الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب:
Bab: …
Hadith Number: 4971
حدثنا يوسف بن موسى، حدثنا ابو اسامة، حدثنا الاعمش، حدثنا عمرو بن مرة، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال: لما نزلت وانذر عشيرتك الاقربين سورة الشعراء آية 214، ورهطك منهم المخلصين خرج رسول الله صلى الله عليه وسلم حتى صعد الصفا فهتف يا صباحاه، فقالوا: من هذا؟ فاجتمعوا إليه، فقال:" ارايتم إن اخبرتكم ان خيلا تخرج من سفح هذا الجبل، اكنتم مصدقي؟" قالوا: ما جربنا عليك كذبا، قال:" فإني نذير لكم بين يدي عذاب شديد"، قال ابو لهب: تبا لك ما جمعتنا إلا لهذا، ثم قام، فنزلت تبت يدا ابي لهب وتب سورة المسد آية 1، وقد تب هكذا قراها الاعمش يومئذ.
Hum se Yusuf bin Musa ne byaan kiya , kaha hum se Abu Usamah ne byaan kiya , kaha hum se Aamash ne byaan kiya , un se Amr bin Murrah ne , un se Saeed bin Jubayr ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke jab yeh aayat nazil hui «wa anzhir asheeratakal aqrabeena» ”Aap apne qareebi rishta-daron ko drayiye aur apne giroh ke in logon ko drayiye jo mukhliseen hain .“ To Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam Safa pahari par charh gaye aur pukara: ya sabahaahu! Quraish ne kaha yeh kaun hai , phir wahan sab aa kar jama ho gaye . Nabi salla Allahu alaihi wasallam ne un se farmaya ke tumhara kya khayal hai , agar main tumhein bataoon ke ek lashkar is pahar ke peeche se aane wala hai , to kya tum mujh ko sacha nahi samajho ge ? Unhon ne kaha ke hamain jhoot ka Aap se tajurba kabhi bhi nahi hai . Nabi salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir main tumhein is sakht azab se drata hoon jo tumhare samne aa raha hai . Yeh sun kar Abu Lahab bola , tu tabah ho , kya tu ne hamain isi liye jama kiya tha ? Phir Nabi salla Allahu alaihi wasallam wahan se chale aaye aur Aap par yeh surat nazil hui «tabbat yada abi lahabiw-wa tabb» al-kh yani ”donon hath toot gaye Abu Lahab ke aur woh barbad ho gaya .“ Aamash ne yun parha «wa qad tabb» jis din yeh hadees riwayat ki .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 1394
حدثنا عمر بن حفص، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش , حدثني عمرو بن مرة، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما , قال:" قال ابو لهب عليه لعنة الله للنبي صلى الله عليه وسلم: تبا لك سائر اليوم , فنزلت: تبت يدا ابي لهب وتب".
Hum se Umar bin Hafs ne byaan kiya ‘ unhon ne kaha ke mujh se mere baap ne byaan kiya Aamash se ‘ unhon ne kaha ke mujh se Amru bin Murrah ne byaan kiya ‘ un se Saeed bin Jubair ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke Abu Lahab ne Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam se kaha ke saare din tujh par barbadi ho . Is par yeh aayat utri «tabbat yada abi lahabin wa tabb» yani toot gaye haath Abu Lahab ke aur woh khud hi barbad ho gaya .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4770
حدثنا عمر بن حفص بن غياث، حدثنا ابي، حدثنا الاعمش، قال: حدثني عمرو بن مرة، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال:" لما نزلت: وانذر عشيرتك الاقربين سورة الشعراء آية 214 صعد النبي صلى الله عليه وسلم على الصفا، فجعل ينادي يا بني فهر، يا بني عدي، لبطون قريش حتى اجتمعوا، فجعل الرجل إذا لم يستطع ان يخرج، ارسل رسولا لينظر ما هو، فجاء ابو لهب وقريش، فقال:"ارايتكم لو اخبرتكم ان خيلا بالوادي تريد ان تغير عليكم اكنتم مصدقي؟ قالوا: نعم، ما جربنا عليك إلا صدقا، قال: فإني نذير لكم بين يدي عذاب شديد، فقال ابو لهب: تبا لك سائر اليوم الهذا جمعتنا، فنزلت: تبت يدا ابي لهب وتب {1} ما اغنى عنه ماله وما كسب {2} سورة المسد آية 1-2".
