke us ke liye yeh munasib na tha . Us ne mujhe gali di , halanke us ke liye yeh munasib na tha . Us ka mujhe jhutlana to yeh hai ke woh kehta hai ke main usay dobara zinda karne par qadir nahi hoon aur us ka mujhe gali dena yeh hai ke mere liye aulad batata hai , meri zaat is se pak hai ke main apne liye biwi ya aulad banaun .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4975
حدثنا إسحاق بن منصور، قال: وحدثنا عبد الرزاق، اخبرنا معمر، عن همام، عن ابي هريرة، قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم:" قال الله: كذبني ابن آدم ولم يكن له ذلك، وشتمني ولم يكن له ذلك، اما تكذيبه إياي ان يقول إني لن اعيده كما بداته، واما شتمه إياي ان يقول اتخذ الله ولدا، وانا الصمد الذي لم الد، ولم اولد ولم يكن لي كفؤا احد لم يلد ولم يولد {3} ولم يكن له كفوا احد {4} سورة الإخلاص آية 3-4"، كفؤا وكفيئا وكفاء واحد.
Hum se Ishaq bin Mansoor ne byaan kiya , unhon ne kaha ke hum se Abdur Razzaq ne byaan kiya , unhon ne kaha hamain Mamar ne khabar di , unhein Hammam ne , un se Abu Hurairah razi Allahu anhu ne byaan kiya ke Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke (Allah Paak ne farmaya hai ke) Ibn e Adam ne mujhe jhutlaya haalan ke is ke liye yeh munasib na tha . Us ne mujhe gaali di haalan ke yeh is ka haq nahi tha . Mujhe jhutlana yeh hai ke (Ibn e Adam) kehta hai ke main usay dobara zinda nahi kar sakta jaisa ke main ne usay pehli dafa paida kiya tha . Is ka gaali dena yeh hai ke kehta hai Allah ne beta bana liya hai haalan ke main be-parwah hoon , mere haan na koi aulad hai aur na main kisi ki aulad aur na koi mere barabar ka hai . «kufu'an» aur «kafee'an» aur «kifaa'an» hum-maani hain .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة