الحمدللہ ! آج حدیث مبارک کی دو نئی کتب مسند أبي يعلى الموصلي اور المعجم الأوسط اردو عربی سرچ سہولت کے ساتھ پیش کر دی گئی ہے۔ News
Kitab ki Tafseelat
Abwab
Hadith
Rawi
Sawaneh Umri: Imam Bukhari (rh)
صحيح البخاري
Sahih Bukhari
كتاب تفسير القرآن
Kitab: Quran Paak ki tafseer ke bayan mein
باب: {إن علينا جمعه وقرآنه} :
Bab: Ayat «inna alayna jam’ahu wa qur’anahu» ki tafseer.
Show diacritics
Hadith Number: 4928
حدثنا عبيد الله بن موسى، عن إسرائيل، عن موسى بن ابي عائشة، انه سال سعيد بن جبير، عن قوله تعالى:" لا تحرك به لسانك سورة القيامة آية 16، قال: وقال ابن عباس: كان يحرك شفتيه إذا انزل عليه، فقيل له: لا تحرك به لسانك سورة القيامة آية 16 يخشى ان ينفلت منه إن علينا جمعه وقرءانه سورة القيامة آية 17 ان نجمعه في صدرك وقرآنه ان تقراه فإذا قراناه سورة القيامة آية 18، يقول: انزل عليه فاتبع قرءانه سورة القيامة آية 18 ثم إن علينا بيانه سورة القيامة آية 19 ان نبينه على لسانك".
Hum se Abdullah bin Musa ne byaan kiya, kaha hum se Israeel ne, un se Musa bin Abi Aisha ne ke unhon ne Saeed bin Jubayr se Allah Ta'ala ke irshad «la tuhar-rik bihi lisanaka» al-aayat yani ”Aap Quran ko lene ke liye zaban na hilaya karein“ ke mutalliq poocha to unhon ne byaan kiya ke Ibn Abbas razi Allahu anhuma ne kaha jab Nabi Karim salla Allahu alaihi wasallam par wahi nazil hui to Aap salla Allahu alaihi wasallam apne hont hilaya karte thay is liye Aap se kaha gaya «la tuhar-rik bihi lisanaka» al-kh yani wahi par apni zaban na hilaya karein, is ka tumhare dilli mein jama dena aur is ka parha dena hamara kaam hai. Jab hum is ko parh chukein yani Jibraeel tujh ko suna chukein to jaisa Jibraeel ne parh kar sunaya tu bhi is tarah parh. Phir yeh bhi hamara hi kaam hai ke hum teri zaban se is ko parhwa dein ge.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة
Show diacritics
Hadith Number: 5
حدثنا موسى بن إسماعيل، قال: حدثنا ابو عوانة، قال: حدثنا موسى بن ابي عائشة، قال: حدثنا سعيد بن جبير، عن ابن عباس، في قوله تعالى:" لا تحرك به لسانك لتعجل به [سورة القيامة آية 16]، قال: كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يعالج من التنزيل شدة، وكان مما يحرك شفتيه، فقال ابن عباس: فانا احركهما لكم كما كان رسول الله صلى الله عليه وسلم يحركهما، وقال سعيد: انا احركهما كما رايت ابن عباس يحركهما، فحرك شفتيه، فانزل الله تعالى: لا تحرك به لسانك لتعجل به [16] إن علينا جمعه وقرءانه [17] [سورة القيامة آية 16-17]، قال: جمعه له في صدرك وتقراه، فإذا قراناه فاتبع قرءانه [سورة القيامة آية 18]، قال: فاستمع له وانصت ثم إن علينا بيانه [سورة القيامة آية 19]، ثم إن علينا ان تقراه، فكان رسول الله صلى الله عليه وسلم بعد ذلك إذا اتاه جبريل استمع، فإذا انطلق جبريل قراه النبي صلى الله عليه وسلم كما قراه".
Musa bin Ismail ne hum se Hadees bayan ki, un ko Abu ’Awaanah ne khabar di, un se Musa Ibn-e-Abi Aisha ne bayan ki, un se Sa’eed bin Jubair ne unhon ne Ibn-e-Abbas Radhiallahu Anhuma se kalaam-e-ilaahi «لَا تُحَرِّكْ بِهِ لِسَانَكَ لِتَعْجَلَ بِهِ» aakhir tak ki tafseer ke silsile mein suna ke Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam nuzool-e-Quran ke waqt bahut sakhti mehsoos farmaaya karte the aur us ki (alaamaton) mein se ek yeh thi ke yaad karne ke liye Aap apne honton ko hilaate the. Ibn-e-Abbas Radhiallahu Anhuma ne kaha main apne hont hilaata hun jis tarah Aap hilaate the. Sa’eed kehte hain main bhi apne hont hilaata hun jis tarah Ibn-e-Abbas Radhiallahu Anhuma ko main ne hilaate dekha. Phir unhon ne apne hont hilaaye. (Ibn-e-Abbas Radhiallahu Anhuma ne kaha) phir yeh Aayat utri ke aye Muhammed! Quran ko jald jald yaad karne ke liye apni zabaan na hilaao. Us ka jama kar dena aur padha dena hamaara zimma hai. Ibn-e-Abbas Radhiallahu Anhuma kehte hain yani Quran Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ke dil main jama dena aur padha dena hamaare zimme hai. Phir jab hum padh chuken to us padhe huwe ki ittebaa’ karo. Ibn-e-Abbas Radhiallahu Anhuma farmaate hain (is ka matlab yeh hai) ke Aap us ko khamoshi ke saath sunte raho. Us ke baad matlab samjha dena hamaare zimme hai. Phir yaqeenan yeh hamaari zimmedaari hai ke Aap us ko padho (yani us ko mehfooz kar sako) chunanche us ke baad jab Aap ke paas Jibrael Alaihissalam (Wahi le kar) aate to Aap (tawajjo se) sunte. Jab woh chale jaate to Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam us (Wahi) ko usi tarah padhte jis tarah Jibrael Alaihissalam ne use padha tha.


حكم: أحاديث صحيح البخاريّ كلّها صحيحة