Hum se Umar bin Hafs bin Ghiyas ne byaan kiya , kaha hum se hamare walid ne byaan kiya , kaha hum se Aamash ne , kaha ke mujh se Amr bin Murrah ne byaan kiya , un se Saeed bin Jubayr ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke jab aayat «wa anzhir asheeratakal aqrabeena» ”aur Aap apne khandani qarabati-daron ko darate rahiye“ nazil hui to Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam Safa pahari par charh gaye aur pukarne lage . Ae Bani Fihr! Aur Ae Bani Adi! Aur Quraysh ke doosre khandan walo! Is aawaz par sab jama ho gaye agar koi kisi wajah se na aa saka to us ne apna koi chaudhry bhej diya , taake maloom ho ke kya baat hai . Abu Lahab Quraysh ke doosre logon ke saath majma mein tha . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne unhein khitab kar ke farmaya ke tumhara kya khayal hai , agar main tum se kahoon ke wadi mein (pahari ke peeche) ek lashkar hai aur woh tum par hamla karna chahta hai to kya tum meri baat sach maano ge ? Sab ne kaha ke haan , hum Aap ki tasdeeq karein ge hum ne hamesha Aap ko sacha hi paya hai . Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir suno , main tumhein is sakht azab se drata hoon jo bilkul samne hai . Is par Abu Lahab bola , tujh par saare din tabahi nazil ho , kya tu ne hamain isi liye ikatha kiya tha . Isi waqia par yeh aayat nazil hui «tabbat yada abi lahabiw-wa tabb * ma aghna anhu maaluhu wa ma kasab» ”Abu Lahab ke donon hath toot gaye aur woh barbad ho gaya , na is ka maal is ke kaam aaya aur na is ki kamayi hi is ke aarray aayi .“
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4801
حدثنا علي بن عبد الله، حدثنا محمد بن خازم، حدثنا الاعمش، عن عمرو بن مرة، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس رضي الله عنهما، قال: صعد النبي صلى الله عليه وسلم الصفا ذات يوم، فقال:" يا صباحاه، فاجتمعت إليه قريش، قالوا: ما لك؟ قال: ارايتم لو اخبرتكم ان العدو يصبحكم او يمسيكم اما كنتم تصدقوني؟ قالوا: بلى، قال: فإني نذير لكم بين يدي عذاب شديد"، فقال ابو لهب: تبا لك الهذا جمعتنا، فانزل الله: تبت يدا ابي لهب سورة المسد آية 1".
Hum se Ali bin Abdullah Madini ne byaan kiya , kaha hum se Muhammad bin Hazim ne byaan kiya , kaha hum se Aamash ne byaan kiya , un se Amr bin Murrah ne , un se Saeed bin Jubayr ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke ek din Rasool Allah salla Allahu alaihi wasallam Safa pahari par charhay aur pukara: ya sabahaahu! (logo dauro) is aawaz par Quraysh jama ho gaye aur poocha kya baat hai ? Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke tumhari kya rai hai agar main tumhein bataoon ke dushman subah ke waqt ya shaam ke waqt tum par hamla karne wala hai to kya tum meri baat ki tasdeeq nahi karo ge ? Unhon ne kaha ke hum Aap ki tasdeeq karein ge . Aap salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke phir main tum ko sakht tareen azab (dozakh) se pehle darane wala hoon . Abu Lahab (mardood) bola tu halak ho ja , kya tu ne isi liye hamain bulaya tha . Is par Allah Paak ne aayat «tabbat yada abi lahabin» nazil farmayi .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Hadith Number: 4972
حدثنا محمد بن سلام، اخبرنا ابو معاوية، حدثنا الاعمش، عن عمرو بن مرة، عن سعيد بن جبير، عن ابن عباس، ان النبي صلى الله عليه وسلم خرج إلى البطحاء، فصعد إلى الجبل، فنادى يا صباحاه، فاجتمعت إليه قريش، فقال:" ارايتم إن حدثتكم ان العدو مصبحكم او ممسيكم اكنتم تصدقوني؟ قالوا: نعم، قال:" فإني نذير لكم بين يدي عذاب شديد"، فقال ابو لهب: الهذا جمعتنا تبا لك، فانزل الله عز وجل: تبت يدا ابي لهب سورة المسد آية 1 إلى آخرها.
Hum se Muhammad bin Salam ne byaan kiya , kaha hum ko Abu Muawiyah ne khabar di , un se Aamash ne , un se Amr bin Murrah ne , un se Saeed bin Jubayr ne aur un se Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne byaan kiya ke yani woh halak hua na is ka maal is ke kaam aaya aur na jo kuch us ne kamaya woh kaam aaya . Nabi salla Allahu alaihi wasallam Bathaa ki taraf tashreef le gaye aur pahari par charh kar pukara . Ya sabahaahu! Quraish is aawaz par Aap ke paas jama ho gaye . Nabi salla Allahu alaihi wasallam ne in se poocha: tumhara kya khayal hai agar main tumhein bataoon ke dushman tum par subah ke waqt ya shaam ke waqt hamla karne wala hai to kya tum meri tasdeeq nahi karo ge ? Unhon ne kaha ke haan zaroor Aap ki tasdeeq karein ge . Nabi salla Allahu alaihi wasallam ne farmaya ke to main tumhein sakht azab se drata hoon jo tumhare samne aa raha hai . Abu Lahab bola tum tabah ho jao . Kya tum ne hamain isi liye jama kiya tha ? Is par Allah Ta'ala ne yeh aayat nazil ki «tabbat yada abi lahabin» aakhir tak .
حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة